جب تک یہ محبت میں بد نام نہیں ہوتا
Mushafi Ghulam Hamdani (1751–1824)جب تک یہ محبت میں بد نام نہیں ہوتا
اس دل کے تئیں ہرگز آرام نہیں ہوتا
عالم سے ہمارا کچھ مذہب ہی نرالا ہے
یعنی ہیں جہاں ہم واں اسلام نہیں ہوتا
کب وعدہ نہیں کرتیں ملنے کا تری آنکھیں
کس روز نگاہوں میں پیغام نہیں ہوتا
بال اپنے بڑھاتے ہیں کس واسطے دیوانے
کیا شہر محبت میں حجام نہیں ہوتا
ملتا ہے کبھی بوسہ نے گالی ہی پاتے ہیں
مدت ہوئی کچھ ہم کو انعام نہیں ہوتا
ساقی کے تلطف نے عالم کو چھکایا ہے
لبریز ہمارا ہی اک جام نہیں ہوتا
کیوں تیرگیٔ طالع کچھ تو بھی نہیں کرتی
یہ روز مصیبت کا کیوں شام نہیں ہوتا
پھر میری کمند اس نے ڈالے ہی تڑائی ہے
وہ آہوئے رم خوردہ پھر رام نہیں ہوتا
نے عشق کے قابل ہیں نے زہد کے درخور ہیں
اے مصحفیؔ اب ہم سے کچھ کام نہیں ہوتا
jab tak ye mohabbat mein bad nam nahin hota
is dil ke tain hargiz aram nahin hota
alam se hamara kuchh mazhab hi nirala hai
yaani hain jahan ham wan islam nahin hota
kab waada nahin kartin milne ka tiri ankhen
kis roz nigahon mein paigham nahin hota
bal apne barhate hain kis waste diwane
kya shahr-e-mohabbat mein hajjam nahin hota
milta hai kabhi bosa ne gali hi pate hain
muddat hui kuchh ham ko inam nahin hota
saqi ke talattuf ne alam ko chhakaya hai
labrez hamara hi ik jam nahin hota
kyun tirgi-e-tale kuchh tu bhi nahin karti
ye roz musibat ka kyun sham nahin hota
phir meri kamand us ne dale hi tarai hai
wo ahu-e-ram khurda phir ram nahin hota
ne ishq ke qabil hain ne zohd ke darkhur hain
ai mushafi ab ham se kuchh kam nahin hota