Poet
Hafeez Banarasi
1933–2008
Poems
- اثر میں آتا گیا میں تری سخاوت کےدراز ہوتے گئے ہاتھ میری حاجت کےasar meñ ātā gayā maiñ tirī saḳhāvat kedarāz hote ga.e hāth merī hājat ke
- اک شگفتہ گلاب جیسا تھاوہ بہاروں کے خواب جیسا تھاik shagufta gulāb jaisā thāvo bahāroñ ke ḳhvāb jaisā thā
- بھاگتے سایوں کے پیچھے تا بہ کے دوڑا کریںزندگی تو ہی بتا کب تک ترا پیچھا کریںbhāgte sāyoñ ke pīchhe tā ba ke dauṛā kareñzindagī tū hī batā kab tak tirā pīchhā kareñ
- پیار میں زیست مجھے راس کہاں آئی ہےمیرے حصے میں فقط آہ و فغاں آئی ہےpyār meñ zīst mujhe rās kahāñ ā.ī haimere hisse meñ faqat āh-o-fuġhāñ ā.ī hai
- جو پردوں میں خود کو چھپائے ہوئے ہیںقیامت وہی تو اٹھائے ہوئے ہیںjo pardoñ meñ ḳhud ko chhupā.e hue haiñqayāmat vahī to uṭhā.e hue haiñ
- جو خط ہے شکستہ ہے جو عکس ہے ٹوٹا ہےیا حسن ترا جھوٹا یا آئنہ جھوٹا ہےjo ḳhat hai shikasta hai jo aks hai ṭūṭā haiyā husn tirā jhūṭā yā ā.īna jhūṭā hai
- جو نظر سے بیان ہوتی ہےکیا حسیں داستان ہوتی ہےjo nazar se bayān hotī haikyā hasīñ dāstān hotī hai
- حدیث تلخئ ایام سے تکلیف ہوتی ہےسحر والوں کو ذکر شام سے تکلیف ہوتی ہےhadīs-e-talḳhī-e-ayyām se taklīf hotī haisahar vāloñ ko zikr-e-shām se taklīf hotī hai
- خفا ہے گر یہ خدائی تو فکر ہی کیا ہےتری نگاہ سلامت مجھے کمی کیا ہےḳhafā hai gar ye ḳhudā.ī to fikr hī kyā haitirī nigāh salāmat mujhe kamī kyā hai
- دل کی آواز میں آواز ملاتے رہیےجاگتے رہیے زمانے کو جگاتے رہیےdil kī āvāz meñ āvāz milāte rahiyejāgte rahiye zamāne ko jagāte rahiye
- دھوپ کو چھاؤں لکھوں سنگ کو شیشہ لکھوںمصلحت کا ہے تقاضا تجھے اچھا لکھوںdhūp ko chhā.oñ likhūñ sang ko shīsha likhūñmaslahat kā hai taqāzā tujhe achchhā likhūñ
- رات کا نام سویرا ہی سہیآپ کہتے ہیں تو ایسا ہی سہیrāt kā nām saverā hī sahīāp kahte haiñ to aisā hī sahī
- عشق میں ہر نفس عبادت ہےمذہب عشق آدمیت ہےishq meñ har nafas ibādat haimaz.hab-e-ishq ādmiyyat hai
- کب ہے حد امکانی میںرشتہ آگ اور پانی میںkab hai had imkānī meñrishta āg aur pānī meñ
- کچھ سوچ کے پروانہ محفل میں جلا ہوگاشاید اسی مرنے میں جینے کا مزا ہوگاkuchh soch ke parvāna mahfil meñ jalā hogāshāyad isī marne meñ jīne kā mazā hogā
- کوئی بتلائے کہ یہ طرفہ تماشا کیوں ہےآدمی بھیڑ میں رہتے ہوئے تنہا کیوں ہےkoī batlā.e ke ye turfa tamāshā kyūñ haiādmī bhīṛ meñ rahte hue tanhā kyūñ hai
