کیا برابر کا محبت میں اثر ہوتا ہے
Jigar Moradabadi (1890–1960)کیا برابر کا محبت میں اثر ہوتا ہے
دل ادھر ہوتا ہے ظالم نہ ادھر ہوتا ہے
ہم نے کیا کچھ نہ کیا دیدۂ دل کی خاطر
لوگ کہتے ہیں دعاؤں میں اثر ہوتا ہے
دل تو یوں دل سے ملایا کہ نہ رکھا میرا
اب نظر کے لیے کیا حکم نظر ہوتا ہے
میں گنہ گار جنوں میں نے یہ مانا لیکن
کچھ ادھر سے بھی تقاضائے نظر ہوتا ہے
کون دیکھے اسے بیتاب محبت اے دل
تو وہ نالے ہی نہ کر جن میں اثر ہوتا ہے
kya barabar ka mohabbat mein asar hota hai
dil idhar hota hai zalim na idhar hota hai
ham ne kya kuchh na kiya dida-e-dil ki khatir
log kahte hain duaon mein asar hota hai
dil to yun dil se milaya ke na rakha mera
ab nazar ke liye kya hukm nazar hota hai
main gunah gar-e-junun main ne ye mana lekin
kuchh idhar se bhi taqaza-e-nazar hota hai
kaun dekhe use betab mohabbat ai dil
to wo nale hi na kar jin mein asar hota hai