محبت صلح بھی پیکار بھی ہے
Jigar Moradabadi (1890–1960)محبت صلح بھی پیکار بھی ہے
یہ شاخ گل بھی ہے تلوار بھی ہے
طبیعت اس طرف خوددار بھی ہے
ادھر نازک مزاج یار بھی ہے
ادائے عشق ادائے یار بھی ہے
بہت سادہ بہت پرکار بھی ہے
یہ فتنے جن سے اک دنیا ہے نالاں
انہیں سے گرمئ بازار بھی ہے
جنوں کے دم سے ہے نظم دو عالم
جنوں برہم زن افکار بھی ہے
نفس پر ہے مدار زندگانی
نفس چلتی ہوئی تلوار بھی ہے
اسی انسان میں سب کچھ ہے پنہاں
مگر یہ معرفت دشوار بھی ہے
وہ بوئے گل کہ ہے جان چمن بھی
قیامت ہے چمن بے زار بھی ہے
یہی دنیا ہے نسبت آنسوؤں کی
یہی دنیا تبسم زار بھی ہے
جہاں وہ ہیں وہیں میرا تصور
جہاں میں ہوں خیال یار بھی ہے
خبردار اے سبک ساران ساحل
یہ ساحل ہی کبھی منجدھار بھی ہے
غنیمت ہے کہ اس دور ہوس میں
ترا ملنا بہت دشوار بھی ہے
جو کوئی سن سکے تو نکہت گل
شکست رنگ کی جھنکار بھی ہے
ان آنکھوں کی زہے معجز بیانی
بہم انکار بھی اقرار بھی ہے
mohabbat sulh bhi paikar bhi hai
ye shakh-e-gul bhi hai talwar bhi hai
tabiat is taraf khuddar bhi hai
idhar nazuk mizaj-e-yar bhi hai
ada-e-ishq ada-e-yar bhi hai
bahut sada bahut parkar bhi hai
ye fitne jin se ik duniya hai nalan
unhen se garmi-e-bazar bhi hai
junun ke dam se hai nazm-e-do alam
junun barham zan-e-afkar bhi hai
nafas par hai madar-e-zindagani
nafas chalti hui talwar bhi hai
isi insan mein sab kuchh hai pinhan
magar ye maarifat dushwar bhi hai
wo bu-e-gul ke hai jan-e-chaman bhi
qayamat hai chaman be zar bhi hai
yahi duniya hai nisbat ansuon ki
yahi duniya tabassum zar bhi hai
jahan wo hain wahin mera tasawwur
jahan mein hun khayal-e-yar bhi hai
khabardar ai subuk saran-e-sahil
ye sahil hi kabhi manjdhar bhi hai
ghanimat hai ke is daur-e-hawas mein
tira milna bahut dushwar bhi hai
jo koi sun sake to nikhat-e-gul
shikast-e-rang ki jhankar bhi hai
in ankhon ki zahe mojiz bayani
baham inkar bhi iqrar bhi hai