Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Jigar Moradabadi

جگر مراد آبادی

1890–1960Born in MoradabadDied in Gonda

Ali Sikandar, who wrote as Jigar Moradabadi, was a ghazal poet of the classical school. He had a traditional education in Arabic, Persian and Urdu, worked as a travelling salesman and later settled in Gonda, where he was close to Asghar Gondvi. His collections are Dagh-e-Jigar, Shola-e-Toor and Atish-e-Gul, the last of which won the Sahitya Akademi Award in 1958. Aligarh Muslim University gave him an honorary D.Litt.

Writes about

  • Love
  • Lyrical ghazal
  • Sufi feeling

Poems

  1. kām āḳhir jazba-e-be iḳhtiyār ā hī gayādil kuchh is sūrat se taṛpā un ko pyār ā hī gayā
  2. kabhī shāḳh-o-sabza-o-barg par kabhī ġhuncha-o-gul-o-ḳhār parmaiñ chaman meñ chāhe jahāñ rahūñ mirā haq hai fasl-e-bahār par
  3. kasrat meñ bhī vahdat kā tamāshā nazar āyājis rang meñ dekhā tujhe yaktā nazar āyā
  4. kuchh is adā se āj vo pahlū nashīñ rahejab tak hamāre pās rahe ham nahīñ rahe
  5. kisī sūrat numūd-e-soz-e-pinhānī nahīñ jātībujhā jātā hai dil chehre kī tābānī nahīñ jātī
  6. koī ye kah de gulshan gulshanlākh balā.eñ ek nasheman
  7. kyā barābar kā mohabbat meñ asar hotā haidil idhar hotā hai zālim na idhar hotā hai
  8. kyā ta.ajjub ke mirī rūh-e-ravāñ tak pahuñchepahle koī mire naġhmoñ kī zabāñ tak pahuñche
  9. kyā kashish husn-e-be panāh meñ haijo qadam hai usī kī rāh meñ hai
  10. lākhoñ meñ intiḳhāb ke qābil banā diyājis dil ko tum ne dekh liyā dil banā diyā
  11. mohabbat āp apnī tarjumāñ haiyahī ḳhud chashm-o-dil lafz-o-bayāñ hai
  12. mohabbat sulh bhī paikār bhī haiye shāḳh-e-gul bhī hai talvār bhī hai
  13. mohabbat meñ ye kyā maqām ā rahe haiñke manzil pe haiñ aur chale jā rahe haiñ
  14. nazar milā ke mire pās ā ke lauṭ liyānazar haṭī thī ke phir muskurā ke lauṭ liyā
  15. naqāb-e-husn doālam uṭhā.ī jātī haimujhī ko merī tajallī dikhā.ī jātī hai
  16. nigāhoñ kā markaz banā jā rahā hūñmohabbat ke hāthoñ luṭā jā rahā hūñ
  17. na dekhā ruḳh-e-be naqāb mohabbatmohabbat hai shāyad hijāb-e-mohabbat
  18. niyāz-o-nāz ke jhagṛe miṭā.e jāte haiñham un meñ aur vo ham meñ samā-e-jāte haiñ
  19. vo adā-e-dilbarī ho ke navā-e-āshiqānajo diloñ ko fat.h kar le vahī fāteh-e-zamāna
  20. vo jo rūṭheñ yūñ manānā chāhiyezindagī se rūṭh jānā chāhiye
  21. har haqīqat ko bāndaz tamāshā dekhāḳhūb dekhā tire jalvoñ ko magar kyā dekhā
  22. har dam duā.eñ denā har lahza āheñ bharnāun kā bhī kām karnā apnā bhī kām karnā
  23. ham ko miṭā sake ye zamāne meñ dam nahīñham se zamāna ḳhud hai zamāne se ham nahīñ
  24. yādash baḳhair jab vo tasavvur meñ ā gayāsher-o-shabāb-o-husn kā dariyā bahā gayā
  25. ye zarre jin ko ham ḳhāk rah-e-manzil samajhte haiñzabān-e-hāl rakhte haiñ zabān-e-dil samajhte haiñ
  26. ye falak ye māh-o-anjum ye zamīn ye zamānatire husn kī hikāyat mire ishq kā fasāna
  27. ye misra kāsh naqsh har dar-o-dīvār ho jā.ejise jīnā ho marne ke liye tayyār ho jā.e
  28. ye hai mai kada yahāñ rind haiñ yahāñ sab kā sāqī imām haiye haram nahīñ hai ai shaiḳh jī yahāñ pārsā.ī harām hai
  29. یاد
  30. نرگس مستانہ
  31. ehsās-e-āshiqī ne begāna kar diyā haiyūñ bhī kisī ne aksar dīvāna kar diyā hai
  32. قحط بنگال
  33. pahle to husn-e-amal husn-e-yaqīñ paidā karphir isī ḳhāk se firdaus-e-barīñ paidā kar
  34. شکست توبہ
  35. kānṭā thā chashm-e-yās meñ ek ek rang-e-gulmere liye chaman bhī bayābāñ nikal gayā
  36. vo kāfir āshnā nā āshnā yūñ bhī hai aur yūñ bhīhamārī ibtidā tā intihā yūñ bhī hai aur yūñ bhī
  37. تصویر و تصور
  38. گاندھیؔ جی کی یاد میں!
  39. ye din bahār ke ab ke bhī rās ā na sakeke ġhunche khul to sake khul ke muskurā na sake
  40. ābād agar na dil ho to barbād kījiyegulshan na ban sake to bayābāñ banā.iye
  41. āġhāz-e-mohabbat kā anjām bas itnā haijab dil meñ tamannā thī ab dil hī tamannā hai
  42. ibtidā vo thī ke jīnā thā mohabbat meñ muhālintihā ye hai ke ab marnā bhī mushkil ho gayā
  43. itne hijāboñ par to ye ālam hai husn kākyā hāl ho jo dekh leñ parda uṭhā ke ham
  44. us ne apnā banā ke chhoṛ diyākyā asīrī hai kyā rihā.ī hai
  45. ek aisā bhī vaqt hotā haimuskurāhaṭ bhī āh hotī hai
  46. tire jamāl kī tasvīr khīñch dūñ lekinzabāñ meñ ānkh nahīñ ānkh meñ zabān nahīñ
  47. hasīñ terī ānkheñ hasīñ tere ānsūyahīñ ḍūb jāne ko jī chāhtā hai
  48. dard-o-ġham dil kī tabī.at ban ga.eab yahāñ ārām hī ārām hai
  49. dil hai qadmoñ par kisī ke sar jhukā ho yā na hobandagī to apnī fitrat hai ḳhudā ho yā na ho
  50. donoñ hāthoñ se lauṭṭī hai hameñkitnī zālim hai terī angṛā.ī