میں کہ ہوں پیاس کے دریا کی تڑپتی ہوئی موج
Ali Sardar Jafri (1913–2000)میں کہ ہوں پیاس کے دریا کی تڑپتی ہوئی موج
پی چکا ہوں میں سمندر کا سمندر پھر بھی
ایک اک قطرۂ شبنم کو ترس جاتا ہوں
قطرۂ شبنم اشک
قطرۂ شبنم دل خون جگر
قطرۂ نیم نظر
یا ملاقات کے لمحوں کے سنہری قطرے
جو نگاہوں کی حرارت سے ٹپک پڑتے ہیں
اور پھر لمس کے نور
اور پھر بات کی خوشبو میں بدل جاتے ہیں
مجھ کو یہ قطرۂ شاداب بھی چکھ لینے دو
دل میں یہ گوہر نایاب بھی رکھ لینے دو
خشک ہیں ہونٹ مرے خشک زباں ہے میری
خشک ہے درد، کا نغمے کا گلو
میں اگر پی نہ سکا وقت کا یہ آب حیات
پیاس کی آگ میں ڈرتا ہوں کہ جل جاؤں گا
main ke hun pyas ke dariya ki tarapti hui mauj
pi chuka hun main samundar ka samundar phir bhi
ek ik qatra-e-shabnam ko taras jata hun
qatra-e-shabnam-e-ashk
qatra-e-shabnam dil khun-e-jigar
qatra-e-nim nazar
ya mulaqat ke lamhon ke sunahri qatre
jo nigahon ki hararat se tapak parte hain
aur phir lams ke nur
aur phir bat ki khushbu mein badal jate hain
mujh ko ye qatra-e-shadab bhi chakh lene do
dil mein ye gauhar-e-nayab bhi rakh lene do
khushk hain hont mire khushk zaban hai meri
khushk hai dard, ka naghme ka galo
main agar pi na saka waqt ka ye ab-e-hayat
pyas ki ag mein darta hun ke jal jaunga