Poet
Majrooh Sultanpuri
مجروح سلطانپوری1919–2000
Poems
- آبلہ پا کوئی گزرا تھا جو پچھلے سن میںسرخ کانٹوں کی بہار آئی ہے اب کے بن میںābla pā koī guzrā thā jo pichhle sun meñsurḳh kānṭoñ kī bahār ā.ī hai ab ke ban meñ
- آخر غم جاناں کو اے دل بڑھ کر غم دوراں ہونا تھااس قطرے کو بننا تھا دریا اس موج کو طوفاں ہونا تھاāḳhir ġham jānāñ ko ai dil baṛh kar ġham daurāñ honā thāis qatre ko bannā thā dariyā is mauj ko tūfāñ honā thā
- آ نکل کے میداں میں دو رخی کے خانے سےکام چل نہیں سکتا اب کسی بہانے سےā nikal ke maidāñ meñ do ruḳhī ke ḳhāne sekām chal nahīñ saktā ab kisī bahāne se
- آہ جاں سوز کی محرومی تاثیر نہ دیکھہو ہی جائے گی کوئی جینے کی تدبیر نہ دیکھāh jāñ soz kī mahrūmī-e-tāsīr na dekhho hī jā.egī koī jīne kī tadbīr na dekh
- آ ہی جائے گی سحر مطلع امکاں تو کھلانہ سہی باب قفس روزن زنداں تو کھلاā hī jā.egī sahar matla-e-imkāñ to khulāna sahī bāb-e-qafas rauzan-e-zindāñ to khulā
- اب اہل درد یہ جینے کا اہتمام کریںاسے بھلا کے غم زندگی کا نام کریںab ahl-e-dard ye jīne kā ehtimām kareñuse bhulā ke ġham-e-zindagī kā nām kareñ
- اٹھائے جا ان کے ستم اور جئے جایوں ہی مسکرائے جا آنسو پئے جاuṭhā.e jā un ke sitam aur jiye jāyūñ hī muskurā.e jā ānsū piye jā
- ادائے طول سخن کیا وہ اختیار کرےجو عرض حال بہ طرز نگاہ یار کرےadā-e-tūl-e-suḳhan kyā vo iḳhtiyār karejo arz-e-hāl ba tarz-e-nigāh-e-yār kare
- اس باغ میں وہ سنگ کے قابل کہا نہ جائےجب تک کسی ثمر کو مرا دل کہا نہ جائےis bāġh meñ vo sang ke qābil kahā na jā.ejab tak kisī samar ko mirā dil kahā na jā.e
- اہل طوفاں آؤ دل والوں کا افسانہ کہیںموج کو گیسو بھنور کو چشم جانانہ کہیںahl-e-tūfāñ ā.o dil vāloñ kā afsāna kahīñmauj ko gesū bhanvar ko chashm-e-jānāna kahīñ
- اے دل مجھے ایسی جگہ لے چل جہاں کوئی نہ ہواپنا پرایا مہرباں نا مہرباں کوئی نہ ہوai dil mujhe aisī jagah le chal jahāñ koī na hoapnā parāyā mehrbāñ nā mehrbāñ koī na ho
- بہ نام کوچۂ دل دار گل برسے کہ سنگ آئےہنسا ہے چاک پیراہن نہ کیوں چہرے پہ رنگ آئےba nām-e-kūcha-e-dil dār-e-gul barse ke sang ā.ehañsā hai chāk pairāhan na kyūñ chehre pe rang ā.e
- تجھے کیا سناؤں میں دل ربا ترے سامنے مرا حال ہےتری اک نگاہ کی بات ہے مری زندگی کا سوال ہےtujhe kyā sunā.ūñ maiñ dil rubā tire sāmne mirā hāl haitirī ik nigāh kī bāt hai mirī zindagī kā savāl hai
- تقدیر کا شکوہ بے معنی جینا ہی تجھے منظور نہیںآپ اپنا مقدر بن نہ سکے اتنا تو کوئی مجبور نہیںtaqdīr kā shikva be ma.anī jīnā hī tujhe manzūr nahīñāp apnā muqaddar ban na sake itnā to koī majbūr nahīñ
- جب ہوا عرفاں تو غم آرام جاں بنتا گیاسوز جاناں دل میں سوز دیگراں بنتا گیاjab huā irfāñ to ġham ārām-e-jāñ bantā gayāsoz-e-jānāñ dil meñ soz-e-dīgarāñ bantā gayā
- جس دم یہ سنا ہے صبح وطن محبوس فضائے زنداں میںجیسے کہ صبا اے ہم قفسو بیتاب ہم آئے زنداں میںjis dam ye sunā hai sub.h-e-vatan mahbūs fazā-e-zindāñ meñjaise ke sabā ai ham qafaso betāb ham ā.e zindāñ meñ
