Poet
Arzoo Lakhnavi
آرزو لکھنوی1873–1951
Poems
- یوں دور دور دل سے ہو ہو کے دل نشیں بھیہیں تو اسی جہاں میں ملتے نہیں کہیں بھیyūñ dūr dūr dil se ho ho ke dil nashīñ bhīhaiñ to isī jahāñ meñ milte nahīñ kahīñ bhī
- یہ داستان دل ہے کیا ہو ادا زباں سےآنسو ٹپک رہے ہیں لفظیں ملیں کہاں سےye dāstān-e-dil hai kyā ho adā zabāñ seānsū ṭapak rahe haiñ lafzeñ mileñ kahāñ se
- یہی اک نباہ کی شکل ہے وہ جفا کریں میں وفا کروںاگر اس پہ بھی نہ نبھی تو پھر مرے کردگار میں کیا کروںyahī ik nibāh kī shakl hai vo jafā kareñ meñ vafā karūñagar us pe bhī na nibhī to phir mire kirdagār meñ kyā karūñ
- اس پار سے یوں ڈوب کے اس پار گئےسوتی قسمت کو کر کے بیدار گئےus pār se yūñ ḍūb ke us pār ga.esotī qismat ko kar ke bedār ga.e
- تو کہتا ہے خالق شر و خیر نہیںمیں کہتا ہوں خالی حرم و دیر نہیںtū kahtā hai ḳhāliq shar-o-ḳhair nahīñmaiñ kahtā hūñ ḳhālī haram-o-dair nahīñ
- تو نے اے انقلاب کیا خلق کیاالٹا ہوا جو نکتہ نیا خلق کیاtū ne ai inqilāb kyā ḳhalq kiyāulṭā huā jo nukta nayā ḳhalq kiyā
- جب تک تکلیف دل نہیں پاتا ہےکیا کیا مانگوں سمجھ میں کب آتا ہےjab tak taklīf-e-dil nahīñ pātā haikyā kyā māñgūñ samajh meñ kab ātā hai
- کانوں کی غرض کلام بتلاتا ہےآنکھیں کیوں ہیں نظر خود جاتا ہےkānoñ kī ġharaz kalām batlātā haiānkheñ kyūñ haiñ nazar ḳhud jātā hai
- آرام کے تھے ساتھی کیا کیا جب وقت پڑا تو کوئی نہیںسب دوست ہیں اپنے مطلب کے دنیا میں کسی کا کوئی نہیںārām ke the sāthī kyā kyā jab vaqt paṛā to koī nahīñsab dost haiñ apne matlab ke duniyā meñ kisī kā koī nahīñ
- اول شب وہ بزم کی رونق شمع بھی تھی پروانہ بھیرات کے آخر ہوتے ہوتے ختم تھا یہ افسانہ بھیavval shab vo bazm kī raunaq sham.a bhī thī parvāna bhīrāt ke āḳhir hote hote ḳhatm thā ye afsāna bhī
- قومی گیت
- جو بت ہے یہاں اپنی جا ایک ہی ہےدوئی چھوڑ بندے خدا ایک ہی ہےjo but hai yahāñ apnī jā ek hī haidūī chhoṛ bande ḳhudā ek hī hai
- جو دل ساتھ چھٹنے سے گھبرا رہا ہےوہ چھٹتا نہیں اور پاس آ رہا ہےjo dil sāth chhuṭne se ghabrā rahā haivo chhuṭṭā nahīñ aur pās ā rahā hai
- دیکھیں محشر میں ان سے کیا ٹھہرےتھے وہی بت وہی خدا ٹھہرےdekheñ mahshar meñ un se kyā ṭhahrethe vahī but vahī ḳhudā ṭhahre
- رس ان آنکھوں کا ہے کہنے کو ذرا سا پانیسینکڑوں ڈوب گئے پھر بھی ہے اتنا پانیras in ānkhoñ kā hai kahne ko zarā sā pānīsainkṛoñ ḍūb ga.e phir bhī hai itnā pānī
- قربت بڑھا بڑھا کر بے خود بنا رہے ہیںمیں دور ہٹ رہا ہوں وہ پاس آ رہے ہیںqurbat baṛhā baṛhā kar be ḳhud banā rahe haiñmaiñ dūr haṭ rahā hūñ vo pās ā rahe haiñ
- کس مست ادا سے آنکھ لڑی متوالا بنا لہرا کے گراآگے تو ہیں راہیں اور کٹھن دل پہلے ہی ٹھوکر کھا کے گراkis mast adā se ānkh laṛī matvālā banā lahrā ke girāāge to haiñ rāheñ aur kaṭhin dil pahle hī ṭhokar khā ke girā
- معصوم نظر کا بھولا پن للچا کے لبھانا کیا جانےدل آپ نشانہ بنتا ہے وہ تیر چلانا کیا جانےma.asūm nazar kā bhūlā pan lalchā ke lubhānā kyā jānedil āp nishāna bantā hai vo tīr chalānā kyā jāne
- وعدہ سچا ہے کہ جھوٹا مجھے معلوم نہ تھاکل بدل جائے گی دنیا مجھے معلوم نہ تھاva.ada sachchā hai ke jhūṭā mujhe ma.alūm na thākal badal jā.egī duniyā mujhe ma.alūm na thā
- نہ کوئی جلوتی نہ کوئی خلوتی نہ کوئی خاص تھا نہ کوئی عام تھانہ کوئی حسن تھا نہ کوئی عشق تھا نہ یہی نام تھا نہ وہی نام تھاna koī jalvatī na koī ḳhalvatī na koī ḳhās thā na koī ām thāna koī husn thā na koī ishq thā na yahī nām thā na vahī nām thā