ایک اک پل ترا نایاب بھی ہو سکتا ہے
zafar iqbal zafar (b. 1940)ایک اک پل ترا نایاب بھی ہو سکتا ہے
حوصلہ ہو تو ظفر یاب بھی ہو سکتا ہے
بپھری موجوں سے الجھنے کا سلیقہ ہے اگر
یہ سمندر کبھی پایاب بھی ہو سکتا ہے
عمر تپتے ہوئے صحرا میں بسر کی جس نے
تو سرابوں سے وہ سیراب بھی ہو سکتا ہے
آپ دریا کی روانی سے نہ الجھیں ہرگز
تہہ میں اس کے کوئی گرداب بھی ہو سکتا ہے
لاکھ موتی ہی سہی وقت کی گردش میں کبھی
قیمتی کتنا ہو بے آب بھی ہو سکتا ہے
جس کو مجبور ہوا ہے تو کھرچنے پہ ظفرؔ
تیری آنکھوں کا حسیں خواب بھی ہو سکتا ہے
ek ik pal tira nayab bhi ho sakta hai
hausla ho to zafar yab bhi ho sakta hai
biphri maujon se ulajhne ka saliqa hai agar
ye samundar kabhi payab bhi ho sakta hai
umr tapte hue sahra mein basar ki jis ne
tu sarabon se wo sairab bhi ho sakta hai
ap dariya ki rawani se na uljhen hargiz
tah mein us ke koi girdab bhi ho sakta hai
lakh moti hi sahi waqt ki gardish mein kabhi
qimti kitna ho be ab bhi ho sakta hai
jis ko majbur hua hai to khurachne pe zafar
teri ankhon ka hasin khwab bhi ho sakta hai