- کیا جرم ہمارا ہے بتا کیوں نہیں دیتےمجرم ہیں اگر ہم تو سزا کیوں نہیں دیتےkyā jurm hamārā hai batā kyūñ nahīñ detemujrim haiñ agar ham to sazā kyūñ nahīñ dete
- گمراہ کہہ کے پہلے جو مجھ سے خفا ہوئےآخر وہ میرے نقش قدم پر فدا ہوئےgumrāh kah ke pahle jo mujh se ḳhafā hueāḳhir vo mere naqsh-e-qadam par fidā hue
- لب فرات وہی تشنگی کا منظر ہےوہی حسین وہی قاتلوں کا لشکر ہےlab-e-furāt vahī tishnagī kā manzar haivahī hasīn vahī qātiloñ kā lashkar hai
- لہو کی مے بنائی دل کا پیمانہ بنا ڈالاجگر داروں نے مقتل کو بھی مے خانہ بنا ڈالاlahū kī mai banā.ī dil kā paimāna banā ḍālājigar dāroñ ne maqtal ko bhī mai ḳhāna banā ḍālā
- مدت کی تشنگی کا انعام چاہتا ہوںمستی بھری نظر سے اک جام چاہتا ہوںmuddat kī tishnagī kā inām chāhtā hūñmastī bharī nazar se ik jām chāhtā hūñ
- یادوں کو دھواں کر کے اڑا کیوں نہیں دیتےطاقت ہے تو تم مجھ کو بھلا کیوں نہیں دیتےyādoñ ko dhuāñ kar ke uṛā kyūñ nahīñ detetāqat hai to tum mujh ko bhalā kyūñ nahīñ dete
- یہ کیسی ہوائے غم و آزار چلی ہےخود باد بہاری بھی شرر بار چلی ہےye kaisī havā-e-ġham-o-āzār chalī haiḳhud bād-e-bahārī bhī sharar bār chalī hai
- اپنی آنکھوں میں خمستان مے ناب لیےاپنے عارض پہ بہار گل شاداب لیےapnī ānkhoñ meñ ḳhumistān-e-mai nāb liyeapne āriz pe bahār-e-gul-e-shādāb liye
- آسان نہیں مرحلۂ ترک وفا بھیمدت ہوئی ہم اس کو بھلانے میں لگے ہیںāsān nahīñ marhala-e-tark-e-vafā bhīmuddat huī ham us ko bhulāne meñ lage haiñ
- اس دشمن وفا کو دعا دے رہا ہوں میںمیرا نہ ہو سکا وہ کسی کا تو ہو گیاis dushman-e-vafā ko duā de rahā hūñ maiñmerā na ho sakā vo kisī kā to ho gayā
- اس سے بڑھ کر کیا ملے گا اور انعام جنوںاب تو وہ بھی کہہ رہے ہیں اپنا دیوانہ مجھےis se baṛh kar kyā milegā aur inām-e-junūñab to vo bhī kah rahe haiñ apnā dīvāna mujhe
- اک حسن تصور ہے جو زیست کا ساتھی ہےوہ کوئی بھی منزل ہو ہم لوگ نہیں تنہاik husn-e-tasavvur hai jo zīst kā sāthī haivo koī bhī manzil ho ham log nahīñ tanhā
- ایک سیتا کی رفاقت ہے تو سب کچھ پاس ہےزندگی کہتے ہیں جس کو رام کا بن باس ہےek saitā kī rifāqat hai to sab kuchh pās haizindagī kahte haiñ jis ko rām kā ban bās hai
- پھول افسردہ بلبلیں خاموشفصل گل آئی ہے خزاں بر دوشphūl afsurda bulbuleñ ḳhāmoshfasl-e-gul ā.ī hai ḳhizāñ bar dosh
- تدبیر کے دست رنگیں سے تقدیر درخشاں ہوتی ہےقدرت بھی مدد فرماتی ہے جب کوشش انساں ہوتی ہےtadbīr ke dast rangīñ se taqdīr daraḳhshāñ hotī haiqudrat bhī madad farmātī hai jab koshish insāñ hotī hai
