عجیب بات ہے بیمار ہے نہیں بھی ہے
Obaidur Rahman (1961–2014)عجیب بات ہے بیمار ہے نہیں بھی ہے
یہ دل تمہارا طلب گار ہے نہیں بھی ہے
ہیں ممکنات نہاں اس ادا میں شوخی میں
لبوں پہ ان کے جو انکار ہے نہیں بھی ہے
ہے کیسا عزم سفر کیسی چاہت منزل
سفر کو کارواں تیار ہے نہیں بھی ہے
یہ اپنی اپنی سمجھ ہے یہ اپنا اپنا شعور
سفر حیات کا دشوار ہے نہیں بھی ہے
یہ وقت وقت پہ ہے منحصر جو سچ پوچھیں
عبیدؔ آپ کا خوددار ہے نہیں بھی ہے
ajib bat hai bimar hai nahin bhi hai
ye dil tumhara talab gar hai nahin bhi hai
hain mumkinat nihan is ada mein shokhi mein
labon pe un ke jo inkar hai nahin bhi hai
hai kaisa azm-e-safar kaisi chahat manzil
safar ko karwan tayyar hai nahin bhi hai
ye apni apni samajh hai ye apna apna shuur
safar hayat ka dushwar hai nahin bhi hai
ye waqt waqt pe hai munhasir jo sach puchhen
ubaid ap ka khuddar hai nahin bhi hai