Poet
بخش ناسخ
Poems
- آ گیا جب سے نظر وہ شوخ ہرجائی مجھےکو بہ کو در در لیے پھرتی ہے رسوائی مجھےā gayā jab se nazar vo shoḳh harjā.ī mujhekū ba kū dar dar liye phirtī hai rusvā.ī mujhe
- اب کی ہولی میں رہا بے کار رنگاور ہی لایا فراق یار رنگab kī holī meñ rahā be kār rangaur hī lāyā firāq-e-yār rang
- اپنے ابرو آئنے میں دیکھ کر بسمل ہواکھینچ کر تلوار اپنا آپ وہ قاتل ہواapne abrū ā.īne meñ dekh kar bismil huākhīñch kar talvār apnā āp vo qātil huā
- تو نے مہجور کر دیا ہم کوسخت رنجور کر دیا ہم کوtū ne mahjūr kar diyā ham kosaḳht ranjūr kar diyā ham ko
- جان ہم تجھ پہ دیا کرتے ہیںنام تیرا ہی لیا کرتے ہیںjān ham tujh pe diyā karte haiñnām terā hī liyā karte haiñ
- جب سے کہ بتوں سے آشنا ہوںبیگانہ خدائی سے ہوا ہوںjab se ke butoñ se āshnā hūñbegāna ḳhudā.ī se huā hūñ
- جی لیتی ہے وہ زلف سیہ فام ہمارابجھتا ہے چراغ آج سر شام ہماراjī letī hai vo zulf-e-siyah fām hamārābujhtā hai charāġh āj sar-e-shām hamārā
- چوٹ دل کو جو لگے آہ رسا پیدا ہوصدمہ شیشہ کو جو پہنچے تو صدا پیدا ہوchoṭ dil ko jo lage āh-e-rasā paidā hosadma shīsha ko jo pahuñche to sadā paidā ho
- چین دنیا میں زمیں سے تا فلک دم بھر نہیںداغ ہیں یہ گل نہیں ناسور ہیں اختر نہیںchain-e-duniyā meñ zamīñ se tā falak dam bhar nahīñdāġh haiñ ye gul nahīñ nāsūr haiñ aḳhtar nahīñ
- دل میں پوشیدہ تپ عشق بتاں رکھتے ہیںآگ ہم سنگ کی مانند نہاں رکھتے ہیںdil meñ poshīda tap-e-ishq-e-butāñ rakhte haiñāg ham sang kī mānind-e-nihāñ rakhte haiñ
- رات بھر جو سامنے آنکھوں کے وہ مہ پارہ تھاغیرت مہتاب اپنا دامن نظارہ تھاrāt bhar jo sāmne ānkhoñ ke vo mah pāra thāġhairat-e-mahtāb apnā dāman-e-nazzāra thā
- رفعت کبھی کسی کی گوارا یہاں نہیںجس سر زمیں کے ہم ہیں وہاں آسماں نہیںrifat kabhī kisī kī gavārā yahāñ nahīñjis sar zamīñ ke ham haiñ vahāñ āsmāñ nahīñ
- زور ہے گرمئ بازار ترے کوچے میںجمع ہیں تیرے خریدار ترے کوچے میںzor hai garmī-e-bāzār tire kūche meñjam.a haiñ tere ḳharīdār tire kūche meñ
- سب کی سب کیا ہیں شب قدر ہماری راتیںکٹتی ہیں آنکھوں ہی میں ہجر کی ساری راتیںsab kī sab kyā haiñ shab-e-qadr hamārī rāteñkaṭṭī haiñ ānkhoñ hī meñ hijr kī sārī rāteñ
- سب ہمارے لیے زنجیر لیے پھرتے ہیںہم سر زلف گرہ گیر لیے پھرتے ہیںsab hamāre liye zanjīr liye phirte haiñham sar-e-zulf-e-girah gīr liye phirte haiñ
- سو قصوں سے بہتر ہے کہانی مرے دل کیسن اس کو تو اے جان زبانی مرے دل کیso qissoñ se behtar hai kahānī mire dil kīsun us ko to ai jān zabānī mire dil kī
- صاف قاصد کو واں جواب ملامیرے خط کا یہی جواب ملاsāf qāsid ko vāñ javāb milāmere ḳhat kā yahī javāb milā
- صنم کوچہ ترا ہے اور میں ہوںیہ زندان دغا ہے اور میں ہوںsanam kūcha tirā hai aur maiñ hūñye zindān-e-daġhā hai aur maiñ hūñ
- قامت یار کو ہم یاد کیا کرتے ہیںسرو کو صدقے میں آزاد کیا کرتے ہیںqāmat-e-yār ko ham yād kiyā karte haiñsarv ko sadqe meñ āzād kiyā karte haiñ
- کرتی ہے مجھے قتل مرے یار کی رفتارتلوار کی تلوار ہے رفتار کی رفتارkartī hai mujhe qatl mire yār kī raftārtalvār kī talvār hai raftār kī raftār
- کون سا تن ہے کہ مثل روح اس میں تو نہیںکون گل ہے جو ترا مسکن برنگ بو نہیںkaun sā tan hai ke misl-e-rūh is meñ to nahīñkaun gul hai jo tirā maskan barang-e-bū nahīñ
- گو یہ غم ہے کہ وہ حبیب نہیںپر خوشی ہے کوئی رقیب نہیںgo ye ġham hai ke vo habīb nahīñpar ḳhushī hai koī raqīb nahīñ
