میں ایک بوڑھے برگد کا درخت ہوں
Qamar Jameel (1927–2000)میں ایک بوڑھے برگد کا درخت ہوں
جس کی شاخیں کٹ چکی ہیں اور پتے
بکھر چکے ہیں میرے سینے میں ایک خلا ہے
جس میں ایک دن ایک بوڑھے بندر نے
پناہ لی تھی
نہیں اے بوڑھے برگد
تم اس گنبد والی عمارت سے
بہتر ہو جس میں ایک ظالم بادشاہ کی قبر ہے
نہیں تم نہیں جانتے اس گنبد کے پیچھے
جھونپڑیوں میں کچھ دیئے جل رہے تھے
جن ہواؤں نے یہ دیئے بجھائے ہیں
میں ان ہواؤں سے اب بھی
لڑ رہا ہوں
main ek burhe bargad ka darakht hun
jis ki shakhen kat chuki hain aur patte
bikhar chuke hain mere sine mein ek khala hai
jis mein ek din ek burhe bandar ne
panah li thi
nahin ai burhe bargad
tum is gumbad wali imarat se
behtar ho jis mein ek zalim badshah ki qabr hai
nahin tum nahin jante is gumbad ke pichhe
jhonpariyon mein kuchh diye jal rahe the
jin hawaon ne ye diye bujhae hain
main un hawaon se ab bhi
lar raha hun