نقاب چہرے سے میرے ہٹا رہی ہے غزل
Obaidur Rahman (1961–2014)نقاب چہرے سے میرے ہٹا رہی ہے غزل
حصار ذات سے باہر بلا رہی ہے غزل
یہ کون ہے جو بہت بے قرار ہے مجھ میں
یہ کس کے قرب میں یوں کسمسا رہی ہے غزل
وہ خول جس میں مقید ہوں ٹوٹنے کو ہے
مجھے بہار کا مژدہ سنا رہی ہے غزل
وجود کا ہوا جاتا ہے فلسفہ پانی
رموز ذات سے پردے اٹھا رہی ہے غزل
جو معترض تھے ہوئے وہ بھی معترف اس کے
ہر ایک دور میں جادو نما رہی ہے غزل
سہا ہے خود پہ ہر اک تیر طنز کا ہنس کر
پیا ہے زہر مگر مسکرا رہی ہے غزل
ہے قدردان کو اپنے یہ وجہ سرشاری
یہ حاسدوں کے دلوں کو جلا رہی ہے غزل
کہ صرف گل ہی نہیں خار سے بھی نسبت ہے
یہ اور بات کہ باد صبا رہی ہے غزل
کرے ہے اس پہ ریاضت کہ اس کا حسن کھلے
عبیدؔ کے لیے مثل حنا رہی ہے غزل
تھا ایک شغل مرا میری یہ غزل گوئی
عبیدؔ ذات کو اب اپنی بھا رہی ہے غزل
naqab chehre se mere hata rahi hai ghazal
hisar-e-zat se bahar bala rahi hai ghazal
ye kaun hai jo bahut be qarar hai mujh mein
ye kis ke qurb mein yun kasmasa rahi hai ghazal
wo khol jis mein muqayyad hun tutne ko hai
mujhe bahar ka muzhda suna rahi hai ghazal
wajud ka hua jata hai falsafa pani
rumuz-e-zat se parde utha rahi hai ghazal
jo motariz the hue wo bhi motarif us ke
har ek daur mein jadu numa rahi hai ghazal
saha hai khud pe har ik tir tanz ka hans kar
piya hai zahr magar muskura rahi hai ghazal
hai qadardan ko apne ye wajh sarshari
ye hasidon ke dilon ko jala rahi hai ghazal
ke sirf-e-gul hi nahin khar se bhi nisbat hai
ye aur bat ke bad-e-saba rahi hai ghazal
kare hai us pe riyazat ke us ka husn khule
ubaid ke liye misl-e-hina rahi hai ghazal
tha ek shaghl mira meri ye ghazal goi
ubaid zat ko ab apni bha rahi hai ghazal