تصور آپ کا ہے اور میں ہوں
نظام رامپوریتصور آپ کا ہے اور میں ہوں
یہی اب مشغلا ہے اور میں ہوں
مری ضد سے ملا پھر دشمنوں سے
بس اب وہ بے وفا ہے اور میں ہوں
وہ ہو اور میں ہوں اور کوئی نہ ہو غیر
یہی ہر دم دعا ہے اور میں ہوں
تصور میں ہیں پہروں ان سے باتیں
شکایت کا مزا ہے اور میں ہوں
تمہاری خو ہے رنجش ہر گھڑی کی
یہ جھگڑا روز کا ہے اور میں ہوں
الٰہی وصل ہے یا خواب ہے یہ
حصول مدعا ہے اور میں ہوں
ہزاروں غم تو دیکھے اس سے مل کر
وہی پھر حوصلا ہے اور میں ہوں
سہے کیا کیا ستم اور اب تلک بھی
تمنا ہے وفا ہے اور میں ہوں
گئے وہ تو جہاں جانا تھا ان کو
اب ان کا نقش پا ہے اور میں ہوں
ہر اک سے حال دل کہتا ہوں اپنا
یہ چرچا جا بہ جا ہے اور میں ہوں
دو عالم کی خوشی سے کچھ نہیں کام
فقط اک غم ترا ہے اور میں ہوں
وہ ہے اور عہد نامے ہیں عدو سے
نصیبوں کا لکھا ہے اور میں ہوں
غم دوری قیامت ہے کہ ہر دم
اجل کا سامنا ہے اور میں ہوں
خدا کی جنتیں ہیں اور ہے خلق
صنم کوچہ ترا ہے اور میں ہوں
سحر ہوتے ہی جاتے ہی کسی کے
وہی آہ و بکا ہے اور میں ہوں
نظامؔ اس بت کے غم میں ہو تسلی
بس اک ذات خدا ہے اور میں ہوں
tasawwur ap ka hai aur main hun
yahi ab mashghala hai aur main hun
miri zid se mila phir dushmanon se
bas ab wo be wafa hai aur main hun
wo ho aur main hun aur koi na ho ghair
yahi har dam dua hai aur main hun
tasawwur mein hain pahron un se baten
shikayat ka maza hai aur main hun
tumhari khu hai ranjish har ghari ki
ye jhagra roz ka hai aur main hun
ilahi wasl hai ya khwab hai ye
husul-e-muddaa hai aur main hun
hazaron gham to dekhe us se mil kar
wahi phir hausala hai aur main hun
sahe kya kya sitam aur ab talak bhi
tamanna hai wafa hai aur main hun
gae wo to jahan jana tha un ko
ab un ka naqsh-e-pa hai aur main hun
har ik se hal-e-dil kahta hun apna
ye charcha ja ba ja hai aur main hun
do alam ki khushi se kuchh nahin kam
faqat ik gham tira hai aur main hun
wo hai aur ahd name hain adu se
nasibon ka likha hai aur main hun
gham-e-duri qayamat hai ke har dam
ajal ka samna hai aur main hun
khuda ki jannaten hain aur hai khalq
sanam kucha tira hai aur main hun
sahar hote hi jate hi kisi ke
wahi ah-o-buka hai aur main hun
nizam us but ke gham mein ho tasalli
bas ik zat-e-khuda hai aur main hun