Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Qamar Jameel

قمر جمیل

1927–2000

Poems

  1. āj sitāre āngan meñ haiñ un ko ruḳhsat mat karnāshām se maiñ bhī uljhan meñ hūñ tum bhī ġhaflat mat karnā
  2. āsmāñ par ik sitāra shām se betāb haimerī ānkhoñ meñ tumhārā ġham nahīñ hai ḳhvāb hai
  3. apne sab chehre chhupā rakhe haiñ ā.īne meñmaiñ ne kuchh phūl khulā rakhe haiñ ā.īne meñ
  4. ek patthar ke dast-e-yār meñ haiphūl banne ke intizār meñ hai
  5. ek ajab shahzāda mere bāġhoñ kādekho āyā mausam surḳh charāġhoñ kā
  6. jāne do in naġhmoñ ko āhang shikast-e-sāz na samjhodard bharī āvāz to sun lo dard bharī āvāz na samjho
  7. ḳhvāb meñ jo kuchh dekh rahā hūñ us kā dikhānā mushkil haiā.īne meñ phūl khulā hai hāth lagānā mushkil hai
  8. dast-e-junūñ meñ dāman gul ko lāne kī tadbīr kareñnarm havā ke jhonko ā.o mausam ko zanjīr kareñ
  9. sāya nahīñ hai dūr tak sā.e meñ ā.eñ kis tarahham ā ga.e haiñ kis taraf tum ko batā.eñ kis tarah
  10. shām ajīb shām thī jis meñ koī ufuq na thāphūl bhī kaise phūl the jin ko suḳhan kā haq na thā
  11. kis safar meñ haiñ ke ab tak rāste nādīda haiñāsmāñ pe shameñ raushan haiñ magar ḳhvābīda haiñ
  12. maiñ jinheñ fareb samjhūñ tirī yād mehrbāñ kevo charāġh bujh ga.e haiñ mirī umr-e-jāvedāñ ke
  13. vo bāteñ ishq kahtā thā ke sārā ghar mahaktā thāmirā mahbūb jaise gul thā aur bulbul chahaktā thā
  14. ham ke majnūñ ko duā kahte haiñrū-e-lailā ko sabā kahte haiñ
  15. avvalhalqa-e-yārāñ meñ kanāñ rāt ke pichhle pahar
  16. ai rone vāle bādalchup ho jā
  17. bhūlī bisrī yādeñ ab bhī kānoñ meñ ras gholtī haiñmujh se kaisī kaisī bāteñ tanhā.ī meñ boltī haiñ
  18. jab maiñ bachcha thārāvī ke gāloñ se ḍartā thā
  19. ḳhvāboñ kī afsurda havā meñ rahne vāle surḳh gulābjangal kī tārīk fazā meñ le ke nikal āte haiñ charāġh
  20. sūraj se āge ik jangal haimaiñ is jangal kā diyā hūñ
  21. shahr kī galiyāñ ghūm rahī haiñ mere qadam ke sāthaise safar meñ itnī thakan meñ kaise kaṭegī rāt
  22. shahr kī galiyoñ ke raushan zāviyerāt kī tanhā.iyoñ ke ham safar
  23. merī ānkheñ merī jānterā ibādat ḳhāna
  24. merī mohabbat chāhtī hai menāre ghar ke shavvāloñ kekuchh bāteñ make vāloñ kī kuchh qisse banāras vāloñ ke
  25. maiñ apne ghar meñ diye kī tarahjalnā chāhtā thā
  26. maiñ ek būṛhe bargad kā daraḳht hūñjis kī shāḳheñ kaṭ chukī haiñ aur patte
  27. ye adā.eñ raqs ke hangām kitnī raqs ḳhezvo javānān-e-qabīla hosh se bāhar chale
  28. ye samāñ aur rāt kī jādūgarīchānd kā le kar chalī hāthoñ meñ tāj
  29. ādam kī pahlī āvāzin pattharoñ meñ ab bhī
  30. eshiyā kī is vīrān pahāṛī parmaut ek ḳhāna badosh laṛkī kī tarah
  31. ban mānas ke kāle badan parhīre chamakte haiñ
  32. tum mujhe qatl na karomaiñ ḳhud ka.ī ṭukṛoñ meñ baṭ jā.ūñgā
  33. maiñ husn-e-mutlaq kī kursī parbaiṭh kar