جو بشر ہر وقت محو ذات ہے
Pandit Jawahar Nath Saqi (1864–1916)جو بشر ہر وقت محو ذات ہے
قلب اس کا لم یزل مرآت ہے
جس کو شغل نفی و اثبات ہے
وہ ہی صاحب دل ہے خوش اوقات ہے
سہو ہوتا ہے کبھی ہوتا ہے محو
کیا مزے کا اپنا یہ دن رات ہے
نامراد دہر فرد دہر ہے
وہ جہاں میں قاضی الحاجات ہے
ہوں صفات نفس جس کے قلب روح
وہ بشر کب ہے وہ حسن ذات ہے
صاحب نسبت کا رتبہ ہے بلند
گرچہ زاہد صاحب الدعوات ہے
بست میں جب قبض کا دورہ ہوا
ہے قیامت نزع کی سکرات ہے
وہ تعین ہی کے پھندے میں رہا
جو یہاں پابند محسوسات ہے
مغبچو ہو جاؤ تم بھی بے نیاز
پیر مغ تو قبلۂ حاجات ہے
ہم بھی ہیں ساقیؔ تلاش یار میں
وہ جو مل جائے تو پھر کیا بات ہے
jo bashar har waqt mahw-e-zat hai
qalb us ka lam yazal marat hai
jis ko shaghl-e-nafi-o-isbat hai
wo hi sahab dil hai khush auqat hai
saho hota hai kabhi hota hai mahw
kya maze ka apna ye din rat hai
namurad-e-dahr fard-e-dahr hai
wo jahan mein qazi alhajat hai
hun sifat-e-nafas jis ke qalb ruh
wo bashar kab hai wo husn-e-zat hai
sahab-e-nisbat ka rutba hai buland
garche zahid sahab alddaawat hai
bast mein jab qabz ka daura hua
hai qayamat nazaa ki sakarat hai
wo taayyun hi ke phande mein raha
jo yahan paband-e-mahsusat hai
maghbachcho ho jao tum bhi be niyaz
pir-e-magh to qibla-e-hajat hai
ham bhi hain saqi talash-e-yar mein
wo jo mil jae to phir kya bat hai