Poet
Mushafi Ghulam Hamdani
غلام علی ہمدانی مصحفی1751–1824Born in AmrohaDied in Lucknow
Ghulam Hamdani, who wrote as Mushafi, was a ghazal poet whose style took shape in Delhi before he moved to Lucknow in the reign of Asaf-ud-Daula. His verse joins the Delhi manner with that of Lucknow, and he is remembered for his poetic contests with Insha. He left several Urdu divans, a Persian divan and three tazkiras of poets, among them Tazkira-e-Hindi.
Writes about
- Love
- Beauty
- Pathos
- Mysticism
Poems
- بند بھی آنکھوں کو ذری کیجیےچند پریشاں نظری کیجیےband bhī ānkhoñ ko zarī kījiyechand pareshāñ nazarī kījiye
- بوئیے مزرع دل میں جو عنایات کے بیجتو نہ ہوں سبز کبھی اپنی شکایات کے بیجboiye mazra-e-dil meñ jo ināyāt ke bījtū na hūñ sabz kabhī apnī shikāyāt ke bīj
- بھری آتی ہیں ہر گھڑی آنکھیںگویا ساون کی ہیں جھڑی آنکھیںbharī ātī haiñ har ghaṛī ānkheñgoyā sāvan kī haiñ jhaṛī ānkheñ
- بیٹھے بیٹھے جو ہم اے یار ہنسے اور روئےآ گیا یاد تو اک بار ہنسے اور روئےbaiṭhe baiṭhe jo ham ai yār hañse aur roeā gayā yād to ik bār hañse aur roe
- بے لاگ ہیں ہم ہم کو رکاوٹ نہیں آتیکیا بات بناویں کہ بناوٹ نہیں آتیbe lāg haiñ ham ham ko rukāvaṭ nahīñ ātīkyā bāt banāveñ ke banāvaṭ nahīñ ātī
- پانو میں قیس کے زنجیر بھلی لگتی ہےیوں ہی دیوانے کی تصویر بھلی لگتی ہےpāoñ meñ qais ke zanjīr bhalī lagtī haiyūñ hī dīvāne kī tasvīr bhalī lagtī hai
- پٹرے دھرے ہیں سر پر دریا کے پاٹ والےآتے ہیں کس ادا سے اس منہ پہ گھاٹ والےpaṭre dhare haiñ sar par dariyā ke pāṭ vāleāte haiñ kis adā se is muñh pe ghāṭ vāle
- پردہ اٹھا کے مہر کو رخ کی جھلک دکھا کہ یوںباغ میں جا کے سرو کو قد کی لچک دکھا کہ یوںparda uṭhā ke mehr ko ruḳh kī jhalak dikhā ke yūñbāġh meñ jā ke sarv ko qad kī lachak dikhā ke yūñ
- پریشاں کیوں نہ ہو جاوے نظارااس آرائش نے دل پر نقش مارا
- پڑھ نہ اے ہم نشیں وصال کا شعرجس سے رنگیں ہو خط و خال کا شعرpaṛh na ai ham nashīñ visāl kā sherjis se rangīñ ho ḳhat-o-ḳhāl kā sher
- پس قافلہ جو غبار تھا کوئی اس میں ناقہ سوار تھاابھی گرد باد ہو اڑ گیا وہ عجب طرح کا غبار تھاpas qāfila jo ġhubār thā koī is meñ nāqa savār thāabhī gard-e-bād ho uṛ gayā vo ajab tarah kā ġhubār thā
- پہلو میں رہ گیا یوں یہ دل تڑپ تڑپ کررہ جائے جیسے کوئی بسمل تڑپ تڑپ کرpahlū meñ rah gayā yūñ ye dil taṛap taṛap karrah jā.e jaise koī bismil taṛap taṛap kar
- پھر یہ کیسا ادھیڑ بن سا لگاجان غم دیدہ کو جو گھن سا لگاphir ye kaisā adheṛ ban sā lagājān-e-ġham dīda ko jo ghin sā lagā
- تجھ بن تو کبھی گل کے تئیں بو نہ کروں میںمر جاؤں پہ گلشن کی طرف رو نہ کروں میںtujh bin to kabhī gul ke ta.īñ bū na karūñ maiñmar jā.ūñ pe gulshan kī taraf ro na karūñ maiñ