- لیتے لیتے کروٹیں تجھ بن جو گھبراتا ہوں میںنام لے لے کر ترا راتوں کو چلاتا ہوں میںlete lete karvaṭeñ tujh bin jo ghabrātā hūñ maiñnām le le kar tirā rātoñ ko chillātā hūñ maiñ
- مجھ سے اب صاف بھی ہو جا یوں ہی یار آپ سے آپجس طرح ہے تری خاطر میں غبار آپ سے آپmujh se ab sāf bhī ho jā yūñ hī yār āp se āpjis tarah hai tirī ḳhātir meñ ġhubār āp se āp
- مجھ کو اب ساقیٔ گلفام سے کچھ کام نہیںمے سے کچھ کام نہیں جام سے کچھ کام نہیںmujh ko ab sāqī-e-gulfām se kuchh kām nahīñmai se kuchh kām nahīñ jām se kuchh kām nahīñ
- مجھ کو فرقت کی اسیری سے رہائی ہوتیکاش عیسیٰ کے عوض موت ہی آئی ہوتیmujh ko furqat kī asīrī se rihā.ī hotīkāsh īsā ke evaz maut hī ā.ī hotī
- مرا سینہ ہے مشرق آفتاب داغ ہجراں کاطلوع صبح محشر چاک ہے میرے گریباں کاmirā sīna hai mashriq āftāb-e-dāġh-e-hijrāñ kātulū-e-sub.h-e-mahshar chāk hai mere garebāñ kā
- مزہ وصال کا کیا گر فراق یار نہ ہونہیں ہے نشے کی کچھ قدر اگر خمار نہ ہوmaza visāl kā kyā gar firāq-e-yār na honahīñ hai nashe kī kuchh qadar agar ḳhumār na ho
- مے سے روشن رہے ایاغ اپناگل نہ ہو ساقیا چراغ اپناmai se raushan rahe ayāġh apnāgul na ho sāqiyā charāġh apnā
- وہ بیزار مجھ سے ہوا زار میں ہوںوہ مے خوار غیروں میں ہے خوار میں ہوںvo bezār mujh se huā zār meñ hūñvo mai ḳhvār ġhairoñ meñ hai ḳhvār meñ hūñ
- وہ روئے کتابی تو ہے قرآن ہماراکہتے ہیں جسے عشق ہے ایمان ہماراvo rū-e-kitābī to hai qurān hamārākahte haiñ jise ishq hai īmān hamārā
- ہائے لایا نہ کوئی قاصد دلبر کاغذہو گیا غم سے ہمارا تن لاغر کاغذhā.e lāyā na koī qāsid dilbar kāġhazho gayā ġham se hamārā tan-e-lāġhar kāġhaz
- ہماری کیف سزاوار احتساب نہیںخیال چشم ہے کچھ ساغر شراب نہیںhamārī kaif-e-sazāvār-e-ehtisāb nahīñḳhayāl-e-chashm hai kuchh sāġhar-e-sharāb nahīñ
- ہوئے رونے سے مرے دیدۂ بے دار سفیدبلکہ اشکوں نے کیا رنگ شب تار سفیدhue rone se mire dīda-e-be dār safedbalke ashkoñ ne kiyā rang-e-shab-e-tār-e-safed
- ہیں اشک مری آنکھوں میں قلزم سے زیادہہیں داغ مرے سینے میں انجم سے زیادہhaiñ ashk mirī ānkhoñ meñ qulzum se ziyādahaiñ dāġh mire sīne meñ anjum se ziyāda
- ہے تصور مجھے ہر دم تری یکتائی کامشغلہ آٹھ پہر ہے یہی تنہائی کاhai tasavvur mujhe har dam tirī yaktā.ī kāmashġhala āṭh pahar hai yahī tanhā.ī kā
- ہے دل سوزاں میں طور اس کی تجلی گاہ کاروئے آتش ناک ہر شعلہ ہے میری آہ کاhai dil-e-sozāñ meñ tūr us kī tajallī gāh kārū-e-ātish nāk har shola hai merī āh kā
- ہے محبت سب کو اس کے ابروئے خم دار کیہند میں کیا آبرو باقی رہی تلوار کیhai mohabbat sab ko us ke abrū-e-ḳham dār kīhind meñ kyā ābrū bāqī rahī talvār kī
- یاد آتی ہیں ہمیں جان تمہاری باتیںہائے وہ پیار کی آواز وہ پیاری باتیںyād ātī haiñ hameñ jān tumhārī bāteñhā.e vo pyār kī āvāz vo pyārī bāteñ
- یوں مجھے آپ سے اب کرتی ہے تقدیر جداجس طرح جنگ میں ہو قبضے سے شمشیر جداyūñ mujhe āp se ab kartī hai taqdīr judājis tarah jang meñ ho qabze se shamshīr judā
- یہ جسم زار ہے یوں پیرہن کے پردے میںکہ جیسے روح نہاں ہے بدن کے پردے میںye jism-e-zār hai yūñ pairahan ke parde meñke jaise rūh nihāñ hai badan ke parde meñ
- یاروں کی ہم سے دل شکنی ہو سکے کہاںیاں پاس ہے نہ خاطر اغیار توڑیئےyāroñ kī ham se dil shikanī ho sake kahāñyāñ pās hai na ḳhātir-e-aġhyār toṛiye