Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

احمد حسین مائل

Poems

  1. āftāb ā.e chamak kar jo sar-e-jām-e-sharābrind samjheñ ke hai sādiq sahar-e-jām-e-sharāb
  2. pyār apne pe jo ātā hai to kyā karte haiñā.īna dekh ke muñh chūm liyā karte haiñ
  3. jumbish meñ zulf par shikan ek is taraf ek is tarafgardish meñ chashm-e-sehr fan ek is taraf ek is taraf
  4. chorī se do ghaṛī jo nazāre hue to kyāchilman to bīch meñ hai ishāre hue to kyā
  5. rū-e-tābāñ māñg mū-e-sar dhuāñ battī charāġhkyā nahīñ insāñ kī gardan par dhuāñ battī charāġh
  6. zamzama nāla-e-bulbul ṭhahremaiñ jo fariyād karūñ ġhul ṭhahre
  7. samajh ke hūr baṛe nāz se lagā.ī choṭjo us ne ā.īna dekhā to ḳhud hī khā.ī choṭ
  8. shab-e-māh meñ jo palang par mire sāth soe to kyā huekabhī lipṭe ban ke vo chāndnī kabhī chānd ban ke judā hue
  9. qibla-e-āb-o-gul tumheñ to hoka.aba-e-jān-o-dil tumheñ to ho
  10. koī hasīn hai muḳhtār-e-kār ḳhāna-e-ishqke lā makāñ hī kī chaukhaṭ hai āstāna-e-ishq
  11. khaṛe haiñ mūsā uṭhā.o pardā dikhā.o tum āb-o-tāb-e-ārizhijāb kyūñ hai ke ḳhud tajallī banī huī hai hijāb-e-āriz
  12. kyā roz-e-hashr dūñ tujhe ai dād gar javāba.amāl nāma kā to hai peshānī par javāb
  13. kyūñ shauq baṛh gayā ramzāñ meñ singār kāroza na ṭūṭ jā.e kisī roza dār kā
  14. mahshar meñ chalte chalte karūñgā adā namāzpaṛh lonagā pal sirāt pe mā.il qazā namāz
  15. maiñ hī matlūb ḳhud hūñ to hai abasāj se terī justujū hai abas
  16. niklī jo rūh ho ga.e ajzā-e-tan ḳharābik sham.a bujh ga.ī to huī anjuman ḳharāb
  17. vo but parī hai nikāleñ na bāl-o-par ta.avīzhaiñ donoñ bāzū pe us ke idhar idhar ta.avīz
  18. vo pāra hūñ maiñ jo āg meñ hūñ vo barq hūñ jo sahāb meñ hūñzamīñ pe bhī iztirāb meñ hūñ falak pe bhī iztirāb meñ hūñ
  19. ġhaflat ke tuḳhm bone vāle uṭheauqāt azīz khone vāle uṭhe
  20. mānā vā.iz baṛā hī allāma haimahshar kā zabān pe us ke hangāma hai
  21. naqsha lail-o-nahār kā khīñchā haimausam kā ḳhat judā judā khīñchā hai
  22. ashk ā.e ġham-e-shah se jo chashm-e-tar meñdil jalne lagā taṛap taṛap kar bar meñ
  23. afzūñ jo shabāb dam badam hotā haighaṭṭī hai umr kyā sitam hotā hai
  24. iqrār nagar ko gadā.ī kā haida.avā iflās-o-be navā.ī kā hai
  25. allāh matā-e-zindagānī mil jā.ephir ahd-e-shabāb kī nishānī mil jā.e
  26. paidal na mujhe roz-e-shumār un se demurakkab pe liye gunah kā bār āne de
  27. pīrī meñ shabāb kī nishānī na milīafsos matā-e-zindagānī na milī
  28. sābit hai tan meñ bādshāhī dil kīpar kī tirī naḳhvat ne tabāhī dil kī
  29. kuchh lutf-e-suḳhan vaqt mulāqāt nahīñlab par ta.arīf dil pe gar hāt nahīñ
  30. kahte haiñ ke raunaq-e-jamālī hūñ maiñshohra hai ke jalva-e-jalālī hūñ maiñ
  31. maiñ apne kafan kā sīne vālā niklāhar sāns meñ mar ke jīne vālā niklā
  32. maiñ sar pe gunāhoñ kā liye bār āyāmaiñ hashr meñ pī ke mast-o-sarshār āyā
  33. ham rāh-e-adam se iztirāb āyā haimere liye duniyā meñ azāb āyā hai
  34. hai sū-e-falak nazar tamāshā kyā haiinsāf karo donoñ meñ kaun achchhā hai
  35. hai arsh bhī yak farsh qadam kā teretaqdīr navashta hai hai qalam kā tere
  36. yā rab mire dil meñ hai ujālā terāā.īne kī hai baġhal meñ jalvā terā
  37. ye mujh se na pūchh tū ne kyā kyā dekhāyā rab jo kuchh nazar ne dekhā dekhā
  38. ho ga.e muztar dekhte hī vo hiltī zulfeñ phirtī nazar hamdete haiñ dil ik āfat jāñ ko thāme hue hāthoñ se jigar ham