ہمیں تو گوشہ نشیں اور جہاں بھی ہونا ہے
Obaidur Rahman (1961–2014)ہمیں تو گوشہ نشیں اور جہاں بھی ہونا ہے
یہاں بھی ہونا ہے ہم کو وہاں بھی ہونا ہے
نشان بھی ہے لگانا نشاں بھی ہونا ہے
مکاں میں رہتے ہوئے لا مکاں بھی ہونا ہے
اس احتیاط سے کرنا ہے زندگی اپنی
اکیلا چلنا ہے اور کارواں بھی ہونا ہے
زمیں میں رکھتے ہیں پیوست اپنی دنیا کو
زمیں پہ رہتے ہوئے آسماں بھی ہونا ہے
اک ایسی قید بھی اب خود پہ یوں لگانی ہے
زبان رکھتے ہوئے بے زباں بھی ہونا ہے
hamen to gosha nashin aur jahan bhi hona hai
yahan bhi hona hai ham ko wahan bhi hona hai
nishan bhi hai lagana nishan bhi hona hai
makan mein rahte hue la makan bhi hona hai
is ehtiyat se karna hai zindagi apni
akela chalna hai aur karwan bhi hona hai
zamin mein rakhte hain paiwast apni duniya ko
zamin pe rahte hue asman bhi hona hai
ik aisi qaid bhi ab khud pe yun lagani hai
zaban rakhte hue be zaban bhi hona hai