کھٹکتے ہیں نگاہ باغباں میں
Riyaz Khairabadi (1853–1934)کھٹکتے ہیں نگاہ باغباں میں
جو ہیں دو چار تنکے آشیاں میں
ہر اک سختی میں عالم نزع کا تھا
ہماری عمر گزری امتحاں میں
چھڑا لے سجدہ کرنے میں نہ کوئی
لگے ہیں لال سنگ آستاں میں
شرارے ہیں مرے نالوں کے قائم
کہ تارے جڑ دیے ہیں آسماں میں
قریب اب فصل گل شاید ہے صیاد
مزا آنے لگا میری فغاں میں
ترس آتا نہیں مجھ پر کسی کو
میں فریاد جرس ہوں کارواں میں
اثر مے کا ہے یا توبہ کا ناصح
کہ تلخی سی ہے کچھ اب تک زباں میں
تڑپنے والوں میں بھی تفرقہ ہے
قفس میں ہم ہیں بجلی آشیاں میں
کسی سے چھوٹ کر عالم ہے کچھ اور
پڑا ہے تفرقہ سا جسم و جاں میں
ریاضؔ استاد نے رتبہ یہ بخشا
ہماری دھوم ہے ہندوستاں میں
khatakte hain nigah-e-baghban mein
jo hain do char tinke ashiyan mein
har ik sakhti mein alam-e-nazaa ka tha
hamari umr guzri imtihan mein
chhura le sajda karne mein na koi
lage hain lal sang-e-astan mein
sharare hain mire nalon ke qaim
ke tare jur diye hain asman mein
qarib ab fasl-e-gul shayad hai sayyad
maza ane laga meri fughan mein
taras ata nahin mujh par kisi ko
main fariyad-e-jaras hun karwan mein
asar mai ka hai ya tauba ka naseh
ke talkhi si hai kuchh ab tak zaban mein
tarapne walon mein bhi tafriqa hai
qafas mein ham hain bijli ashiyan mein
kisi se chhut kar alam hai kuchh aur
para hai tafriqa sa jism-o-jan mein
riyaz-e-ustad ne rutba ye bakhsha
hamari dhum hai hindostan mein