Poet
Ali Sardar Jafri
علی سردار جعفری1913–2000
Poems
- اسی لیے تو ہے زنداں کو جستجو میریکہ مفلسی کو سکھائی ہے سرکشی میں نےisī liye to hai zindāñ ko justujū merīke muflisī ko sikhā.ī hai sarkashī maiñ ne
- انقلاب آئے گا رفتار سے مایوس نہ ہوبہت آہستہ نہیں ہے جو بہت تیز نہیںinqilāb ā.egā raftār se māyūs na hobahut āhista nahīñ hai jo bahut tez nahīñ
- بہت برباد ہیں لیکن صدائے انقلاب آئےوہیں سے وہ پکار اٹھے گا جو ذرہ جہاں ہوگاbahut barbād haiñ lekin sadā-e-inqilāb ā.evahīñ se vo pukār uṭhegā jo zarra jahāñ hogā
- پرتو سے جس کے عالم امکاں بہار ہےوہ نو بہار ناز ابھی رہ گزر میں ہےpartau se jis ke ālam imkāñ bahār haivo nau bahār-e-nāz abhī rah guzar meñ hai
- پیاس جہاں کی ایک بیاباں تیری سخاوت شبنم ہےپی کے اٹھا جو بزم سے تیری اور بھی تشنہ کام اٹھاpyās jahāñ kī ek bayābāñ terī saḳhāvat shabnam haipī ke uṭhā jo bazm se terī aur bhī tishna kām uṭhā
- تو وہ بہار جو اپنے چمن میں آوارہمیں وہ چمن جو بہاراں کے انتظار میں ہےto vo bahār jo apne chaman meñ āvāramaiñ vo chaman jo bahārāñ ke intizār meñ hai
- تہہ عارض جو فروزاں ہیں ہزاروں شمعیںلطف اقرار ہے یا شوخئ انکار کا رنگtah-e-āriz jo farozāñ haiñ hazāroñ shameñlutf-e-iqrār hai yā shoḳhī-e-inkār kā rang
- دامن جھٹک کے وادئ غم سے گزر گیااٹھ اٹھ کے دیکھتی رہی گرد سفر مجھےdāman jhaṭak ke vādī-e-ġham se guzar gayāuṭh uṭh ke dekhtī rahī gard-e-safar mujhe
- دل و نظر کو ابھی تک وہ دے رہے ہیں فریبتصورات کہن کے قدیم بت خانےdil-o-nazar ko abhī tak vo de rahe haiñ farebtasavvurāt kuhan ke qadīm but ḳhāne
- سو ملیں زندگی سے سوغاتیںہم کو آوارگی ہی راس آئیso mileñ zindagī se sauġhāteñham ko āvārgī hī rās ā.ī
- شب کے سناٹے میں یہ کس کا لہو گاتا ہےسرحد درد سے یہ کس کی صدا آتی ہےshab ke sannāṭe meñ ye kis kā lahū gātā haisarhad-e-dard se ye kis kī sadā ātī hai
- کمی کمی سی تھی کچھ رنگ و بوئے گلشن میںلب بہار سے نکلی ہوئی دعا تم ہوkamī kamī sī thī kuchh rang-o-bū-e-gulshan meñlab-e-bahār se niklī huī duā tum ho
- یہ تیرا گلستاں تیرا چمن کب میری نوا کے قابل ہےنغمہ مرا اپنے دامن میں آپ اپنا گلستاں لاتا ہےye terā gulistāñ terā chaman kab merī navā ke qābil hainaġhma mirā apne dāman meñ āp apnā gulistāñ lātā hai
- یہ مے کدہ ہے یہاں ہیں گناہ جام بدستوہ مدرسہ ہے وہ مسجد وہاں ملے گا ثوابye mai kada hai yahāñ haiñ gunāh jām badastvo madrasa hai vo masjid vahāñ milegā savāb