Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Aale Ahmad Suroor

1911–2002

Poems

  1. āj se pahle tire mastoñ kī ye ḳhvārī na thīmai baṛī ifrāt se thī phir bhī sarshārī na thī
  2. ek dīvāne ko itnā hī sharaf kyā kam haizulf-o-zanjīr se yak gūna shaġhaf kyā kam hai
  3. tū payambar sahī ye mojiza kāfī to nahīñshāyarī zīst ke zaḳhmoñ kī talāfī to nahīñ
  4. jabr hālāt kā to nām liyā hai tum neapne sar bhī kabhī ilzām liyā hai tum ne
  5. jab kabhī bāt kisī kī bhī burī lagtī haiaisā lagtā hai ke sīne meñ chhurī lagtī hai
  6. jis ne kiye haiñ phūl nichhāvar kabhī kabhīā.e haiñ us kī samt se patthar kabhī kabhī
  7. ḳhudā parast mile aur na but parast milemile jo log vo apne nashe meñ mast mile
  8. ḳhushk khetī hai magar us ko harī kahte haiñkam nigāhī ko bhī vo dīda varī kahte haiñ
  9. ḳhayāl jin kā hameñ roz-o-shab satātā haikabhī unheñ bhī hamārā ḳhayāl ātā hai
  10. dāstān-e-shauq kitnī bār dohrā.ī ga.īsunne vāloñ meñ tavajjoh kī kamī pā.ī ga.ī
  11. dil dādgān-e-lazzat-e-ījād kyā kareñsailāb ashk-o-āh pe buniyād kyā kareñ
  12. zanjīr se junūñ kī ḳhalish kam na ho sakībhaṛkī agar ye ānch to maddham na ho sakī
  13. safar tavīl sahī hāsil-e-safar kyā thāhamāre pās bajuz daulat-e-nazar kyā thā
  14. shaguftagī-e-dil-e-vīrāñ meñ āj ā hī ga.īghaṭā chaman pe bahāroñ ko le ke chhā hī ga.ī
  15. fuġhān-e-dard meñ bhī dard kī ḳhalish hī nahīñdiloñ meñ āg lagī hai magar tapish hī nahīñ
  16. kuchh log taġhayyur se abhī kāñp rahe haiñham sāth chale to haiñ magar hānp rahe haiñ
  17. lo andheroñ ne bhī andāz ujāloñ ke liyekaisī uftād paṛī dekhne vāloñ ke liye
  18. log tanhā.ī kā kis darja gilā karte haiñaur fan kār to tanhā hī rahā karte haiñ
  19. navā-e-shauq meñ shorish bhī hai qarār bhī haiḳhirad kā pās bhī ḳhvāboñ kā kārobār bhī hai
  20. vo ehtiyāt ke mausam badal ga.e kaisecharāġh-e-dil ke andhere meñ jal ga.e kaise
  21. vo jiyeñ kyā jinheñ jīne kā hunar bhī na milādasht meñ ḳhāk uṛāte rahe ghar bhī na milā
  22. har ik jannat ke raste ho ke dozaḳh se nikalte haiñunheñ kā haq hai phūloñ par jo angāroñ pe chalte haiñ
  23. hamāre hāth meñ jab koī jām āyā haitū lab pe kitne hī pyāsoñ kā nām āyā hai
  24. ham barq-o-sharar ko kabhī ḳhātir meñ na lā.eis fitna-e-daurāñ ko magar dekh na pā.e
  25. ham na is ṭolī meñ the yāro na is ṭolī meñ thene kisī kī jeb meñ the na kisī jholī meñ the
  26. hameñ to mai kade kā ye nizām-e-achchhā nahīñ lagtāna ho sab ke liye gardish meñ jām achchhā nahīñ lagtā
  27. yūñ jo uftād paṛe ham pe vo sah jāte haiñhāñ kabhī bāt jo kahne kī hai kah jāte haiñ