- تجھ سے گر وہ دلا نہیں ملتازہر بھی تجھ کو کیا نہیں ملتاtujh se gar vo dilā nahīñ miltāzahr bhī tujh ko kyā nahīñ miltā
- تختۂ آب چمن کیوں نہ نظر آوے سپاٹیاد آوے مجھے جس دم وہ نگمود کا گھاٹtaḳhta-e-āb-e-chaman kyūñ na nazar āve sapāṭyād āve mujhe jis dam vo nagmūd kā ghāṭ
- ترا شوق دیدار پیدا ہوا ہےپھر اس دل کو آزار پیدا ہوا ہےtirā shauq-e-dīdār paidā huā haiphir is dil ko āzār paidā huā hai
- ترسا نہ مجھ کو کھینچ کے تلوار مار ڈالگر مار ڈالنا ہے تو یک بار مار ڈالtarsā na mujh ko khīñch ke talvār mār ḍālgar mār ḍālnā hai to yak bār mār ḍāl
- تصور تیری صورت کا مجھے ہر شب ستاتا ہےکبھو پاس آئے ہے میرے کبھو پھر بھاگ جاتا ہےtasavvur terī sūrat kā mujhe har shab satātā haikabhū pās ā.e hai mere kabhū phir bhāg jātā hai
- تماشے کی شکلیں عیاں ہو گئی ہیںبہاریں بہت یاں خزاں ہو گئی ہیںtamāshe kī shakleñ ayāñ ho ga.ī haiñbahāreñ bahut yāñ ḳhizāñ ho ga.ī haiñ
- تم بانکپن یہ اپنا دکھاتے ہو ہم کو کیاقبضے پہ ہاتھ رکھ کے ڈراتے ہو ہم کو کیاtum bānkpan ye apnā dikhāte ho ham ko kyāqabze pe hāth rakh ke ḍarāte ho ham ko kyā
- تم بھی آؤگے مرے گھر جو صنم کیا ہوگامجھ پر اک رات کروگے جو کرم کیا ہوگاtum bhī ā.oge mire ghar jo sanam kyā hogāmujh par ik rāt karoge jo karam kyā hogā
- تمہاری اور مری کج ادائیاں ہی رہیںرہے جو پاس تو باہم لڑائیاں ہی رہیںtumhārī aur mirī kaj adā.iyāñ hī raheñrahe jo pās to bāham laṛā.iyāñ hī raheñ
- تو دیکھے تو اک نظر بہت ہےالفت تری اس قدر بہت ہےtū dekhe to ik nazar bahut haiulfat tirī is qadar bahut hai
- تھا جو شعر راست سرو بوستان ریختہاب وہی ہے لالۂ زرد خزان ریختہthā jo sher rāst sarv bostān-e-reḳhtaab vahī hai lāla-e-zard ḳhuzzin reḳhta
- ٹکڑا جہاں گرا جگر چاک چاک کایاقوت سا دمکنے لگا رنگ خاک کاṭukṛā jahāñ girā jigar-e-chāk chāk kāyāqūt sā damakne lagā rang ḳhāk kā
- جاتے جاتے راہ میں اس نے منہ سے اٹھایا جوں ہی پرداراہ کے جانے والوں نے بھی منہ اس کا پھر پھر کے دیکھاjāte jāte rāh meñ us ne muñh se uṭhāyā jūñ hī pardārāh ke jāne vāloñ ne bhī muñh us kā phir phir ke dekhā
- جانے دے ٹک چمن میں مجھے اے صبا سرککیوں چھیڑتی ہے تو مجھے نا آشنا سرکjāne de ṭuk chaman meñ mujhe ai sabā sarakkyūñ chheṛtī hai to mujhe nā āshnā sarak
- جب تک کہ تری گالیاں کھانے کے نہیں ہماٹھ کر ترے دروازے سے جانے کے نہیں ہمjab tak ke tirī gāliyāñ khāne ke nahīñ hamuṭh kar tire darvāze se jāne ke nahīñ ham
- جب تک یہ محبت میں بد نام نہیں ہوتااس دل کے تئیں ہرگز آرام نہیں ہوتاjab tak ye mohabbat meñ bad nām nahīñ hotāis dil ke ta.īñ hargiz ārām nahīñ hotā
- جب سے صانع نے بنایا ہے جہاں کا بہروپاپنی نظروں میں ہے سب کون و مکاں کا بہروپjab se sāne ne banāyā hai jahāñ kā bahrūpapnī nazroñ meñ hai sab kaun-o-makāñ kā bahrūp
- جب کہ بے پردہ تو ہوا ہوگاماہ پردے سے تک رہا ہوگاjab ke be parda to huā hogāmāh parde se tak rahā hogā
