Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ali Sardar Jafri

علی سردار جعفری

1913–2000

Poems

  1. bahār-e-husn javāñ marg sūrat-e-gul-e-tarmisāl-e-ḳhār magar umr dard-e-ishq darāz
  2. bahut qarīb ho tum phir bhī mujh se kitnī dūrke dil kahīñ hai nazar hai kahīñ kahīñ tum ho
  3. pūchhtā hai to ke kab aur kis tarah ātī hūñ maiñgod meñ nākāmiyoñ ke parvarish pātī hūñ maiñ
  4. tum nahīñ ā.e the jab tab bhī to maujūd the tumānkh meñ nūr kī aur dil meñ lahū kī sūrat
  5. tumhārā shahr tumhāre badan kī ḳhushbū semahak rahā thā, har ik bām tum se raushan thā
  6. tumhārā hāth baṛhā hai jo dostī ke liyemire liye hai vo ik yār ġham gusār kā hāth
  7. tū mujhe itne pyār se mat dekhterī palkoñ ke narm sā.e meñ
  8. tīrgī ke siyāh ġhāroñ seshahparoñ kī sadā.eñ ātī haiñ
  9. ḳhvāb ab husn-e-tasavvur ke ufuq se haiñ paredil ke ik jazba-e-ma.asūm ne dekhe the jo ḳhvāb
  10. dil pe jab hotī hai yādoñ kī sunahrī bārishsāre bīte hue lamhoñ ke kanval khulte haiñ
  11. dil ko be tāb rakhtī hai ik ārzūkam hai ye vusat-e-ālam-e-rang-o-bū
  12. zikr nahīñ ye farzānoñ kāqissa hai ik dīvānoñ kā
  13. rāt ḳhūbsūrat hainīnd kyūñ nahīñ ātī
  14. shafaq ke rang meñ hai qatl āftāb kā rangufuq ke dil meñ hai ḳhanjar lahū luhān hai shām
  15. kal ek to hogī aur ik maiñkoī raqīb-e-rafīq sūrat
  16. khaṛā hai kaun ye pairāhan-e-sharar pahnebadan hai chūr to māthe se ḳhūn jārī hai
  17. khel khilaune pahle kyā thenām suno tum bachcho kuchh ke
  18. guftugū band na hobāt se bāt chale
  19. lahū pukārtā haihar taraf pukārtā hai
  20. māñ hai resham ke kārḳhāne meñbāp masrūf sotī mil meñ hai
  21. mirī ragoñ meñ chahakte hue lahū ko sunohazāroñ lākhoñ sitāroñ ne sāz chheṛā hai
  22. mire azīzo, mire rafīqomirī kamevnizam se ho ḳhā.if
  23. ma.alūm nahīñ zehn kī parvāz kī zad meñsarsabz ummīdoñ kā chaman hai ke nahīñ hai
  24. manā.o jashn-e-mohabbat ke ḳhūñ kī bū na rahībaras ke khul ga.e bārūd ke siyah bādal
  25. mere darvāze se ab chānd ko ruḳhsat kar dosāth āyā hai tumhāre jo tumhāre ghar se
  26. maiñ ke hūñ pyās ke dariyā kī taṛaptī huī maujpī chukā hūñ maiñ samundar kā samundar phir bhī
  27. hamārī pyārī zabān-e-urdūhamārī naġhmoñ kī jān urdū
  28. hamchau sabza bārhā roīda aimphir ik din aisā ā.egā
  29. ye ādmī kī guzar gāh shāhrāh-e-hayāthazāroñ sāl kā bār-e-girāñ uṭhā.e hue
  30. ye kis ne fon pe dī sāl-e-nau kī tahniyat mujh kotamannā raqs kartī hai taḳhayyul gungunātā hai
  31. nāgahāñ shor huālo shab-e-tār ġhulāmī kī sahar ā pahuñchī
  32. in hāthoñ kī ta.azīm karoin hāthoñ kī takrīm karo
  33. pyās bhī ek samundar hai samundar kī tarahjis meñ har dard kī dhār
  34. sabz-o-shādāb sāhilret ke aur pānī ke gīt
  35. isī liye to hai zindāñ ko justujū merīke muflisī ko sikhā.ī hai sarkashī maiñ ne
  36. inqilāb ā.egā raftār se māyūs na hobahut āhista nahīñ hai jo bahut tez nahīñ
  37. bahut barbād haiñ lekin sadā-e-inqilāb ā.evahīñ se vo pukār uṭhegā jo zarra jahāñ hogā
  38. partau se jis ke ālam imkāñ bahār haivo nau bahār-e-nāz abhī rah guzar meñ hai
  39. pyās jahāñ kī ek bayābāñ terī saḳhāvat shabnam haipī ke uṭhā jo bazm se terī aur bhī tishna kām uṭhā
  40. to vo bahār jo apne chaman meñ āvāramaiñ vo chaman jo bahārāñ ke intizār meñ hai
  41. tah-e-āriz jo farozāñ haiñ hazāroñ shameñlutf-e-iqrār hai yā shoḳhī-e-inkār kā rang
  42. dāman jhaṭak ke vādī-e-ġham se guzar gayāuṭh uṭh ke dekhtī rahī gard-e-safar mujhe
  43. dil-o-nazar ko abhī tak vo de rahe haiñ farebtasavvurāt kuhan ke qadīm but ḳhāne
  44. so mileñ zindagī se sauġhāteñham ko āvārgī hī rās ā.ī
  45. shab ke sannāṭe meñ ye kis kā lahū gātā haisarhad-e-dard se ye kis kī sadā ātī hai
  46. kamī kamī sī thī kuchh rang-o-bū-e-gulshan meñlab-e-bahār se niklī huī duā tum ho
  47. ye terā gulistāñ terā chaman kab merī navā ke qābil hainaġhma mirā apne dāman meñ āp apnā gulistāñ lātā hai
  48. ye mai kada hai yahāñ haiñ gunāh jām badastvo madrasa hai vo masjid vahāñ milegā savāb