Poet
Hafeez Banarasi
1933–2008
Poems
- آسان نہیں مرحلۂ ترک وفا بھیمدت ہوئی ہم اس کو بھلانے میں لگے ہیںāsān nahīñ marhala-e-tark-e-vafā bhīmuddat huī ham us ko bhulāne meñ lage haiñ
- اس دشمن وفا کو دعا دے رہا ہوں میںمیرا نہ ہو سکا وہ کسی کا تو ہو گیاis dushman-e-vafā ko duā de rahā hūñ maiñmerā na ho sakā vo kisī kā to ho gayā
- اس سے بڑھ کر کیا ملے گا اور انعام جنوںاب تو وہ بھی کہہ رہے ہیں اپنا دیوانہ مجھےis se baṛh kar kyā milegā aur inām-e-junūñab to vo bhī kah rahe haiñ apnā dīvāna mujhe
- اک حسن تصور ہے جو زیست کا ساتھی ہےوہ کوئی بھی منزل ہو ہم لوگ نہیں تنہاik husn-e-tasavvur hai jo zīst kā sāthī haivo koī bhī manzil ho ham log nahīñ tanhā
- ایک سیتا کی رفاقت ہے تو سب کچھ پاس ہےزندگی کہتے ہیں جس کو رام کا بن باس ہےek saitā kī rifāqat hai to sab kuchh pās haizindagī kahte haiñ jis ko rām kā ban bās hai
- پھول افسردہ بلبلیں خاموشفصل گل آئی ہے خزاں بر دوشphūl afsurda bulbuleñ ḳhāmoshfasl-e-gul ā.ī hai ḳhizāñ bar dosh
- تدبیر کے دست رنگیں سے تقدیر درخشاں ہوتی ہےقدرت بھی مدد فرماتی ہے جب کوشش انساں ہوتی ہےtadbīr ke dast rangīñ se taqdīr daraḳhshāñ hotī haiqudrat bhī madad farmātī hai jab koshish insāñ hotī hai
- چلے چلیے کہ چلنا ہی دلیل کامرانی ہےجو تھک کر بیٹھ جاتے ہیں وہ منزل پا نہیں سکتےchale chaliye ke chalnā hī dalīl-e-kāmrānī haijo thak kar baiṭh jāte haiñ vo manzil pā nahīñ sakte
- حصار ذات کے دیوار و در میں قید رہےتمام عمر ہم اپنے ہی گھر میں قید رہےhisār-e-zāt ke dīvār-o-dar meñ qaid rahetamām umr ham apne hī ghar meñ qaid rahe
- سبھی کے دیپ سندر ہیں ہمارے کیا تمہارے کیااجالا ہر طرف ہے اس کنارے اس کنارے کیاsabhī ke dīp sundar haiñ hamāre kyā tumhāre kyāujālā har taraf hai us kināre us kināre kyā
- عشق میں معرکۂ قلب و نظر کیا کہئےچوٹ لگتی ہے کہیں درد کہیں ہوتا ہےishq meñ mārka-e-qalb-o-nazar kyā kahiyechoṭ lagtī hai kahīñ dard kahīñ hotā hai
- کبھی خرد کبھی دیوانگی نے لوٹ لیاطرح طرح سے ہمیں زندگی نے لوٹ لیاkabhī ḳhirad kabhī dīvāngī ne lauṭ liyātarah tarah se hameñ zindagī ne lauṭ liyā
- کچھ اس کے سنور جانے کی تدبیر نہیں ہےدنیا ہے تری زلف گرہ گیر نہیں ہےkuchh us ke sañvar jāne kī tadbīr nahīñ haiduniyā hai tirī zulf-e-girah gīr nahīñ hai
- کس منہ سے کریں ان کے تغافل کی شکایتخود ہم کو محبت کا سبق یاد نہیں ہےkis muñh se kareñ un ke taġhāful kī shikāyatḳhud ham ko mohabbat kā sabaq yād nahīñ hai
- کسی کا گھر جلے اپنا ہی گھر لگے ہے مجھےوہ حال ہے کہ اجالوں سے ڈر لگے ہے مجھےkisī kā ghar jale apnā hī ghar lage hai mujhevo hāl hai ke ujāloñ se ḍar lage hai mujhe
- گمشدگی ہی اصل میں یارو راہ نمائی کرتی ہےراہ دکھانے والے پہلے برسوں راہ بھٹکتے ہیںgumshudagī hī asl meñ yāro rāh numā.ī kartī hairāh dikhāne vāle pahle barsoñ rāh bhaṭakte haiñ
- ملے فرصت تو سن لینا کسی دنمرا قصہ نہایت مختصر ہےmile fursat to sun lenā kisī dinmirā qissa nihāyat muḳhtasar hai
- میں نے آباد کیے کتنے ہی ویرانے حفیظؔزندگی میری اک اجڑی ہوئی محفل ہی سہیmaiñ ne ābād kiye kitne hī vīrāne hafīzzindagī merī ik ujṛī huī mahfil hī sahī
- وفا نظر نہیں آتی کہیں زمانے میںوفا کا ذکر کتابوں میں دیکھ لیتے ہیںvafā nazar nahīñ ātī kahīñ zamāne meñvafā kā zikr kitāboñ meñ dekh lete haiñ
- وہ بات حفیظؔ اب نہیں ملتی کسی شے میںجلووں میں کمی ہے کہ نگاہوں میں کمی ہےvo bāt hafīz ab nahīñ miltī kisī shai meñjalvoñ meñ kamī hai ke nigāhoñ meñ kamī hai
- ہر حقیقت ہے ایک حسن حفیظؔاور ہر حسن اک حقیقت ہےhar haqīqat hai ek husn hafīzaur har husn ik haqīqat hai