لبوں پر پیاس سب کے بے کراں ہے
zafar iqbal zafar (b. 1940)لبوں پر پیاس سب کے بے کراں ہے
ہر اک جانب مگر اندھا کنواں ہے
ہے کوئی عکس رنگیں آئنہ پر
جب ہی تو آئنہ میں کہکشاں ہے
جدائی کا نہ قصہ وصل کا ہے
ادھوری کس قدر یہ داستاں ہے
کسی سے کوئی بھی ملتا نہیں اب
ہر اک انساں یہاں تو بد گماں ہے
نہیں کچھ بولتے ہیں جبر سہہ کر
لگے ترشی ہوئی سب کی زباں ہے
وطن میں رہ کے بھی ہے بے وطن یہ
بہت مظلوم یہ اردو زباں ہے
کسی کا درد بانٹے غم میں روئے
ظفرؔ احساس لوگوں میں کہاں ہے
labon par pyas sab ke be karan hai
har ik janib magar andha kuan hai
hai koi aks rangin aina par
jab hi to aina mein kahkashan hai
judai ka na qissa wasl ka hai
adhuri kis qadar ye dastan hai
kisi se koi bhi milta nahin ab
har ik insan yahan to bad guman hai
nahin kuchh bolte hain jabr sah kar
lage tarshi hui sab ki zaban hai
watan mein rah ke bhi hai be watan ye
bahut mazlum ye urdu zaban hai
kisi ka dard bante gham mein roe
zafar ehsas logon mein kahan hai