Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Pandit Jawahar Nath Saqi

پنڈت جواہر ناتھ ساقی

1864–1916

Poems

  1. us shoḳh dam shi.ār se kahtā salām-e-shauqqāsid yahī hai āj hamārā payām-e-shauq
  2. ashk ā ā ke mirī ānkhoñ meñ tham jāte haiñjab vo kahte haiñ abhī to nahīñ ham jāte haiñ
  3. agar itnā na to ayyār hotātū dushman kā na hargiz yār hotā
  4. tujhe ḳhalq kahtī hai ḳhud numā tujhe ham se kyūñ ye hijāb haitirā jalva terā hai parda dar tere ruḳh pe kyūñ ye naqāb hai
  5. ta.ayyun tasalsul hai naqsh-e-badan kāusī se ta.alluq hai ye jān-o-tan kā
  6. talāsh jis nūr kī hai tujh ko chhupā hai tere badan ke andarzuhūr ālam huā usī se vo hai har ik jān-o-tan ke andar
  7. tum ne dekhā hī nahīñ hai vo nizām-e-maḳhsūskū-e-jānāñ meñ hamārā hai qayām-e-maḳhsūs
  8. tū hī unnīs-e-ġham rahā nāla-e-ġhamgusār-e-shabyās pasand jab huā bismil intizār-e-shab
  9. jazba meñ sulūk aur nafī meñ hai jo isbātai sālik majzūb ye hai sair maqāmāt
  10. jalva-e-dīdār to ik bāt hailan tarānī āshiqoñ kī ghāt hai
  11. jo bashar har vaqt mahv-e-zāt haiqalb us kā lam yazal marāt hai
  12. harīs ho na jahāñ meñ na apnā jī bhaṭkāzabāñ bigaṛ ga.ī gar us ko ā gayā chaṭkā
  13. hasrat-o-ummīd kā mātam rahāye vo dil hai jo sadā par ġham rahā
  14. dāġh-e-ġham-e-firāq miṭāyā na jā.egājaltā huā charāġh bujhāyā na jā.egā
  15. dil soḳhta ko apne jalāyā ġhazab kiyānairang tum ne kyā ye dikhāyā ġhazab kiyā
  16. dil-e-shahīd huā hai shahīd-e-husn-e-sifātpilāyā zauq-e-nazar ne bhī jām-e-āb-e-hayāt
  17. shahīd-e-armāñ paṛe haiñ bismil khaṛā vo talvār kā dhanī haiidhar to ye qatl-e-ām dekhā idhar vo kaisī kaṭā chhannī hai
  18. tālib-e-ishq hai kyā sālik-e-uryāñ na huāqurb-e-mahjūr huā vāsil jānāñ na huā
  19. adū-e-ḳhīra sarāb ho gayā baṛā ḳhurrānṭyahī hai dil meñ ke deñ āj us ko ham ik ḍāñṭ
  20. ġhazab ke taish meñ vo shoḳh dīda āyā thāba shakl-e-qahr thā ḳhanjar kashīda āyā thā
  21. kar sair apne dil kī hai nūr kā tamāshāhāñ dekh ban ke mūsā is taur kā tamāshā
  22. kis rang meñ bayān kareñ mājrā-e-qalbdekhā jo ham ne jalva-e-hairat fazā-e-qalb
  23. kahāñ hai vo gul-e-ḳhandāñ hameñ nahīñ ma.alūmna pūchh bulbul-e-nālāñ hameñ nahīñ ma.alūm
  24. kyūñ ā ga.e haiñ bazm-e-zuhūr-o-numūd meñāzād mard ho ke rahe ham quyūd meñ
  25. gayā sab ranj-o-ġham kunj-e-qafas kātarahhum ho gayā fariyād ras kā
  26. mujh se kahte ho kyā kaheñge āpjo kahūñgā to kyā suneñge āp
  27. milte nahīñ ho ham se ye kyā huā vatīrāmilne lagā hai shāyad ab tum se koī ḳhairā
  28. vāh kyā ham ko banāyā aur banā kar rah ga.evasl kā muzhda sunāyā aur sunā kar rah ga.e
  29. vo ā.e nigār meñ na mānūñā jā.e qarār meñ na mānūñ
  30. vo pās hai tere dūr nahīñ to vāsil hai mahjūr nahīñkyūñ habl murakkab meñ hai phañsā muḳhtār hai to majbūr nahīñ
  31. vo ram shi.ār mirā shoḳh dīda āyā thāvo ishva sanj-e-kashīda kashīda āyā thā
  32. vahī zid un ko hai vahī hai haṭun kī chāhī nahīñ hai ye jhanjhaṭ
  33. hastī-e-nīst numā dīda-e-hairāñ samjhātujh ko daurān-e-baqā ḳhvāb-e-pareshāñ samjhā
  34. hamārā husn-e-ta.alluq vafā bane na banevo ishva sanj hai farruḳh liqā bane na bane
  35. ham se jo ahd thā vo ahd shikan bhūl gayāapne ushshāq ko vo ġhuncha dahan bhūl gayā
  36. yahī tamannā-e-dil hai un kī jidhar ko ruḳh ho idhar ko chaliyehuā hai go ishtiyāq be had jamā ke pā.e nazar ko chaliye
  37. āp haiñ mahv-e-husn-o-ra.anā.īham ko apnā kyā hai saudā.ī
  38. apnī sūrat na jab nazar ā.īshakl āvāragoñ ne dikhlā.ī
  39. tū ne sūrat jo apnī dikhlā.īmiṭ ga.ī sārī ye man-o-mā.ī
  40. jis se terī huī hai yaktā.īus ne vahdat se āgahī pā.ī
  41. dekh kar terī ālam ārā.īterī panhā.ī aur paidā.ī
  42. ishq ma.ashūq kā hai paidā.īāshiqī ne ye shakl dikhlā.ī
  43. hue be ḳhud to be ḳhudī ā.īḳhud shanāsī huī ḳhud ārā.ī
  44. dil-e-zinda ḳhud rahnumā ho gayāye qibla hī qibla numā ho gayā
  45. apne junūñ kade se nikaltā hī ab nahīñsāqī jo mai farosh sar-e-rah guzār thā
  46. burā.ī bhalā.ī kī sūrat huīmohabbat meñ sab kuchh ravā ho gayā
  47. jazba-e-ishq chāhiye sūfījo hai afsurda ahl-e-hāl nahīñ
  48. jam ga.e rāh meñ ham naqsh-e-qadam kī sūratnaqsh-e-pā rāh dikhāte haiñ ke vo āte haiñ
  49. chhū le sabā jo ā ke mire gul badan ke pā.oñqā.im na hūñ chaman meñ nasīm-e-chaman ke pā.oñ
  50. dil bhī ab pahlū tahī karne lagāho gayā tum sā tumhārī yād meñ