Poet
Arzoo Lakhnavi
آرزو لکھنوی1873–1951
Poems
- آج بے آپ ہو گئے ہم بھیآپ کو پا کے کھو گئے ہم بھیāj be āp ho ga.e ham bhīāp ko pā ke kho ga.e ham bhī
- آنکھ سے دل میں آنے والادل سے نہیں اب جانے والاānkh se dil meñ āne vālādil se nahīñ ab jāne vālā
- آنے میں جھجھک ملنے میں حیا تم اور کہیں ہم اور کہیںاب عہد وفا ٹوٹا کہ رہا تم اور کہیں ہم اور کہیںāne meñ jhunjhuk milne meñ hayā tum aur kahīñ ham aur kahīñab ahd-e-vafā ṭūṭā ke rahā tum aur kahīñ ham aur kahīñ
- ازل سے نقش دل ہے ناز جانانہ محمد کاکیا ہے لوح نے محفوظ افسانہ محمد کاazal se naqsh-e-dil hai nāz jānāna mohammad kākyā hai lauh ne mahfūz afsāna mohammad kā
- اس کی تو ایک دل لگی اپنا بنا کے چھوڑ دےجائے وہ اب کہاں جسے سب سے چھڑا کے چھوڑ دےus kī to ek dil lagī apnā banā ke chhoṛ dejā.e vo ab kahāñ jise sab se chhuṛā ke chhoṛ de
- اے جذب محبت تو ہی بتا کیوں کر نہ اثر لے دل ہی تو ہےسیدھی بھی چھری ٹیڑھی بھی چھری دل دوز نظر قاتل ہی تو ہےai jazb-e-mohabbat tū hī batā kyūñ kar na asar le dil hī to haisīdhī bhī chhurī ṭeṛhī bhī chhurī dil doz nazar qātil hī to hai
- اے مرے زخم دل نواز غم کو خوشی بنائے جاآنکھوں سے خوں بہائے جا ہونٹوں سے مسکرائے جاai mire zaḳhm-e-dil navāz ġham ko ḳhushī banā.e jāānkhoñ se ḳhūñ bahā.e jā honṭoñ se muskurā.e jā
- بغور دیکھ رہا ہے ادا شناس مجھےبس اب ذلیل نہ کر اے نگاہ یاس مجھےbaġhaur dekh rahā hai adā shanās mujhebas ab zalīl na kar ai nigāh-e-yās mujhe
- بھولے بن کر حال نہ پوچھو بہتے ہیں اشک تو بہنے دوجس سے بڑھے بے چینی دل کی ایسی تسلی رہنے دوbhūle ban kar hāl na pūchho bahte haiñ ashk to bahne dojis se baṛhe be chīnī dil kī aisī tasallī rahne do
- پانی میں آگ دھیان سے تیرے بھڑک گئیآنسو میں کوندتی ہوئی بجلی جھلک گئیpānī meñ āg dhyān se tere bhaṛak ga.īānsū meñ kaundtī huī bijlī jhalak ga.ī
- پھر چاہے تو نہ آنا او آن بان والےجھوٹا ہی وعدہ کر لے سچی زبان والےphir chāhe to na ānā o ān bān vālejhūṭā hī va.ada kar le sachchī zabān vāle
- پھیر جو پڑنا تھا قسمت میں وہ حسب معمول پڑاخندۂ گل سے اڑا وہ شرارہ خرمن دل پر پھول پڑاpher jo paṛnā thā qismat meñ vo hasb-e-ma.amūl paṛāḳhanda-e-gul se uṛā vo sharāra ḳhirman dil par phūl paṛā
- پیوں ہی کیوں جو برا جانوں اور چھپا کے پیوںمیں وہ نہیں کہ نگاہیں بچا بچا کے پیوںpiyūñ hī kyūñ jo burā jānūñ aur chhupā ke piyūñmaiñ vo nahīñ ke nigāheñ bachā bachā ke piyūñ
- تڑپتے دل کو نہ لے اضطراب لیتا جاپٹک دے ساغر خالی شراب لیتا جاtaṛapte dil ko na le iztirāb letā jāpaṭak de sāġhar-e-ḳhālī sharāb letā jā
- تسکین دل کا یہ کیا قرینہروکوں جو نالہ پھٹ جائے سینہtaskīn-e-dil kā ye kyā qarīnarokūñ jo nāla phaṭ jā.e sīna
- تقدیر پہ شاکر رہ کر بھی یہ کون کہے تدبیر نہ کروا باب اجابت ہو کہ نہ ہو زنجیر ہلا تاخیر نہ کرtaqdīr pe shākir rah kar bhī ye kaun kahe tadbīr na karvā bāb-e-ijābat ho ke na ho zanjīr hilā tāḳhīr na kar
