Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Sahir Ludhianvi

ساحر لدھیانوی

1921–1980Born in LudhianaDied in Mumbai

Abdul Hayee took the pen name Sahir Ludhianvi. He settled in Lahore in 1943, where he published his first collection, Talkhiyan, and edited magazines including Adab-e-Latif as a member of the Progressive Writers' Association. In 1949 he left for India and made his career in Bombay as a film lyricist, with songs for Pyaasa and Kabhie Kabhie. He won two Filmfare awards and the Padma Shri in 1971.

Writes about

  • Social injustice
  • Love
  • Progressive ideals

Poems

  1. āp be vaj.h pareshān sī kyūñ haiñ mādāmlog kahte haiñ to phir ṭhīk hī kahte hoñge
  2. ā.o ke āj ġhaur kareñ is savāl pardekhe the ham ne jo vo hasīñ ḳhvāb kyā hue
  3. ā.o ke koī ḳhvāb baneñ kal ke vāstevarna ye rāt āj ke sangīn dūr kī
  4. apne andar zarā jhāñk mere vatanapne aiboñ ko mat ḍhānk mere vatan
  5. apne sīne se lagā.e hue ummīd kī lāshmuddatoñ zīst ko nāshād kyā hai maiñ ne
  6. apne māzī ke tasavvur se hirāsāñ hūñ maiñapne guzre hue ayyām se nafrat hai mujhe
  7. ikyyis baras guzre āzādī-e-kāmil kotab jā ke kahīñ ham ko ġhālib kā ḳhayāl āyā
  8. bahut ghuṭan hai koī sūrat-e-bayāñ nikleagar sadā na uṭhe kam se kam fuġhāñ nikle
  9. pahlū-e-shāh meñ ye duḳhtar-e-jamhūr kī qabrkitne gum gashta fasānoñ kā pata detī hai
  10. tāj tere liye ik maz.har-e-ulfat hī sahītujh ko is vādī-e-rangīñ se aqīdat hī sahī
  11. tirī taṛap se na taṛpā thā merā dil lekintire sukūn se be chain ho gayā hūñ maiñ
  12. tumheñ udās sā pātā hūñ maiñ ka.ī din sena jāne kaun se sadme uṭhā rahī ho tum
  13. tū hindū banegā na musalmān banegāinsān kī aulād hai insān banegā
  14. tere honṭoñ pe tabassum kī vo halkī sī lakīrmere taḳhīl meñ rah rah ke jhalak uṭhtī hai
  15. jism kī maut koī maut nahīñ hotī haijism miṭ jāne se insān nahīñ mar jāte
  16. chānd maddham hai āsmāñ chup hainīnd kī god meñ jahāñ chup hai
  17. chalo ik bār phir se ajnabī ban jā.eñ ham donoñna maiñ tum se koī ummīd rakhūñ dil navāzī kī
  18. chand kaliyāñ nishāt kī chun karmuddatoñ mahv-e-yās rahtā hūñ
  19. ḳhudā-e-bartar tirī zamīñ par zamīñ kī ḳhātir ye jang kyūñ haihar ek fat.h-o-zafar ke dāman pe ḳhūn insān kā rang kyūñ hai
  20. ḳhūn apnā ho yā parāyā honasl-e-ādam kā ḳhūn hai āḳhir
  21. dabe gī kab talak āvāz-e-ādam ham bhī dekheñgerukeñge kab talak jazbāt bar.ham ham bhī dekheñge
  22. dhartī kī sulagtī chhātī se be chain sharāre pūchhte haiñtum log jinheñ apnā na sake vo ḳhūn ke dhāre pūchhte haiñ
  23. rāt sunsān thī bojhal thīñ fazā kī sānseñrūh par chhā.e the be nām ġhamoñ ke sā.e
  24. zindagī se uns haihusn se lagā.o hai
  25. zulm phir zulm hai baṛhtā hai to miṭ jātā haiḳhūn phir ḳhūn hai ṭapkegā to jam jā.egā
  26. aurat ne janam diyā mardoñ ko mardoñ ne use bāzār diyājab jī chāhā maslā kuchlā jab jī chāhā dhutkār diyā
  27. ahd-e-gum gashta kī tasvīr dikhātī kyūñ hoek āvāra-e-manzil ko satātī kyūñ ho
  28. kabhī kabhī mire dil meñ ḳhayāl ātā haike zindagī tirī zulfoñ kī narm chhā.oñ meñ
  29. koī dil kī chāhat se majbūr haijo bhī hai vo zarūrat se majbūr hai
  30. gāndhī ho yā ġhālib hoḳhatm huā donoñ kā jashn
  31. log aurat ko faqat jism samajh lete haiñrūh bhī hotī hai is meñ ye kahāñ sochte haiñ
  32. māyūs to hūñ va.ade se tirekuchh ās nahīñ kuchh ās bhī hai
  33. mire sarkash tarāne sun ke duniyā ye samajhtī haike shāyad mere dil ko ishq ke naġhmoñ se nafrat hai
  34. merī nākām-e-mohabbat kī kahānī mat chheṛapnī māyūs umangoñ kā fasāna na sunā
  35. mere ḳhvāboñ ke jharokoñ ko sajāne vālītere ḳhvāboñ meñ kahīñ merā guzar hai ke nahīñ
  36. maiñ pal do pal kā shāyar hūñ pal do pal mirī kahānī haipal do pal merī hastī hai pal do pal mirī javānī hai
  37. maiñ ne jis vaqt tujhe pahle pahal dekhā thātū javānī kā koī ḳhvāb nazar ā.ī thī
  38. maiñ ne jo gīt tire pyār kī ḳhātir likheāj in gītoñ ko bāzār meñ le āyā hūñ
  39. maiñ ne chānd aur sitāroñ kī tamannā kī thīmujh ko rātoñ kī siyāhī ke sivā kuchh na milā
  40. vo sitāre jin kī ḳhātir ka.ī beqarār sadiyāñmirī tīra baḳht-e-duniyā meñ sitāra vār jāgeñ
  41. vo sub.h kabhī to ā.egīun kālī sadiyoñ ke sar se jab rāt kā ānchal ḍhalkegā
  42. ham amn chāhte haiñ magar zulm ke ḳhilāfgar jang lāzmī hai to phir jang hī sahī
  43. ye kūche ye nīlām ghar dil kashī keye luṭṭe hue kārvāñ zindagī ke
  44. ye mahloñ ye taḳhtoñ ye tājoñ kī duniyāye insāñ ke dushman samājoñ kī duniyā
  45. ye vatan terī mirī nasl kī jāgīr nahīñsainkṛoñ nasloñ kī mehnat ne sañvārā hai use