- جلا کے مشعل جاں ہم جنوں صفات چلےجو گھر کو آگ لگائے ہمارے ساتھ چلےjalā ke mashal-e-jāñ ham junūñ sifāt chalejo ghar ko āg lagā.e hamāre sāth chale
- جلوۂ گل کا سبب دیدۂ تر ہے کہ نہیںمیری آہوں سے بہاراں کی سحر ہے کہ نہیںjalva-e-gul kā sabab dīda-e-tar hai ke nahīñmerī āhoñ se bahārāñ kī sahar hai ke nahīñ
- جو سمجھاتے بھی آ کر واعظ برہم تو کیا کرتےہم اس دنیا کے آگے اس جہاں کا غم تو کیا کرتےjo samjhāte bhī ā kar vā.iz-e-bar.ham to kyā karteham is duniyā ke āge is jahāñ kā ġham to kyā karte
- چمن ہے مقتل نغمہ اب اور کیا کہیےبس اک سکوت کا عالم جسے نوا کہیےchaman hai maqtal naġhma ab aur kyā kahiyebas ik sukūt kā ālam jise navā kahiye
- ختم شور طوفاں تھا دور تھی سیاہی بھیدم کے دم میں افسانہ تھی مری تباہی بھیḳhatm shor-e-tūfāñ thā dūr thī siyāhī bhīdam ke dam meñ afsāna thī mirī tabāhī bhī
- خنجر کی طرح بوئے سمن تیز بہت ہےموسم کی ہوا اب کے جنوں خیز بہت ہےḳhanjar kī tarah bū-e-saman tez bahut haimausam kī havā ab ke junūñ ḳhez bahut hai
- دست پر خوں کو کف دست نگاراں سمجھےقتل گہہ تھی جسے ہم محفل یاراں سمجھےdast pur ḳhūñ ko kaf-e-dast-e-nigārāñ samjheqatl gah thī jise ham mahfil yārāñ samjhe
- دست منعم مری محنت کا خریدار سہیکوئی دن اور میں رسوا سر بازار سہیdast-e-munam mirī mehnat kā ḳharīdār sahīkoī din aur maiñ rusvā sar-e-bāzār sahī
- دشمن کی دوستی ہے اب اہل وطن کے ساتھہے اب خزاں چمن میں نئے پیرہن کے ساتھdushman kī dostī hai ab ahl-e-vatan ke sāthhai ab ḳhizāñ chaman meñ na.e pairahan ke sāth
- دل پریشان ہے رات ویران ہے دیکھ جا کس طرح آج تنہا ہیں ہمچین کیسا جو پہلو میں تو ہی نہیں مار ڈالے نہ درد جدائی کہیںdil pareshān hai rāt vīrān hai dekh jā kis tarah āj tanhā haiñ hamchain kaisā jo pahlū meñ tū hī nahīñ mār ḍāle na dard-e-judā.ī kahīñ
- دور دور مجھ سے وہ اس طرح خراماں ہےہر قدم ہے نقش دل ہر نگہ رگ جاں ہےdūr dūr mujh se vo is tarah ḳhirāmāñ haihar qadam hai naqsh-e-dil har nigah rag-e-jāñ hai
- ڈرا کے موج و تلاطم سے ہم نشینوں کویہی تو ہیں جو ڈبویا کئے سفینوں کوḍarā ke mauj-o-talātum se ham nashīnoñ koyahī to haiñ jo ḍuboyā kiye safīnoñ ko
- رہتے تھے کبھی جن کے دل میں ہم جان سے بھی پیاروں کی طرحبیٹھے ہیں انہی کے کوچے میں ہم آج گنہ گاروں کی طرحrahte the kabhī jin ke dil meñ ham jān se bhī pyāroñ kī tarahbaiṭhe haiñ unhī ke kūche meñ ham āj gunah gāroñ kī tarah
- سوئے مقتل کہ پئے سیر چمن جاتے ہیںاہل دل جام بہ کف سر بہ کفن جاتے ہیںsū-e-maqtal ke piye sair-e-chaman jāte haiñahl-e-dil jām ba kaf sar ba kafan jāte haiñ
- کسی نے بھی تو نہ دیکھا نگاہ بھر کے مجھےگیا پھر آج کا دن بھی اداس کر کے مجھےkisī ne bhī to na dekhā nigāh bhar ke mujhegayā phir āj kā din bhī udās kar ke mujhe
- کوئی ہم دم نہ رہا کوئی سہارا نہ رہاہم کسی کے نہ رہے کوئی ہمارا نہ رہاkoī ham dam na rahā koī sahārā na rahāham kisī ke na rahe koī hamārā na rahā
