Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Nazeer Akbarabadi

نظیر اکبر آبادی

1735–1830Born in DelhiDied in Agra

Nazeer Akbarabadi, whose given name was Wali Muhammad, spent his life as a teacher in Agra, then called Akbarabad, and joined no court. He is known for nazms in everyday language about ordinary people and their world: festivals such as Holi, Diwali and Eid, the seasons, animals and poverty. His well-known poems include Banjaranama, Aadmi Nama and Muflisi.

Writes about

  • Everyday life
  • Festivals
  • Poverty
  • Seasons

Poems

  1. ham dekheñ kis din husn ai dil is rashk-e-parī kā dekheñgevo qad vo kamar vo chashm vo lab vo zulf vo mukhṛā dekheñge
  2. ham meñ bhī aur unhoñ meñ pahle jo yāriyāñ thīñdonoñ diloñ meñ kyā kyā umīdvāriyāñ thīñ
  3. hañse roe phire rusvā hue jāge bandhe chhoṭeġharaz ham ne bhī kyā kyā kuchh mohabbat ke maze lauṭe
  4. havā ḳhurshīd ke dekhe se dūnā iztirāb apnāke ye niklā sahar ko aur na niklā āftāb apnā
  5. hosh-o-ḳhirad ko kar diyā tark aur shaġhl jo kuchh thā chhoṛ diyāham ne tumhārī chāh meñ ai jāñ dekho to kyā kyā chhoṛ diyā
  6. ho kuchh āseb to vāñ chāhiye ganḍā ta.avīzaur jo ho ishq kā sāya to kare kyā ta.avīz
  7. ho kis tarah na ham ko har dam havā-e-matlabdekhā jo ḳhūb ham ne duniyā hai jā.e matlab
  8. ho kyūñ na tire kām meñ hairān tamāshāyārab tirī qudrat meñ hai har ān tamāshā
  9. hūñ tere tasavvur meñ mirī jāñ hama tan chashmdil hai mirā jūñ ā.īna hairāñ hama tan chashm
  10. huī shakl apnī ye ham nashīñ jo sanam ko ham se hijāb haikabhī ashk hai kabhī āh hai kabhī ranj hai kabhī tāb hai
  11. hue ḳhush ham ek nigār se hue shād us kī bahār sekabhī shān se kabhī ān se kabhī nāz se kabhī pyār se
  12. haiñ dam ke sāth ishrat-o-usrat hazārhāvābasta ek tār-e-nafas se haiñ tār hā
  13. hai ab to vo hameñ is sarv sīm bar kī talabke tā.irān havā se hai bāl-o-par kī talab
  14. hai ab to ye dhun us se maiñ ānkh laṛā lūñgāaur chūm ke muñh us kā sīne se lagā lūñgā
  15. yār ne ham ko agar rusvā kahā achchhā kahāham to rusvā haiñ hī kyā be jā kahā achchhā kahā
  16. yāñ to kuchh apnī ḳhushī se nahīñ ham ā.e hueik zabardast ke haiñ khīñch ke balvā.e hue
  17. yak ba yak hogī siyāhī is qadar jātī rahīkyā kaheñ goyā siyāhī yak sar-e-mū bhī na thī
  18. ye jo uṭhtī konpal hai jab apnā barg nikālegīḍālī ḍālī chāṭegī aur patā patā khā legī
  19. ye jo gul rū nigār hañste haiñfitna gar haiñ hazār hañste haiñ
  20. ye chhapke kā jo bālā kān meñ ab tum ne ḍālā haiisī bāle kī daulat se tumhārā bol bālā hai
  21. ye hasb-e-aql to koī nahīñ sāmān milne kāmagar duniyā se le jāveñge ham armān milne kā
  22. ye husn hai āh yā qayāmat ke ik bhabhūkā bhubhak rahā haifalak pe sūraj bhī thartharā kar muñh us kā hairat se tak rahā hai
  23. ye dil-e-nādāñ hamārā bhī ajab dīvāna thāus ko apnā ghar ye samjhā thā jo mehmāñ ḳhāna thā
  24. ye gila dil se to hargiz nahīñ jānā sāhabsab ne jānā hameñ par tum ne na jānā sāhab
  25. pān us ke laboñ pe is qadar hai zebāho rang pe jis ke surḳhī-e-la.al fidā
  26. kūche meñ tumhāre ham jo ṭuk āte haiñaur dil ko zarā baiṭh ke bahlāte haiñ
  27. gar yār se har roz mulāqāt nahīñaur ho bhī ga.ī to phir madārāt nahīñ
  28. ā.īna jo hāth us ke ne tā der liyāis der se ḳhajlat ne hameñ gher liyā
  29. is zulf ne ham se le ke dil basta kiyāabrū ne kajī ke ḍhab ko paivasta kyā
  30. us shoḳh ko ham ne jis ghaṛī jā dekhāmukhṛe meñ ajab husn kā naqsha dekhā
  31. ai dil jo ye ānkh āj laṛā.ī us neaur pal meñ laṛā ke phir jhukā.ī us ne
  32. pas us ke ga.e sipar jo ham kar sīnadil karne ko us kī jāh kā ganjīna
  33. dil dekh use jis ghaṛī be tāb huāaur chāh-e-zaqan se misl-e-girdāb huā
  34. rakhtī hai jo ḳhush chāh tumhārī ham koaur kartī hai shād bārī bārī ham ko
  35. rakhte haiñ jo ham chāh tumhārī dil meñārām kī hai umīdvārī dil meñ
  36. sāqī se jo ham ne mai kā ik jām liyāpīte hī nashe kā ye saranjām liyā
  37. kyā hāl ab us se apne dil kā kahiyemanzūr nahīñ ye bhī ke be jā kahiye
  38. mahbūb ne pairahan meñ jab itr milāaur pān chabā ke apne ghar se vo chalā
  39. mukhṛe ko jo us ke ham ne jā kar dekhāsanakh to nahīñ ye chhup chhupā kar dekhā
  40. nāseh na sunā suḳhan mujhe jis tis kejo tū ne kahā ye āve jī meñ kis ke
  41. ham us kī jafā se jī meñ ho kar dilgīrruk baiṭhe to haiñ vale kareñ kyā taqrīr
  42. ham dil se jo chāhte haiñ ai jān tumheñbe kal hūñ agar na dekheñ ek ān tumheñ
  43. hūñ kyūñ na butoñ kī ham ko dil se chāheñhaiñ nāz-o-adā meñ un ko kyā kyā rāheñ
  44. hai chāh ne us kī jab se kī jā dil meñkyā kyā kahiye jo hai mahiyā dil meñ
  45. yād ātī haiñ jab hameñ vo pahlī chāheñafsos kare hai dil meñ kyā kyā rāheñ
  46. ہولی (نظیر اکبر آبادی, I)
  47. مہادیو جی کا بیاہ
  48. بنجارہ نامہ
  49. روٹیاں
  50. مفلسی