Poet
Qadr Bilgrami
قدر بلگرامیPoems
- آ گئی فصل نو بہار دشت میں وہ ہوا چلیسر پہ ہوا جنوں سوار عقل پیادہ پا چلیā ga.ī fasl-e-nau bahār dasht meñ vo havā chalīsar pe huā junūñ savār aql piyāda pā chalī
- بڑے نازوں سے دل میں جلوۂ جانانہ آتا ہےیہ گھر جس نے بنایا ہے وہ وہ صاحب خانہ آتا ہےbaṛe nāzoñ se dil meñ jalva-e-jānāna ātā haiye ghar jis ne banāyā hai vo vo sāhab-e-ḳhāna ātā hai
- پڑ گئی آپ پر نظر ہی تو ہےاک خطا ہو گئی بشر ہی تو ہےpaṛ ga.ī āp par nazar hī to haiik ḳhatā ho ga.ī bashar hī to hai
- جب آنکھ بند ہوگی دیدار دیکھ لیں گےکب تک چھپوگے ہم سے اے یار دیکھ لیں گےjab ānkh band hogī dīdār dekh leñgekab tak chhupoge ham se ai yār dekh leñge
- جب ذرا نغموں سے بلبل گل فشاں ہو جائے گاٹوکری پھولوں کی سارا آشیاں ہو جائے گاjab zarā naġhmoñ se bulbul gul fishāñ ho jā.egāṭokrī phūloñ kī sārā āshiyāñ ho jā.egā
- جو داغ ہے عشق دل نشیں کا جو دل نشیں ہیں دل حزیں کاوہی ہے تمغہ مری جبیں کا وہی سلیماں مرے نگیں کاjo dāġh hai ishq dil nashīñ kā jo dil nashīñ haiñ dil-e-hazīñ kāvahī hai tamġha mirī jabīñ kā vahī sulaimāñ mire nagīñ kā
- جو عضو باطن خدا بناتا تو ہم دل بے قرار ہوتےجو عضو ظاہر خدا بناتا تو دیدۂ اشک بار ہوتےjo uzv bātin ḳhudā banātā to ham dil-e-be qarār hotejo uzv zāhir ḳhudā banātā to dīda-e-ashk bār hote
- جو ہے عرش پر وہی فرش پر کوئی خاص اس کا مکاں نہیںوہ یہاں بھی ہے وہ وہاں بھی ہے وہ کہیں نہیں وہ کہاں نہیںjo hai arsh par vahī farsh par koī ḳhās us kā makāñ nahīñvo yahāñ bhī hai vo vahāñ bhī hai vo kahīñ nahīñ vo kahāñ nahīñ
- شب غم میں چھائی گھٹا کالی کالیجھکی ہے بلا پر بلا کالی کالیshab-e-ġham meñ chhā.ī ghaṭā kālī kālījhukī hai balā par balā kālī kālī
- غنچے چٹک گئے چمن روزگار کےپھوٹے حباب موج نسیم بہار کےġhunche chuṭak ga.e chaman-e-rozgār kephūṭe habāb mauj-e-nasīm-e-bahār ke
- گردن شیشہ جھکا دے مرے پیمانے پرسن برستا رہے ساقی ترے میخانے پرgardan-e-shīsha jhukā de mire paimāne parsun barastā rahe sāqī tire maiḳhāne par
- لا کے دنیا میں ہمیں زہر فنا دیتے ہیںہائے اس بھول بھلیاں میں دغا دیتے ہیںlā ke duniyā meñ hameñ zahr-e-fanā dete haiñhā.e is bhūl bhaliyāñ meñ daġhā dete haiñ
- منکر ہوتے ہیں ہنر والےنخل جھک جاتے ہیں ثمر والےmunkir hote haiñ hunar vālenaḳhl jhuk jāte haiñ samar vāle
- ہو گیا ابرو کی سفاکی سے شہرا یار کاکام کر جائے سپاہی نام ہو سردار کاho gayā abrū kī saffākī se shahrā yār kākām kar jā.e sipāhī nām ho sardār kā
- ہوئی ہے ہم میں اور اس گل میں کیا کیا مار پھولوں کیگلے تک اٹھ گئی گلزار میں دیوار پھولوں کیhuī hai ham meñ aur us gul meñ kyā kyā mār phūloñ kīgale tak uṭh ga.ī gulzār meñ dīvār phūloñ kī
- ہوئے کارواں سے جدا جو ہم رہ عاشقی میں فنا ہوئےجو گرے تو نقش قدم بنے جو اٹھے تو بانگ درا ہوئےhue kārvāñ se judā jo ham rah-e-āshiqī meñ fanā huejo gire to naqsh-e-qadam bane jo uṭhe to bāng-e-darā hue