Poet
نظام رامپوری
Poems
- اس سے پھر کیا گلا کرے کوئیجو کہے سن کے کیا کرے کوئیus se phir kyā gilā kare koījo kahe sun ke kyā kare koī
- اس قدر آپ کا عتاب رہےدل کو میرے نہ اضطراب رہےis qadar āp kā itāb rahedil ko mere na iztirāb rahe
- اور اب کیا کہیں کہ کیا ہیں ہمآپ ہی اپنے مدعا ہیں ہمaur ab kyā kaheñ ke kyā haiñ hamāp hī apne mudda.ā haiñ ham
- ترے آگے عدو کو نامہ بر مارا تو کیا مارانہ مارا جاں سے جس دم اس کو گر مارا تو کیا ماراtire āge adū ko nāma bar mārā to kyā mārāna mārā jāñ se jis dam us ko gar mārā to kyā mārā
- تصور آپ کا ہے اور میں ہوںیہی اب مشغلا ہے اور میں ہوںtasavvur āp kā hai aur maiñ hūñyahī ab mashġhalā hai aur maiñ hūñ
- تم سے کچھ کہنے کو تھا بھول گیاہاے کیا بات تھی کیا بھول گیاtum se kuchh kahne ko thā bhūl gayāhāe kyā bāt thī kyā bhūl gayā
- تمہیں ہاں کسی سے محبت کہاں ہےذرا دیکھیے تو وہ صورت کہاں ہےtumheñ hāñ kisī se mohabbat kahāñ haizarā dekhiye to vo sūrat kahāñ hai
- جب تو میں ہوں آہ میں ایسا اثر پیدا کروںاے ستم گر تیرے دل میں اپنا گھر پیدا کروںjab to maiñ hūñ āh meñ aisā asar paidā karūñai sitam gar tere dil meñ apnā ghar paidā karūñ
- جو چپ رہوں تو بتائیں وہ گھنگنیاں منہ میںجو کچھ کہوں تو کہیں قینچی ہے زباں منہ میںjo chup rahūñ to batā.eñ vo ghinginiyāñ muñh meñjo kuchh kahūñ to kahīñ qainchī hai zabāñ muñh meñ
- جو سرگزشت اپنی ہم کہیں گے کوئی سنے گا تو کیا کریں گےجو یاد آئیں گی تیری باتیں تو چپ ہی پہروں رہا کریں گےjo sarguzasht apnī ham kaheñge koī sunegā to kyā kareñgejo yād ā.eñgī terī bāteñ to chup hī pahroñ rahā kareñge
- چھیڑ منظور ہے کیا عاشق دلگیر کے ساتھخط بھی آیا کبھی تو غیر کی تحریر کے ساتھchheṛ manzūr hai kyā āshiq-e-dilgīr ke sāthḳhat bhī āyā kabhī to ġhair kī tahrīr ke sāth
- حال دل تم سے مری جاں نہ کہا کون سے دنمیرے کہنے کو بھلا تم نے سنا کون سے دنhāl-e-dil tum se mirī jāñ na kahā kaun se dinmere kahne ko bhalā tum ne sunā kaun se din
- خبر نہیں کئی دن سے وہ دق ہے یا خوش ہےخوشی تبھی ہو کہ جب سن لوں دل ربا خوش ہےḳhabar nahīñ ka.ī din se vo diq hai yā ḳhush haiḳhushī tabhī ho ke jab sun lūñ dil rubā ḳhush hai
- دل پہ جو گزرے ہے میرے آہ میں کس سے کہوںکیا کروں میں اے مرے اللہ میں کس سے کہوںdil pe jo guzre hai mere āh meñ kis se kahūñkyā karūñ maiñ ai mire allāh meñ kis se kahūñ
- دل لگے ہجر میں کیوں کر میرادل ترا سا نہیں پتھر میراdil lage hijr meñ kyūñ kar merādil tirā sā nahīñ patthar merā
- دیکھ اپنے قرار کرنے کواور مرے انتظار کرنے کوdekh apne qarār karne koaur mire intizār karne ko
- دیکھیے تو خیال خام مراآپ سے اور برائی کام مراdekhiye to ḳhayāl-e-ḳhām mirāāp se aur burā.ī kām mirā