- جب گھر سے وہ بعد ماہ نکلےمنہ سے مرے کیوں نہ آہ نکلےjab ghar se vo ba.ad māh niklemuñh se mire kyūñ na āh nikle
- جب نبی صاحب میں کوہ و دشت سے آئی بسنتکر کے مجرا شاہ مرداں کی طرف دھائی بسنتjab nabī sāhab meñ koh-o-dasht se ā.ī basantkar ke mujrā shāh-e-mardāñ kī taraf dhā.ī basant
- جلتا ہے جگر تو چشم نم ہےکیا جانے یہ کس کا مجھ کو غم ہےjaltā hai jigar to chashm-e-nam haikyā jāne ye kis kā mujh ko ġham hai
- جلوہ گر اس کا سراپا ہے بدن آئنے میںنظر آتا ہے ہمیں سرو چمن آئنے میںjalva gar us kā sarāpā hai badan ā.īne meñnazar ātā hai hameñ sarv-e-chaman ā.īne meñ
- جمنا میں کل نہا کر جب اس نے بال باندھےہم نے بھی اپنے دل میں کیا کیا خیال باندھےjamunā meñ kal nahā kar jab us ne bāl bāñdheham ne bhī apne dil meñ kyā kyā ḳhayāl bāñdhe
- جو پری بھی روبرو ہو تو پری کو میں نہ دیکھوںمری آنکھیں بند کر دو کہ کسی کو میں نہ دیکھوںjo parī bhī rūbarū ho to parī ko maiñ na dekhūñmirī ānkheñ band kar do ke kisī ko maiñ na dekhūñ
- جُو پھرا کہ اس نے منہ کو بہ قفا نقاب الٹاادھر آسمان الٹا ادھر آفتاب الٹاjū phirā ke us ne muñh kū ba qifā naqāb ulṭāidhar āsmān ulṭā idhar āftāb ulṭā
- جو دم حقے کا دوں بولے کہ ”میں حقا نہیں پیتا”بھروں جلدی سے گر سلفا، کہے ”سلفا نہیں پیتا”jo dam huqqe kā dūñ bole ke "maiñ haqqā nahīñ pītā"bharūñ jaldī se gar sulfā, kahe "sulfā nahīñ pītā"
- جوں ہی زنجیر کے پاس آئے پاؤںدیکھ اس کو مرے تھرائے پاؤںjūñ hī zanjīr ke pās ā.e pā.oñdekh us ko mire tharrā.e pā.oñ
- جیتا رہوں کہ ہجر میں مر جاؤں کیا کروںتو ہی بتا مجھے میں کدھر جاؤں کیا کروںjītā rahūñ ke hijr meñ mar jā.ūñ kyā karūñtū hī batā mujhe maiñ kidhar jā.ūñ kyā karūñ
- جی سے مجھے چاہ ہے کسی کیکیا جانے کوئی کسی کی جی کیjī se mujhe chāh hai kisī kīkyā jāne koī kisī kī jī kī
- چشم نے کی گوہر افشانی صریحہو گئی یہ ہم سے نادانی صریحchashm ne kī gauhar afshānī sarīhho ga.ī ye ham se nādānī sarīh
- چکھی نہ جس نے کبھی لذت سنان نگاہمزہ دے پھر اسے کیا تیغ خوں چکان نگاہchakhī na jis ne kabhī lazzat-e-sinān-e-nigāhmaza de phir use kyā teġh-e-ḳhūñ chakān nigāh
- چلے لے کے سر پر گناہوں کی گٹھریسفر میں یہ ہے رو سیاہوں کی گٹھریchale le ke sar par gunāhoñ kī gaṭhrīsafar meñ ye hai ro siyāhoñ kī gaṭhrī
- چھریاں چلیں شب دل و جگر پرلعنت ہے اس آہ بے اثر پرchhuriyāñ chaleñ shab dil-o-jigar parla.anat hai is āh be asar par
- حال دل بے قرار ہے اورشاید کہ خیال یار ہے اورhāl-e-dil be qarār hai aurshāyad ke ḳhayāl-e-yār hai aur
- خدا کی قسم پھر تو کیا خیر ہووےہم اور تم اکیلے ہوں اور سیر ہووےḳhudā kī qasam phir to kyā ḳhair hoveham aur tum akele hūñ aur sair hove
- خریدار اپنا ہم کو جانتے ہوبھلا اتنا تو تم پہچانتے ہوḳharīdār apnā ham ko jānte hobhalā itnā to tum pahchānte ho