Poet
Obaidur Rahman
1961–2014
Poems
- اپنا محاسبہ کبھی کرنے نہیں دیاخود بینیوں نے ہم کو سنورنے نہیں دیاapnā muhāsaba kabhī karne nahīñ diyāḳhud bīniyoñ ne ham ko sañvarne nahīñ diyā
- ایک مدت سے جو سینے میں بسا ہے کیا ہےکرب احساس ہے یا کرب انا ہے کیا ہےek muddat se jo sīne meñ basā hai kyā haikarb-e-ehsās hai yā karb-e-anā hai kyā hai
- بڑے ہی ناز سے لایا گیا ہوںمیں کاندھا دے کر اٹھوایا گیا ہوںbaṛe hī nāz se lāyā gayā hūñmaiñ kāndhā de kar uṭhvāyā gayā hūñ
- پر کیف کہیں کے بھی نظارے نہ رہیں گےدنیا میں اگر عشق کے مارے نہ رہیں گےpur kaif kahīñ ke bhī nazāre na raheñgeduniyā meñ agar ishq ke māre na raheñge
- پہلے کچھ دن مرے زخموں کی نمائش ہوگیپھر مرے حال پہ اس بت کی نوازش ہوگیpahle kuchh din mire zaḳhmoñ kī numā.ish hogīphir mire hāl pe us but kī navāzish hogī
- تصور میں مرے ایسے کوئی چہرہ نکلتا ہےکہ سوکھی شاخ پر جیسے ہرا پتہ نکلتا ہےtasavvur meñ mire aise koī chehra nikaltā haike sūkhī shāḳh par jaise harā pata nikaltā hai
- تو اب حالت میں اپنی یوں بھی تبدیلی نہیں ہوتییہ مٹی خون بھی پی کر کبھی گیلی نہیں ہوتیto ab hālat maiñ apnī yūñ bhī tabdīlī nahīñ hotīye miṭṭī ḳhūn bhī pī kar kabhī gīlī nahīñ hotī
- جستجو کے سفر میں رہتے ہیںہم کہ پیہم خبر میں رہتے ہیںjustujū ke safar meñ rahte haiñham ke paiham ḳhabar meñ rahte haiñ
- خوشبو ترے لہجے کی مرے فن میں بسی ہےاشعار ہیں میرے تری آواز کے سائےḳhushbū tire lahje kī mire fan meñ basī haiash.ār haiñ mere tirī āvāz ke sā.e
- شعور تک ابھی ان کی کہاں رسائی ہےابھی تو کتنے خداؤں کی واں خدائی ہےshuūr tak abhī un kī kahāñ rasā.ī haiabhī to kitne ḳhudā.oñ kī vāñ ḳhudā.ī hai
- عجیب بات ہے بیمار ہے نہیں بھی ہےیہ دل تمہارا طلب گار ہے نہیں بھی ہےajīb bāt hai bīmār hai nahīñ bhī haiye dil tumhārā talab gār hai nahīñ bhī hai
- کہانی کچھ بھی نہیں تھی بیاں زیادہ تھاذرا سی آگ لگی تھی دھواں زیادہ تھاkahānī kuchh bhī nahīñ thī bayāñ ziyāda thāzarā sī āg lagī thī dhuāñ ziyāda thā
- گمرہی کا مری سامان ہوا جاتا ہےراستہ زیست کا آسان ہوا جاتا ہےgumrahī kā mirī sāmān huā jātā hairāsta zīst kā āsān huā jātā hai
- گھر کے اندر بھولی بھالی صورتیں اچھی لگیںمسکراتی گل کھلاتی رونقیں اچھی لگیںghar ke andar bhūlī bhālī sūrateñ achchhī lageñmuskurātī gul khilātī raunaqeñ achchhī lageñ
- مسئلے میرے سبھی حل کر دےورنہ یا رب مجھے پاگل کر دےmasale mere sabhī hal kar devarna yā rab mujhe pāgal kar de
- منزلیں اور بھی ہیں وہم و گماں سے آگےہم کو کرنا ہے سفر قید مکاں سے آگےmanzileñ aur bhī haiñ vahm-o-gumāñ se āgeham ko karnā hai safar qaid makāñ se āge
- نقاب چہرے سے میرے ہٹا رہی ہے غزلحصار ذات سے باہر بلا رہی ہے غزلnaqāb chehre se mere haṭā rahī hai ġhazalhisār-e-zāt se bāhar balā rahī hai ġhazal
- نکھرنا عقل و خرد کا اگر ضروری ہےجنوں کی راہبری میں سفر ضروری ہےnikharnā aql-o-ḳhirad kā agar zarūrī haijunūñ kī rāhburī meñ safar zarūrī hai
- ہر شکن وقت کی پیشانی پہ رکھی ہوئی ہےہم نے یوں زندگی آسانی پہ رکھی ہوئی ہےhar shikan vaqt kī peshānī pe rakhī huī haiham ne yūñ zindagī āsānī pe rakhī huī hai
- ہم برا کرتے یا بھلا کرتےسوچ کر کوئی فیصلہ کرتےham burā karte yā bhalā kartesoch kar koī faisla karte
- ہمیں تو گوشہ نشیں اور جہاں بھی ہونا ہےیہاں بھی ہونا ہے ہم کو وہاں بھی ہونا ہےhameñ to gosha nashīñ aur jahāñ bhī honā haiyahāñ bhī honā hai ham ko vahāñ bhī honā hai
- ہے آج اندھیرا ہر جانب اور نور کی باتیں کرتے ہیںنزدیک کی باتوں سے خائف ہم دور کی باتیں کرتے ہیںhai āj andherā har jānib aur nūr kī bāteñ karte haiñnazdīk kī bātoñ se ḳhā.if ham dūr kī bāteñ karte haiñ
- یوں لگ رہا ہے جیسے گماں ٹوٹنے کو ہےیعنی حقیقتوں کا جہاں ٹوٹنے کو ہےyūñ lag rahā hai jaise gumāñ ṭūṭne ko haiya.anī haqīqatoñ kā jahāñ ṭūṭne ko hai