Poet
Pandit Jawahar Nath Saqi
پنڈت جواہر ناتھ ساقی1864–1916
Poems
- سالک ہے گرچہ سیر مقامات دل فریبجو رک گئے یہاں وہ مقام خطر میں ہیںsālik hai garche sair maqāmāt-e-dil farebjo ruk ga.e yahāñ vo maqām-e-ḳhatar meñ haiñ
- فلک پہ چاند ستارے نکلتے ہیں ہر شبستم یہی ہے نکلتا نہیں ہمارا چاندfalak pe chānd sitāre nikalte haiñ har shabsitam yahī hai nikaltā nahīñ hamārā chānd
- قالب کو اپنے چھوڑ کے مقلوب ہو گئےکیا اور کوئی قلب ہے اس انقلاب میںqālib ko apne chhoṛ ke maqlūb ho ga.ekyā aur koī qalb hai is inqilāb meñ
- محو لقا جو ہیں ملکوتی خصال ہیںبیدار ہو کے بھی نظر آتے ہیں خواب میںmahv-e-liqā jo haiñ malakūtī ḳhisāl haiñbedār ho ke bhī nazar āte haiñ ḳhvāb meñ
- نفس مطلب ہی مرا فوت ہوا جاتا ہےجان جاناں یہ مناسب نہیں گھبرا دیناnafas-e-matlab hī mirā faut huā jātā haijān-e-jānāñ ye munāsib nahīñ ghabrā denā
- نگہ ناز سے اس چست قبا نے دیکھاشوق بیتاب گل چاک گریباں سمجھاnigah-e-nāz se is chust qabā ne dekhāshauq betāb gul chāk-e-garebāñ samjhā
- نیرنگ عشق آج تو ہو جائے کچھ مددپر فن کو ہم کریں متحیر کسی طرحnairang-e-ishq āj to ho jā.e kuchh madadpur fan ko ham kareñ mutahayyir kisī tarah
- وہ ماہ جلوہ دکھا کر ہمیں ہوا روپوشیہ آرزو ہے کہ نکلے کہیں دوبارا چاندvo māh jalva dikhā kar hameñ huā rūposhye ārzū hai ke nikle kahīñ dobārā chānd
- ہم کو بھرم نے بحر توہم بنا دیادریا سمجھ کے کود پڑے ہم سراب میںham ko bharam ne bahr tavahhum banā diyādariyā samajh ke kūd paṛe ham sarāb meñ
- یہ روپوشی نہیں ہے صورت مردم شناسی ہےہر اک نا اہل تیرا طالب دیدار بن جاتاye rūposhī nahīñ hai sūrat mardum shanāsī haihar ik nā ahl terā tālib-e-dīdār ban jātā