- تلاش رنگ میں آوارہ مثل بو ہوں میںگزر کے آپ سے اپنی ہی جستجو ہوں میںtalāsh rang meñ āvāra misl-e-bū hūñ maiñguzar ke āp se apnī hī justujū hūñ maiñ
- تمہیں کیا کام نالوں سے تمہیں کیا کام آہوں سےچھپایا ہو گناہ عشق تو پوچھو گواہوں سےtumheñ kyā kām nāloñ se tumheñ kyā kām āhoñ sechhupāyā ho gunāh-e-ishq to pūchho gavāhoñ se
- جتنا تھا سرگرم کار اتنا ہی دل ناکام تھاہوش جس کا نام ہے وہ بھی جنون خام تھاjitnā thā sargarm-e-kār itnā hī dil nākām thāhosh jis kā nām hai vo bhī junūn-e-ḳhām thā
- جن راتوں میں نیند اڑ جاتی ہے کیا قہر کی راتیں ہوتی ہیںدروازوں سے ٹکرا جاتے ہیں دیواروں سے باتیں ہوتی ہیںjin rātoñ meñ nīnd uṛ jātī hai kyā qahr kī rāteñ hotī haiñdarvāzoñ se ṭakrā jāte haiñ dīvāroñ se bāteñ hotī haiñ
- جہاں کہ ہے جرم ایک نگاہ کرناوہیں ہے گنہ پہ ڈٹ کے گناہ کرناjahāñ ke hai jurm ek nigāh karnāvahīñ hai gunah pe ḍaṭ ke gunāh karnā
- حسن سے شرح ہوئی عشق کے افسانے کیشمع لو دے کے زباں بن گئی پروانے کیhusn se sharh huī ishq ke afsāne kīsham.a lo de ke zabāñ ban ga.ī parvāne kī
- خالی بیٹھے کیوں دن کاٹیں آؤ رے جی اک کام کریںوہ تو ہیں راجہ ہم بنیں پرجا اور جھک جھک کے سلام کریںḳhālī baiṭhe kyūñ din kāṭeñ ā.o re jī ik kām kareñvo to haiñ rāja ham baneñ pirjā aur jhuk jhuk ke salām kareñ
- دل دے رہا تھا جو اسے بے دل بنا دیاآسان کام آپ نے مشکل بنا دیاdil de rahā thā jo use be dil banā diyāāsān kām āp ne mushkil banā diyā
- دل مکدر ہے آئینہ رو کانہ ملا رنگ سے پتا بو کاdil mukaddar hai ā.īna rū kāna milā rang se patā bū kā
- دل میں یاد بت بے پیر لیے بیٹھا ہوںیعنی اک ظلم کی تصویر لیے بیٹھا ہوںdil meñ yād-e-but-e-be pīr liye baiṭhā hūñya.anī ik zulm kī tasvīr liye baiṭhā hūñ
- دم بخود بیٹھ کے خود جیسے زباں گیلی ہےسانس کیا لوں کہ ہوا دہر کی زہریلی ہےdam baḳhud baiṭh ke ḳhud jaise zabāñ gīlī haisāns kyā lūñ ke huā dahr kī zahrīlī hai
- دور تھے ہوش و حواس اپنے سے بھی بیگانہ تھاان کو بزم ناز تھی اور مجھ کو خلوت خانہ تھاdūr the hosh-o-havās apne se bhī begāna thāun ko bazm-e-nāz thī aur mujh ko ḳhalvat ḳhāna thā
- عیاں ہے بے رخی چتون سے اور غصہ نگاہوں سےپیام خامشی اور وہ بھی دو دو نشر گاہوں سےayāñ hai be ruḳhī chitvan se aur ġhussa nigāhoñ sepayām-e-ḳhāmushī aur vo bhī do do nashr gāhoñ se
- کچھ میں نے کہی ہے نہ ابھی اس نے سنی ہےچتون ہے کہ تلوار لئے سر پہ کھڑی ہےkuchh maiñ ne kahī hai na abhī us ne sunī haichitvan hai ke talvār liye sar pe khaṛī hai
- کرم ان کا خود ہے بڑھ کر مری حد التجا سےمجھے سوء ظن نہیں ہے کہ دعا کروں خدا سےkaram un kā ḳhud hai baṛh kar mirī had-e-iltijā semujhe sū zan nahīñ hai ke duā karūñ ḳhudā se
- کسی گمان و یقین کی حد میں وہ شوخ پردہ نشیں نہیں ہےجہاں نہ سمجھو اسی جگہ ہے جہاں سمجھ لو وہیں نہیں ہےkisī gumān-o-yaqīn kī had meñ vo shoḳh parda nashīñ nahīñ haijahāñ na samjho isī jagah hai jahāñ samajh lo vahīñ nahīñ hai
- کہیں سر پٹکتے دیوانے کہیں پر جھلستے پروانےجو ہو بے شعور کیا جانے یہ ہیں زندگی کے افسانےkahīñ sar paṭakte dīvāne kahīñ par jhulaste parvānejo ho be shuūr kyā jāne ye haiñ zindagī ke afsāne