- کہیں بے خیال ہو کر یوں ہی چھو لیا کسی نےکئی خواب دیکھ ڈالے یہاں میری بے خودی نےkahīñ be ḳhayāl ho kar yūñ hī chhū liyā kisī neka.ī ḳhvāb dekh ḍāle yahāñ merī be ḳhudī ne
- گو رات مری صبح کی محرم تو نہیں ہےسورج سے ترا رنگ حنا کم تو نہیں ہےgo rāt mirī sub.h kī mahram to nahīñ haisūraj se tirā rang-e-hinā kam to nahīñ hai
- مجھ سے کہا جبریل جنوں نے یہ بھی وحیٔ الٰہی ہےمذہب تو بس مذہب دل ہے باقی سب گمراہی ہےmujh se kahā jibrīl junūñ ne ye bhī vahī-e-ilāhī haimaz.hab to bas maz.hab dil hai bāqī sab gumrāhī hai
- مجھے سہل ہو گئیں منزلیں وہ ہوا کے رخ بھی بدل گئےترا ہاتھ ہاتھ میں آ گیا کہ چراغ راہ میں جل گئےmujhe sahl ho ga.īñ manzileñ vo havā ke ruḳh bhī badal ga.etirā hāth hāth meñ ā gayā ke charāġh-e-rāh meñ jal ga.e
- مرے پیچھے یہ تو محال ہے کہ زمانہ گرم سفر نہ ہوکہ نہیں مرا کوئی نقش پا جو چراغ راہ گزر نہ ہوmire pīchhe ye to muhāl hai ke zamāna garm-e-safar na hoke nahīñ mirā koī naqsh-e-pā jo charāġh-e-rāh guzar na ho
- مسرتوں کو یہ اہل ہوس نہ کھو دیتےجو ہر خوشی میں ترے غم کو بھی سمو دیتےmasarratoñ ko ye ahl-e-havas na kho detejo har ḳhushī meñ tire ġham ko bhī samo dete
- نگاہ ساقیٔ نامہرباں یہ کیا جانےکہ ٹوٹ جاتے ہیں خود دل کے ساتھ پیمانےnigāh sāqī-e-nāmehrbāñ ye kyā jāneke ṭūṭ jāte haiñ ḳhud dil ke sāth paimāne
- وہ تو گیا یہ دیدۂ خوں بار دیکھیےدامن پہ رنگ پیرہن یار دیکھیےvo to gayā ye dīda-e-ḳhūñ bār dekhiyedāman pe rang pairahan-e-yār dekhiye
- وہ جس پہ تمہیں شمع سر رہ کا گماں ہےوہ شعلۂ آوارہ ہماری ہی زباں ہےvo jis pe tumheñ sham-e-sar rah kā gumāñ haivo shola-e-āvāra hamārī hī zabāñ hai
- ہمارے بعد اب محفل میں افسانے بیاں ہوں گےبہاریں ہم کو ڈھونڈھیں گی نہ جانے ہم کہاں ہوں گےhamāre ba.ad ab mahfil meñ afsāne bayāñ hoñgebahāreñ ham ko ḍhūñḍheñgī na jāne ham kahāñ hoñge
- ہم کو جنوں کیا سکھلاتے ہو ہم تھے پریشاں تم سے زیادہچاک کئے ہیں ہم نے عزیزو چار گریباں تم سے زیادہham ko junūñ kyā sukhlāte ho ham the pareshāñ tum se ziyādachāk kiye haiñ ham ne azīzo chār garebāñ tum se ziyāda
- ہم ہیں متاع کوچہ و بازار کی طرحاٹھتی ہے ہر نگاہ خریدار کی طرحham haiñ matā-e-kūcha-o-bāzār kī tarahuṭhtī hai har nigāh ḳharīdār kī tarah
- ہمیں شعور جنوں ہے کہ جس چمن میں رہےنگاہ بن کے حسینوں کی انجمن میں رہےhameñ shuūr-e-junūñ hai ke jis chaman meñ rahenigāh ban ke hasīnoñ kī anjuman meñ rahe
- ہوں جو سارے دست و پا ہیں خوں میں نہلائے ہوئےہم بھی ہیں اے دل بہاراں کی قسم کھائے ہوئےhūñ jo sāre dast-o-pā haiñ ḳhūñ meñ nehlā.e hueham bhī haiñ ai dil bahārāñ kī qasam khā.e hue
- یوں تو آپس میں بگڑتے ہیں خفا ہوتے ہیںملنے والے کہیں الفت میں جدا ہوتے ہیںyūñ to āpas meñ bigaṛte haiñ ḳhafā hote haiñmilne vāle kahīñ ulfat meñ judā hote haiñ
- یہ رکے رکے سے آنسو یہ دبی دبی سی آہیںیوں ہی کب تلک خدایا غم زندگی نباہیںye ruke ruke se ānsū ye dabī dabī sī āheñyūñ hī kab talak ḳhudāyā ġham-e-zindagī nibāheñ