سر بریدہ ہوا مقابل ہے
zafar iqbal zafar (b. 1940)سر بریدہ ہوا مقابل ہے
سب کی آنکھوں میں خوف شامل ہے
تھا محافظ کبھی یہی انساں
آج انسانیت کا قاتل ہے
بستیاں پھونکنا جلانا گھر
کیا یہی آدمی کا حامل ہے
وقت کب اس کا ساتھ دیتا ہے
روز فردا سے جو کہ غافل ہے
جس نے بخشا تھا زندگی کو فروغ
اب وہ دہشت گروں میں شامل ہے
sar burida hua muqabil hai
sab ki ankhon mein khauf shamil hai
tha muhafiz kabhi yahi insan
aj insaniyat ka qatil hai
bastiyan phunkna jalana ghar
kya yahi admi ka hamil hai
waqt kab us ka sath deta hai
roz-e-farda se jo ke ghafil hai
jis ne bakhsha tha zindagi ko farogh
ab wo dahshat garon mein shamil hai