- کیوں کسی رہرو سے پوچھوں اپنی منزل کا پتاموج دریا خود لگا لیتی ہے ساحل کا پتاkyūñ kisī rahrau se pūchhūñ apnī manzil kā patāmauj-e-dariyā ḳhud lagā letī hai sāhil kā patā
- گنوا کے دل سا گہر درد سر خرید لیابہت گراں تھا یہ سودا مگر خرید لیاgañvā ke dil sā guhar dard-e-sar ḳharīd liyābahut girāñ thā ye saudā magar ḳharīd liyā
- گورے گورے چاند سے منہ پر کالی کالی آنکھیں ہیںدیکھ کے جن کو نیند آ جائے وہ متوالی آنکھیں ہیںgore gore chānd se muñh par kālī kālī ānkheñ haiñdekh ke jin ko nīnd ā jā.e vo mutavālī ānkheñ haiñ
- مجھ کو دل قسمت نے اس کو حسن غارت گر دیاچور کر دے کیوں نہ وہ شیشہ جسے پتھر دیاmujh ko dil qismat ne us ko husn ġhārat gar diyāchūr kar de kyūñ na vo shīsha jise patthar diyā
- مری نگاہ کہاں دید حسن یار کہاںہو اعتبار تو پھر تاب انتظار کہاںmirī nigāh kahāñ dīd husn-e-yār kahāñho etibār to phir tāb intizār kahāñ
- مرے جوش غم کی ہے عجب کہانیکبھی اٹھتا شعلہ کبھی بہتا پانیmire josh-e-ġham kī hai ajab kahānīkabhī uṭhtā shola kabhī bahtā pānī
- میر محفل نہ ہوئے گرمئ محفل تو ہوئےشمع تاباں نہ سہی جلتا ہوا دل تو ہوئےmīr-e-mahfil na hue garmī-e-mahfil to huesham-e-tābāñ na sahī jaltā huā dil to hue
- نالے مجبوروں کے خالی نہیں جانے والےہیں یہ سوتا ہوا انصاف جگانے والےnāle majbūroñ ke ḳhālī nahīñ jāne vālehaiñ ye sotā huā insāf jagāne vāle
- نظر اس چشم پہ ہے جام لیے بیٹھا ہوںہے نہ پینے کا یہ مطلب کہ پیے بیٹھا ہوںnazar us chashm pe hai jām liye baiṭhā hūñhai na pīne kā ye matlab ke piye baiṭhā hūñ
- نہ کر تلاش اثر تیر ہے لگا نہ لگاجو اپنے بس کا نہیں اس کا آسرا نہ لگاna kar talāsh-e-asar tīr hai lagā na lagājo apne bas kā nahīñ us kā āsrā na lagā
- وہ بن کر بے زباں لینے کو بیٹھے ہیں زباں مجھ سےکہ خود کہتے نہیں کچھ اور کہلواتے ہیں ہاں مجھ سےvo ban kar be zabāñ lene ko baiṭhe haiñ zabāñ mujh seke ḳhud kahte nahīñ kuchh aur kahlavāte haiñ hāñ mujh se
- وہ سر بام کب نہیں آتاجب میں ہوتا ہوں تب نہیں آتاvo sar-e-bām kab nahīñ ātājab maiñ hotā hūñ tab nahīñ ātā
- وہ کیا لکھتا جسے انکار کرتے بھی حجاب آیاجواب خط نہیں آیا تو یہ سمجھو جواب آیاvo kyā likhtā jise inkār karte bhī hijāb āyājavāb-e-ḳhat nahīñ āyā to ye samjho javāb āyā
- ہاں دید کا اقرار اگر ہو تو ابھی ہواور یوں ہو کہ دیدار اگر ہو تو ابھی ہوhāñ dīd kā iqrār agar ho to abhī hoaur yūñ ho ke dīdār agar ho to abhī ho
- ہر سانس ہے اک نغمہ ہر نغمہ ہے مستانہکس درجہ دکھے دل کا رنگین ہے افسانہhar sāns hai ik naġhma har naġhma hai mastānakis darja dikhe dil kā rangīn hai afsāna
- ہم آج کھائیں گے اک تیر امتحاں کے لیےکہ وقف کرنا ہے دل ناز جاں ستاں کے لیےham āj khā.eñge ik tīr imtihāñ ke liyeke vaqf karnā hai dil nāz jāñ sitāñ ke liye
- ہیں دیس بدیس ایک گزر اور بسر میںبے آس کو کب چین ملا ہے کسی گھر میںhaiñ des bades ek guzar aur basar meñbe ās ko kab chain milā hai kisī ghar meñ