- چلے چلیے کہ چلنا ہی دلیل کامرانی ہےجو تھک کر بیٹھ جاتے ہیں وہ منزل پا نہیں سکتےchale chaliye ke chalnā hī dalīl-e-kāmrānī haijo thak kar baiṭh jāte haiñ vo manzil pā nahīñ sakte
- حصار ذات کے دیوار و در میں قید رہےتمام عمر ہم اپنے ہی گھر میں قید رہےhisār-e-zāt ke dīvār-o-dar meñ qaid rahetamām umr ham apne hī ghar meñ qaid rahe
- سبھی کے دیپ سندر ہیں ہمارے کیا تمہارے کیااجالا ہر طرف ہے اس کنارے اس کنارے کیاsabhī ke dīp sundar haiñ hamāre kyā tumhāre kyāujālā har taraf hai us kināre us kināre kyā
- عشق میں معرکۂ قلب و نظر کیا کہئےچوٹ لگتی ہے کہیں درد کہیں ہوتا ہےishq meñ mārka-e-qalb-o-nazar kyā kahiyechoṭ lagtī hai kahīñ dard kahīñ hotā hai
- کبھی خرد کبھی دیوانگی نے لوٹ لیاطرح طرح سے ہمیں زندگی نے لوٹ لیاkabhī ḳhirad kabhī dīvāngī ne lauṭ liyātarah tarah se hameñ zindagī ne lauṭ liyā
- کچھ اس کے سنور جانے کی تدبیر نہیں ہےدنیا ہے تری زلف گرہ گیر نہیں ہےkuchh us ke sañvar jāne kī tadbīr nahīñ haiduniyā hai tirī zulf-e-girah gīr nahīñ hai
- کس منہ سے کریں ان کے تغافل کی شکایتخود ہم کو محبت کا سبق یاد نہیں ہےkis muñh se kareñ un ke taġhāful kī shikāyatḳhud ham ko mohabbat kā sabaq yād nahīñ hai
- کسی کا گھر جلے اپنا ہی گھر لگے ہے مجھےوہ حال ہے کہ اجالوں سے ڈر لگے ہے مجھےkisī kā ghar jale apnā hī ghar lage hai mujhevo hāl hai ke ujāloñ se ḍar lage hai mujhe
- گمشدگی ہی اصل میں یارو راہ نمائی کرتی ہےراہ دکھانے والے پہلے برسوں راہ بھٹکتے ہیںgumshudagī hī asl meñ yāro rāh numā.ī kartī hairāh dikhāne vāle pahle barsoñ rāh bhaṭakte haiñ
- ملے فرصت تو سن لینا کسی دنمرا قصہ نہایت مختصر ہےmile fursat to sun lenā kisī dinmirā qissa nihāyat muḳhtasar hai
- میں نے آباد کیے کتنے ہی ویرانے حفیظؔزندگی میری اک اجڑی ہوئی محفل ہی سہیmaiñ ne ābād kiye kitne hī vīrāne hafīzzindagī merī ik ujṛī huī mahfil hī sahī
- وفا نظر نہیں آتی کہیں زمانے میںوفا کا ذکر کتابوں میں دیکھ لیتے ہیںvafā nazar nahīñ ātī kahīñ zamāne meñvafā kā zikr kitāboñ meñ dekh lete haiñ
- وہ بات حفیظؔ اب نہیں ملتی کسی شے میںجلووں میں کمی ہے کہ نگاہوں میں کمی ہےvo bāt hafīz ab nahīñ miltī kisī shai meñjalvoñ meñ kamī hai ke nigāhoñ meñ kamī hai
- ہر حقیقت ہے ایک حسن حفیظؔاور ہر حسن اک حقیقت ہےhar haqīqat hai ek husn hafīzaur har husn ik haqīqat hai