ایشیا کی اس ویران پہاڑی پر
Qamar Jameel (1927–2000)ایشیا کی اس ویران پہاڑی پر
موت ایک خانہ بدوش لڑکی کی طرح
گھوم رہی ہے
میری روشنی
اور انار کے درختوں میں
قزاقوں کے چاقو چمکتے ہیں
اور سر پر وہ چاند ہے جو اس
پہاڑی کا پہلا پیغمبر ہے
اس پہاڑی پر فاطمہ رہتی ہے
اس کے کپڑوں میں وہ کبوتر ہیں
جو کبھی اڑ نہیں سکتے
خدا نے ہمیں ایک غار میں
بند کر دیا ہے اور ہمارے سروں پر
سیاہ رات جیسا پتھر رکھ دیا ہے
eshiya ki is wiran pahari par
maut ek khana badosh larki ki tarah
ghum rahi hai
meri raushni
aur anar ke darakhton mein
qazzaqon ke chaqu chamakte hain
aur sar par wo chand hai jo us
pahari ka pahla paighambar hai
is pahari par fatima rahti hai
us ke kapron mein wo kabutar hain
jo kabhi ur nahin sakte
khuda ne hamen ek ghar mein
band kar diya hai aur hamare saron par
siyah rat jaisa patthar rakh diya hai