- صاف باتوں میں تو کدورت ہےاور لگاوٹ سے ظاہر الفت ہےsāf bātoñ meñ to kudūrat haiaur lagāvaṭ se zāhir ulfat hai
- صدمے یوں غیر پر نہیں آتےتمہیں جور اس قدر نہیں آتےsadme yūñ ġhair par nahīñ ātetumheñ jaur is qadar nahīñ āte
- ضائع نہیں ہوتی کبھی تدبیر کسی کیمیری سی خدایا نہ ہو تقدیر کسی کیzā.e nahīñ hotī kabhī tadbīr kisī kīmerī sī ḳhudāyā na ho taqdīr kisī kī
- فکر یہی ہے ہر گھڑی غم یہی صبح و شام ہےگر نہ ملا وہ کچھ دنوں کام یہاں تمام ہےfikr yahī hai har ghaṛī ġham yahī sub.h-o-shām haigar na milā vo kuchh dinoñ kām yahāñ tamām hai
- کہنے سے نہ منع کر کہوں گاتو میری نہ سن مگر کہوں گاkahne se na man.a kar kahūñgātū merī na sun magar kahūñgā
- کہیے گر ربط مدعی سے ہےکہتے ہیں دوستی تجھی سے ہےkahiye gar rabt mudda.ī se haikahte haiñ dostī tujhī se hai
- کیوں کرتے ہو اعتبار میرامعلوم ہے تم کو پیار میراkyūñ karte ho etibār merāma.alūm hai tum ko pyār merā
- کیوں ناصحا ادھر کو نہ منہ کر کے سوئیےدل تو کہے ہے ساتھ ہی دل بر کے سوئیےkyūñ nās.hā idhar ko na muñh kar ke soiyedil to kahe hai sāth hī dil bar ke soiye
- مجھ سے کیوں کہتے ہو مضموں غیر کی تحریر کاجانتا ہوں مدعا میں آپ کی تقریر کاmujh se kyūñ kahte ho mazmūñ ġhair kī tahrīr kājāntā hūñ mudda.ā meñ āp kī taqrīr kā
- محفل میں آتے جاتے ہیں انساں نئے نئےاب تو چلن لیے ہیں مری جاں نئے نئےmahfil meñ āte jāte haiñ insāñ na.e na.eab to chalan liye haiñ mirī jāñ na.e na.e
- مزا کیا جو یوں ہی سحر ہو گئینہیں بھی پہر دو پہر ہو گئیmazā kyā jo yūñ hī sahar ho ga.īnahīñ bhī pahar do pahar ho ga.ī
- نہیں سوجھتا کوئی چارا مجھےتمہاری جدائی نے مارا مجھےnahīñ sūjhtā koī chārā mujhetumhārī judā.ī ne mārā mujhe
- وہ ایسے بگڑے ہوئے ہیں کئی مہینے سےکہ جاں پہ بن گئی تنگ آ گیا میں جینے سےvo aise bigṛe hue haiñ ka.ī mahīne seke jāñ pe ban ga.ī tang ā gayā maiñ jīne se
- وہی لوگ پھر آنے جانے لگےمرے پاس کیوں آپ آنے لگےvahī log phir āne jāne lagemire pās kyūñ āp āne lage
- ہلتی ہے زلف جنبش گردن کے ساتھ ساتھناگن بھی ہے لگی ہوئی رہزن کے ساتھ ساتھhiltī hai zulf jumbish-e-gardan ke sāth sāthnāgin bhī hai lagī huī rahzan ke sāth sāth
- ہم کو شب وصال بھی رنج و محن ہواقسمت خلاف طبع ہوا جو سخن ہواham ko shab-e-visāl bhī ranj-o-mehan huāqismat ḳhilāf-e-tab.a huā jo suḳhan huā
- ہو کے بس انسان حیراں سر پکڑ کر بیٹھ جائےکیا بن آئے اس گھڑی جب وہ بگڑ کر بیٹھ جائےho ke bas insān hairāñ sar pakaṛ kar baiṭh jā.ekyā ban ā.e us ghaṛī jab vo bigaṛ kar baiṭh jā.e
- یاں کسے غم ہے جو گریہ نے اثر چھوڑ دیاہم نے تو شغل ہی اے دیدۂ تر چھوڑ دیاyāñ kise ġham hai jo girya ne asar chhoṛ diyāham ne to shaġhl hī ai dīda-e-tar chhoṛ diyā
- یہ عجب تم نے نکالا سونارات کا جاگنا دن کا سوناye ajab tum ne nikālā sonārāt kā jāgnā din kā sonā