پائی ہمیشہ ریت بھنور کاٹنے کے بعد
zafar iqbal zafar (b. 1940)پائی ہمیشہ ریت بھنور کاٹنے کے بعد
تشنہ لبی کا لمبا سفر کاٹنے کے بعد
کچھ ایسے کم نظر بھی مسافر ہمیں ملے
جو سایہ ڈھونڈتے ہیں شجر کاٹنے کے بعد
فن کی ہمارے آج بھی شہرت ہے ہر طرف
وہ مطمئن تھا دست ہنر کاٹنے کے بعد
اتری ہوئی ہے دھوپ بدن کے حصار میں
قربت کے فاصلوں کا سفر کاٹنے کے بعد
شیوہ تو ضبط کا ہے مگر کیا کروں ظفرؔ
بڑھتی ہے پیاس اور بھی سر کاٹنے کے بعد
pai hamesha ret bhanwar katne ke baad
tishna labi ka lamba safar katne ke baad
kuchh aise kam nazar bhi musafir hamen mile
jo saya dhundte hain shajar katne ke baad
fan ki hamare aj bhi shohrat hai har taraf
wo mutmain tha dast-e-hunar katne ke baad
utri hui hai dhup badan ke hisar mein
qurbat ke faslon ka safar katne ke baad
shewa to zabt ka hai magar kya karun zafar
barhti hai pyas aur bhi sar katne ke baad