Poet
zafar iqbal zafar
b. 1940
Poems
- آئنہ دیکھیں نہ ہم عکس ہی اپنا دیکھیںجب بھی دیکھیں تو ہم اپنے کو اکیلا دیکھیںā.īna dekheñ na ham aks hī apnā dekheñjab bhī dekheñ to ham apne ko akelā dekheñ
- ایک اک پل ترا نایاب بھی ہو سکتا ہےحوصلہ ہو تو ظفر یاب بھی ہو سکتا ہےek ik pal tirā nāyāb bhī ho saktā haihausla ho to zafar yāb bhī ho saktā hai
- ایک جنبش میں کٹ بھی سکتے ہیںدھار پر رکھے سب کے چہرے ہیںek jumbish meñ kaṭ bhī sakte haiñdhār par rakhe sab ke chehre haiñ
- پائی ہمیشہ ریت بھنور کاٹنے کے بعدتشنہ لبی کا لمبا سفر کاٹنے کے بعدpā.ī hamesha ret bhanvar kāṭne ke ba.adtishna labī kā lambā safar kāṭne ke ba.ad
- دریا گزر گئے ہیں سمندر گزر گئےپیاسا رہا میں کتنے ہی منظر گزر گئےdariyā guzar ga.e haiñ samundar guzar ga.epyāsā rahā maiñ kitne hī manzar guzar ga.e
- دل و نگاہ کو ویران کر دیا میں نےشکست خواب کا اعلان کر دیا میں نےdil-o-nigāh ko vīrān kar diyā maiñ neshikast-e-ḳhvāb kā elān kar diyā maiñ ne
- رابطہ کیوں رکھوں میں دریا سےپیاس بجھتی ہے میری صحرا سےrābta kyūñ rakhoñ meñ dariyā sepyās bujhtī hai merī sahrā se
- زندگی کو شعبدہ سمجھا تھا میںپتھروں کو آئنہ سمجھا تھا میںzindagī ko shobada samjhā thā maiñpattharoñ ko ā.īna samjhā thā maiñ
- زندگی کو کر گیا جنگل کوئیلے گیا خوشیوں کا میری پل کوئیzindagī ko kar gayā jangal koīle gayā ḳhushiyoñ kā merī pal koī
- سر بریدہ ہوا مقابل ہےسب کی آنکھوں میں خوف شامل ہےsar burīda huā muqābil haisab kī ānkhoñ meñ ḳhauf shāmil hai
- سفر کا سلسلہ آخر کہاں تمام کروںکہاں چراغ چلاؤں کہاں قیام کروںsafar kā silsila āḳhir kahāñ tamām karūñkahāñ charāġh chillā.ūñ kahāñ qayām karūñ
- صحرا کا سفر تھا تو شجر کیوں نہیں آیامانگی تھیں دعائیں تو اثر کیوں نہیں آیاsahrā kā safar thā to shajar kyūñ nahīñ āyāmāñgī thīñ duā.eñ to asar kyūñ nahīñ āyā
- کنیز وقت کو نیلام کر دیا سب نےیہ وہم کیا ہے بڑا کام کر دیا سب نےkanīz vaqt ko nīlām kar diyā sab neye vahm kyā hai baṛā kām kar diyā sab ne
- لبوں پر پیاس سب کے بے کراں ہےہر اک جانب مگر اندھا کنواں ہےlaboñ par pyās sab ke be karāñ haihar ik jānib magar andhā kuāñ hai
- وہ نہیں اس کی مگر جادوگری موجود ہےاک سحر آلود مجھ میں بے خودی موجود ہےvo nahīñ us kī magar jādūgarī maujūd haiik sahar ālūd mujh meñ be ḳhudī maujūd hai
- ہر آدمی کہاں اوج کمال تک پہنچاعروج حد سے بڑھا تو زوال تک پہنچاhar ādmī kahāñ auj-e-kamāl tak pahuñchāurūj had se baṛhā to zavāl tak pahuñchā
- پھیلی ہوئی ہے چاندنی احساس میں مرےیہ کون میری ذات کے اندر اتر گیاphailī huī hai chāndnī ehsās meñ mireye kaun merī zāt ke andar utar gayā
- تہذیب ہی باقی ہے نہ اب شرم و حیا کچھکس درجہ اب انسان یہ بے باک ہوا ہےtahzīb hī bāqī hai na ab sharm-o-hayā kuchhkis darja ab insān ye be bāk huā hai
- مری چیخیں فصیلوں سے کبھی باہر نہیں جاتیںشکستہ ہو کے گرنے پر صدا دیتی ہیں دیواریںmirī chīḳheñ fasīloñ se kabhī bāhar nahīñ jātīñshikasta ho ke girne par sadā detī haiñ dīvāreñ
- ہماری زیست میں ایسے بھی لمحے آتے ہیں اکثردراروں کے توسط سے ہوا دیتی ہیں دیواریںhamārī zīst meñ aise bhī lamhe āte haiñ aksardarāroñ ke tavassut se huā detī haiñ dīvāreñ