Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Riyaz Khairabadi

ریاض خیرآبادی

1853–1934Born in KhairabadDied in Khairabad

Syed Riyaz Ahmad, known as Riyaz Khairabadi, was a pupil of Aseer Lakhnavi and then of Ameer Minai. He started the newspaper Riyaz-ul-Akhbar in 1872 and later ran other papers from Lucknow, and worked for fifteen years in the police superintendent's office at Gorakhpur. He is known for khamriyat, verse built on wine and the tavern, though he is said never to have drunk. His divan is titled Riyaz-e-Rizwan.

Writes about

  • Wine
  • Tavern
  • Rapture

Poems

Meter
  1. dam-e-āḳhir kisī kā shikva-e-bedād karte haiñnahīñ haiñ hichkiyāñ rah rah ke ham fariyād karte haiñ
  2. duniyā se alag ham ne maiḳhāne kā dar dekhāmaiḳhāne kā dar dekhā allāh kā ghar dekhā
  3. rang par kal thā abhī lāla-e-gulshan kaisābe charāġh āj hai har ek nasheman kaisā
  4. rūṭhe hue ke apne zarā ab manā.e zulfpyārā hai dil to nāz bhī dil ke uṭhā.e zulf
  5. rah gayā par vo tire chāk garebānoñ kāhashr meñ koī bhī pursāñ nahīñ dīvānoñ kā
  6. rahe ham āshiyāñ meñ bhī to barq-e-āshiyāñ ho karlagā dī āg apne ghar meñ sargarm-e-fuġhāñ ho kar
  7. riyāz ik chulbulā sā dil ho ham hūñhasīnoñ kī bharī mahfil ho ham hūñ
  8. zamīn-e-mai kada-e-arsh-e-barīñ ma.alūm hotī haiye ḳhisht-e-ḳham farishte kī jabīñ ma.alūm hotī hai
  9. sāth sā.e kī tarah vahshat meñ uryānī huīmujh se dīvāne ke pīchhe ye bhī dīvānī huī
  10. sitam-e-nāravā ko rote haiñcharḳh terī jafā ko rote haiñ
  11. sham.a ke sāth ajab lutf hai parvāne koāg se khelte dekhā isī dīvāne ko
  12. sub.h-e-mahshar bhī gavārā nahīñ furqat merīmujh se rah rah ke lipaṭ jātī hai turbat meñ
  13. sub.h hai rāt kahāñ ab vo kahāñ rāt kī bātbāt hī bāt to hai baiṭh bhī lo bāt kī bāt
  14. zid hamārī duā se hotī haiham se kyā ab ḳhudā se hotī hai
  15. zarūr pā.oñ maiñ apne hinā vo mil ke chalena pahuñche āj bhī ghar tak mire vo kal ke chale
  16. ishq meñ dil lagī sī rahtī haiġham bhī ho to ḳhushī sī rahtī hai
  17. aks par yūñ ānkh ḍālī jā.egīsāmne kī choṭ ḳhālī jā.egī
  18. aish-o-ishrat sab sahī ye dam nahīñ to kuchh nahīñek duniyā ho to kyā jab ham nahīñ to kuchh nahīñ
  19. ġharīb ham haiñ ġharīboñ kī bhī ḳhushī ho jā.enazar huzūr idhar bhī kabhī kabhī ho jā.e
  20. ġhair se bad gumān ho jātemerī sunte to kān ho jāte
  21. fariyād junūñ aur hai bulbul kī fuġhāñ aursahrā kī zabāñ aur hai gulshan kī zabāñ aur
  22. qayāmat shoḳh āfat chulbulā dilmirā dil aur phir kaisā mirā dil
  23. kāfir butoñ ke nām hūñ kyūñ kar tamām hifzitne ḳhudā ke ho na sakeñ jin ke nām hifz
  24. kisī se vasl meñ sunte hī jān sūkh ga.īchalo haṭo bhī hamārī zabān sūkh ga.ī
  25. kal qayāmat hai qayāmat ke sivā kyā hogāai maiñ qurbān-e-vafā va.ada-e-fardā hogā
  26. kaun dil hai mire allāh jo nāshād nahīñkaun ghar hai mire allāh jo barbād nahīñ
  27. koī pūchhe na ham se kyā huā dilhuā kyā luṭ gayā dil miṭ gayā dil
  28. koī muñh chūm legā is nahīñ parshikan rah jā.egī yūñ hī jabīñ par
  29. kū-e-dushman se use chhup ke nikalte dekhāham ne naqsh-e-qadam yār ko chalte dekhā
  30. kahne bhī kuchh na pā.e the āh-e-rasā se hamsunnā paṛā ke āj laṛeñge havā se ham
  31. khaṭakte haiñ nigāh-e-bāġhbāñ meñjo haiñ do chār tinke āshiyāñ meñ
  32. kyā huī merī javānī josh par ā.ī huīhā.e vo nāzuk gulābī merī chhilkā.ī huī
  33. gul muraqqa.a haiñ tire chāk garebānoñ keshakl ma.ashūq kī andāz haiñ dīvānoñ ke
  34. guloñ ke parde meñ shakleñ haiñ mah jabīnoñ kīye ḍāliyāñ haiñ ke haiñ ḍoliyāñ hasīnoñ kī
  35. gumbad-e-madfan hai yā hai āsmāñ bālā-e-sarye makīñ rakhte haiñ sab apne makāñ bālā-e-sar
  36. le uṛe gesū pareshānī mirīā.īne le bhāge hairānī mirī
  37. le gayā ghar se unheñ ġhair ke ghar kā ta.avīzham ne dekhā na sunā aise asar kā ta.avīz
  38. mujh ko dekhā to hañs ke kahte haiñashk ab be sabab bhī bahte haiñ
  39. mujh ko lenā hai tire rang-e-hinā kā bosadast-e-rangīñ kā mile yā kaf-e-pā kā bosa
  40. mujh ko na dil pasand na dil kī ye ḳhū pasandpahlū se mere jā.e dil-e-ārzū pasand
  41. mar kar are vā.iz koī zinda nahīñ hotāvo hashr maze kā hai jo barpā nahīñ hotā
  42. mushkil us kūche se uṭhnā ho gayāhashr bhī naqsh-e-kaf-e-pā ho gayā
  43. matlab kī bāt shakl se pahchān jā.iyemaiñ kyūñ kahūñ zabān se ḳhud jān jā.iye
  44. makān dekhe makīñ dekhe lā makāñ dekhākahāñ kahāñ tujhe ḍhūñḍā kahāñ kahāñ dekhā
  45. makān milte haiñ kyā lā makāñ nahīñ miltānishān lākh haiñ lekin nishāñ nahīñ miltā
  46. milā bhī ye to use phir ḳhudā nahīñ miltānahīñ nahīñ dil-e-be mudda.ā nahīñ miltā
  47. muñh dikhā kar muñh chhupānā kuchh nahīñkuchh nahīñ ye muñh dikhānā kuchh nahīñ
  48. muñh zer-e-tāk kholā vā.iz bahut hī chokābīloñ ne dāṛhī pakṛī ḳhushoñ ne muñh meñ thūkā
  49. mere pahlū meñ hamesha rahī sūrat achchhīmaiñ bhī achchhā mirī qismat bhī nihāyat achchhī
  50. mere lab par kabhī to ban ke duā bhī ā.ītujhe ai āh mirī bāt banā bhī ā.ī