جستجو کے سفر میں رہتے ہیں
Obaidur Rahman (1961–2014)جستجو کے سفر میں رہتے ہیں
ہم کہ پیہم خبر میں رہتے ہیں
ہم کو کس کی نظر میں رہنا تھا
اور اس کی نظر میں رہتے ہیں
آرزو تم ہماری مت کرنا
ہم دعا کے اثر میں رہتے ہیں
ہم نوا اپنا کوئی بن نہ سکا
یوں تو پیہم سفر میں رہتے ہیں
کل تلک تھے چراغ راہ گزر
بجھ گئے ہم تو گھر میں رہتے ہیں
جڑ رہی ہے عمل سے یہ دنیا
ہم اگر اور مگر میں رہتے ہیں
عیب کیوں کر ہوں بے ہنر میں عبیدؔ
عیب تو با ہنر میں رہتے ہیں
justuju ke safar mein rahte hain
ham ke paiham khabar mein rahte hain
ham ko kis ki nazar mein rahna tha
aur us ki nazar mein rahte hain
arzu tum hamari mat karna
ham dua ke asar mein rahte hain
ham nawa apna koi ban na saka
yun to paiham safar mein rahte hain
kal talak the charagh-e-rah guzar
bujh gae ham to ghar mein rahte hain
jur rahi hai amal se ye duniya
ham agar aur magar main rahte hain
aib kyun kar hun be hunar mein ubaid
aib to ba hunar mein rahte hain