صنم کوچہ ترا ہے اور میں ہوں
بخش ناسخصنم کوچہ ترا ہے اور میں ہوں
یہ زندان دغا ہے اور میں ہوں
یہی کہتا ہے جلوہ میرے بت کا
کہ اک ذات خدا ہے اور میں ہوں
ادھر آنے میں ہے کس سے تجھے شرم
فقط اک غم ترا ہے اور میں ہوں
کرے جو ہر قدم پر ایک نالہ
زمانے میں درا ہے اور میں ہوں
تری دیوار سے آتی ہے آواز
کہ اک بال ہما ہے اور میں ہوں
نہ ہو کچھ آرزو مجھ کو خدایا
یہی ہر دم دعا ہے اور میں ہوں
کیا درباں نے سنگ آستانہ
در دولت سرا ہے اور میں ہوں
گیا وہ چھوڑ کر رستے میں مجھ کو
اب اس کا نقش پا ہے اور میں ہوں
زمانے کے ستم سے روز ناسخؔ
نئی اک کربلا ہے اور میں ہوں
sanam kucha tira hai aur main hun
ye zindan-e-dagha hai aur main hun
yahi kahta hai jalwa mere but ka
ke ik zat-e-khuda hai aur main hun
idhar ane mein hai kis se tujhe sharm
faqat ik gham tira hai aur main hun
kare jo har qadam par ek nala
zamane mein dara hai aur main hun
tiri diwar se ati hai awaz
ke ik bal-e-huma hai aur main hun
na ho kuchh arzu mujh ko khudaya
yahi har dam dua hai aur main hun
kiya darban ne sang-e-astana
dar-e-daulat sara hai aur main hun
gaya wo chhor kar raste mein mujh ko
ab us ka naqsh-e-pa hai aur main hun
zamane ke sitam se roz nasikh
nai ik karbala hai aur main hun