وہ نہیں اس کی مگر جادوگری موجود ہے
zafar iqbal zafar (b. 1940)وہ نہیں اس کی مگر جادوگری موجود ہے
اک سحر آلود مجھ میں بے خودی موجود ہے
صف بہ صف دشمن ہی دشمن ہیں مرے چاروں طرف
حوصلہ دیکھو کہ پھر بھی زندگی موجود ہے
بجھ گئی ہے بستیوں کی آگ اک مدت ہوئی
ذہن میں لیکن ابھی تک شعلگی موجود ہے
باد صرصر چل رہی ہے اور اس کے باوجود
پھر بھی شمعوں میں ابھی تک روشنی موجود ہے
ہے عجب اعجاز یہ اس کی محبت کا ظفرؔ
جاگتی آنکھوں میں خواب زندگی موجود ہے
wo nahin us ki magar jadugari maujud hai
ik sahar alud mujh mein be khudi maujud hai
saf ba saf dushman hi dushman hain mire charon taraf
hausla dekho ke phir bhi zindagi maujud hai
bujh gai hai bastiyon ki ag ik muddat hui
zehn mein lekin abhi tak sholagi maujud hai
bad-e-sarsar chal rahi hai aur is ke bawajud
phir bhi shamon mein abhi tak raushni maujud hai
hai ajab ejaz ye us ki mohabbat ka zafar
jagti ankhon mein khwab-e-zindagi maujud hai