حال دل بے قرار ہے اور
Mushafi Ghulam Hamdani (1751–1824)حال دل بے قرار ہے اور
شاید کہ خیال یار ہے اور
اے دیدہ نہ رو کہ تجھ پر اک شب
رنج شب انتظار ہے اور
جاگا ہے کہیں مگر تو دیشب
آنکھوں میں تری خمار ہے اور
فرہاد نے دیکھتے ہی گلگوں
جانا تھا کہ یہ سوار ہے اور
کوچے میں ترے مری نگہ کا
ہر گوشہ امیدوار ہے اور
ہے آخر عمر اس چمن میں
دو چار ہی دن بہار ہے اور
ناوک کا ترے شکار گہ میں
ہر گوشے نیا شکار ہے اور
وہ ہم سے کرے ہے کل کا وعدہ
اوروں سے وہاں قرار ہے اور
کیا لالے سے نسبت اس کو سچ ہے
داغ دل داغ دار ہے اور
اوروں سا نہ جان مجھ کو پیارے
یہ عاشق جاں نثار ہے اور
اے مصحفیؔ اس میں چپ ہی رہ تو
سنتا ہے یہ روزگار ہے اور
hal-e-dil be qarar hai aur
shayad ke khayal-e-yar hai aur
ai dida na ro ke tujh par ik shab
ranj-e-shab intizar hai aur
jaga hai kahin magar tu dishab
ankhon mein tiri khumar hai aur
farhad ne dekhte hi gulgun
jana tha ke ye sawar hai aur
kuche mein tire miri nigah ka
har gosha umidwar hai aur
hai akhir umr is chaman mein
do char hi din bahar hai aur
nawak ka tire shikar gah mein
har goshe naya shikar hai aur
wo ham se kare hai kal ka waada
auron se wahan qarar hai aur
kya lale se nisbat us ko sach hai
dagh-e-dil dagh dar hai aur
auron sa na jan mujh ko pyare
ye ashiq-e-jan nisar hai aur
ai mushafi is mein chup hi rah to
sunta hai ye rozgar hai aur