Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Obaidur Rahman

1961–2014

Poems

Meter
  1. apnā muhāsaba kabhī karne nahīñ diyāḳhud bīniyoñ ne ham ko sañvarne nahīñ diyā
  2. ek muddat se jo sīne meñ basā hai kyā haikarb-e-ehsās hai yā karb-e-anā hai kyā hai
  3. baṛe hī nāz se lāyā gayā hūñmaiñ kāndhā de kar uṭhvāyā gayā hūñ
  4. pur kaif kahīñ ke bhī nazāre na raheñgeduniyā meñ agar ishq ke māre na raheñge
  5. pahle kuchh din mire zaḳhmoñ kī numā.ish hogīphir mire hāl pe us but kī navāzish hogī
  6. tasavvur meñ mire aise koī chehra nikaltā haike sūkhī shāḳh par jaise harā pata nikaltā hai
  7. to ab hālat maiñ apnī yūñ bhī tabdīlī nahīñ hotīye miṭṭī ḳhūn bhī pī kar kabhī gīlī nahīñ hotī
  8. justujū ke safar meñ rahte haiñham ke paiham ḳhabar meñ rahte haiñ
  9. ḳhushbū tire lahje kī mire fan meñ basī haiash.ār haiñ mere tirī āvāz ke sā.e
  10. shuūr tak abhī un kī kahāñ rasā.ī haiabhī to kitne ḳhudā.oñ kī vāñ ḳhudā.ī hai
  11. ajīb bāt hai bīmār hai nahīñ bhī haiye dil tumhārā talab gār hai nahīñ bhī hai
  12. kahānī kuchh bhī nahīñ thī bayāñ ziyāda thāzarā sī āg lagī thī dhuāñ ziyāda thā
  13. gumrahī kā mirī sāmān huā jātā hairāsta zīst kā āsān huā jātā hai
  14. ghar ke andar bhūlī bhālī sūrateñ achchhī lageñmuskurātī gul khilātī raunaqeñ achchhī lageñ
  15. masale mere sabhī hal kar devarna yā rab mujhe pāgal kar de
  16. manzileñ aur bhī haiñ vahm-o-gumāñ se āgeham ko karnā hai safar qaid makāñ se āge
  17. naqāb chehre se mere haṭā rahī hai ġhazalhisār-e-zāt se bāhar balā rahī hai ġhazal
  18. nikharnā aql-o-ḳhirad kā agar zarūrī haijunūñ kī rāhburī meñ safar zarūrī hai
  19. har shikan vaqt kī peshānī pe rakhī huī haiham ne yūñ zindagī āsānī pe rakhī huī hai
  20. ham burā karte yā bhalā kartesoch kar koī faisla karte
  21. hameñ to gosha nashīñ aur jahāñ bhī honā haiyahāñ bhī honā hai ham ko vahāñ bhī honā hai
  22. hai āj andherā har jānib aur nūr kī bāteñ karte haiñnazdīk kī bātoñ se ḳhā.if ham dūr kī bāteñ karte haiñ
  23. yūñ lag rahā hai jaise gumāñ ṭūṭne ko haiya.anī haqīqatoñ kā jahāñ ṭūṭne ko hai
  24. āngan āngan ḳhūn ke chhīnṭe chehra chehra be chehrakis kis ghar kā zikr karūñ maiñ kis kis ke sadmāt likhūñ
  25. اپنی ہی ذات کے محبس میں سمانے سے اٹھادرد احساس کا سینے میں دبانے سے اٹھا
  26. bachchoñ ko ham na ek khilaunā bhī de sakeġham aur baṛh gayā hai jo tahvār ā.e haiñ
  27. talāshe jā rahe haiñ ahd-e-raftazamīnoñ kī khudā.ī ho rahī hai
  28. ṭūṭṭā rahtā hai mujh meñ ḳhud mirā apnā vajūdmere andar koī mujh se barsar-e-paikār hai
  29. jab dhūp sar pe thī to akelā thā maiñ ubaidab chhā.oñ ā ga.ī hai to sab yār ā.e haiñ
  30. jahāñ pahuñchne kī ḳhvāhish meñ umr bīt ga.īvahīñ pahuñch ke hayāt ik ḳhayāl-e-ḳhām huī
  31. dikhā.o sūrat tāza bayān se pahlekahānī aur hai kuchh dāstān se pahle
  32. shoḳhī kisī meñ hai na sharārat hai ab ubaidbachche hamāre dūr ke sanjīda ho ga.e
  33. sohbat meñ jāhiloñ kī guzāre the chand rozphir ye havā meñ vāqif-e-ādāb ho gayā
  34. koī dimāġh se koī sharīr se hārāmaiñ apne hāth kī andhī lakīr se hārā
  35. ghaṭṭī baṛhtī rahī parchhā.īñ mirī ḳhud mujh selākh chāhā ke mire qad ke barābar utre
  36. mere jazbāt ānsūoñ vālesher sab hichkiyoñ se likhtā hūñ
  37. nazar meñ dūr talak rah guzar zarūrī haikisī bhī samt ho lekin safar zarūrī hai
  38. hameñ to ḳhvāb kā ik shahr ānkhoñ meñ basānā thāaur is ke ba.ad mar jāne kā sapnā dekh lenā thā
  39. hameñ hijrat samajh meñ itnī ā.īparinda āb-o-dāna chāhtā hai
  40. yahī ik sāneha kuchh kam nahīñ haihamārā ġham tumhārā ġham nahīñ hai