مجھ کو دیکھا تو ہنس کے کہتے ہیں
Riyaz Khairabadi (1853–1934)مجھ کو دیکھا تو ہنس کے کہتے ہیں
اشک اب بے سبب بھی بہتے ہیں
ان کے کوچے میں خوش وہ رہتے ہیں
ہر طرح کے جو رنج سہتے ہیں
جن کے دل میں ہے درد دنیا کا
وہی دنیا میں زندہ رہتے ہیں
مے کدہ کیوں ہے قبلۂ حاجات
وہ مجھے بےوقوف کہتے ہیں
جو مٹاتے ہیں خود کو جیتے جی
وہی مر کر بھی زندہ رہتے ہیں
دیجئے کیوں ریاضؔ کو تکلیف
شعر سنتے ہیں وہ نہ کہتے ہیں
mujh ko dekha to hans ke kahte hain
ashk ab be sabab bhi bahte hain
un ke kuche mein khush wo rahte hain
har tarah ke jo ranj sahte hain
jin ke dil mein hai dard duniya ka
wahi duniya mein zinda rahte hain
mai kada kyun hai qibla-e-hajat
wo mujhe bewuquf kahte hain
jo mitate hain khud ko jite ji
wahi mar kar bhi zinda rahte hain
dijiye kyun riyaz ko taklif
sher sunte hain wo na kahte hain