Poet
مرزا آسمان جاہ انجم
Poems
- آج مہندی لگائے بیٹھے ہیںخوب وہ رنگ لائے بیٹھے ہیںāj mehndī lagā.e baiṭhe haiñḳhūb vo rang lā.e baiṭhe haiñ
- اس نے آنے کا جو وعدہ کیا جاتے جاتےدم مرا سینے میں رکنے لگا آتے جاتےus ne āne kā jo va.ada kiyā jāte jātedam mirā sīne meñ rukne lagā āte jāte
- الٰہی کوئی ہوا کا جھونکا دکھا دے چہرہ اڑا کے آنچلکہ جھانکتا بھی ہے وہ ستمگر تو کھڑکھڑی میں لگا کے آنچلilāhī koī havā kā jhonkā dikhā de chehra uṛā ke ānchalke jhāñktā bhī hai vo sitamgar to khaṛkhaṛī meñ lagā ke ānchal
- امید مہر پر اک حسرت دل ہم بھی رکھتے تھےتمنا وصل کی اے ماہ کامل ہم بھی رکھتے تھےummīd-e-mehr par ik hasrat-e-dil ham bhī rakhte thetamannā vasl kī ai māh-e-kāmil ham bhī rakhte the
- انجمؔ اگر نہیں در دل دار تک پہنچہو جائے کاش روزن دیوار تک پہنچanjum agar nahīñ dar-e-dil dār tak pahuñchho jā.e kāsh rauzan-e-dīvār tak pahuñch
- انجمؔ تمہیں الفت ابھی کرنا نہیں آتاہر ایک پہ مرتے ہو پہ مرنا نہیں آتاanjum tumheñ ulfat abhī karnā nahīñ ātāhar ek pe marte ho pe marnā nahīñ ātā
- باعث ترک ملاقات بتاؤ تو سہیچاہنے والا کوئی ہم سا دکھاؤ تو سہیbā.is-e-tark-e-mulāqāt batā.o to sahīchāhne vālā koī ham sā dikhā.o to sahī
- بتا تو دل کے بچانے کی کوئی راہ بھی ہےتری نگاہ کی ناوک فگن پناہ بھی ہےbatā to dil ke bachāne kī koī rāh bhī haitirī nigāh kī nāvak fagan panāh bhī hai
- بطرز دلبری بیداد کیجےجفاؤں میں ادا ایجاد کیجےbatraz dilbarī bedād kījejafā.oñ meñ adā ījād kīje
- پھول جتنے ہیں تمہارے ہار میںسب گندھے ہیں آنسوؤں کے تار میںphūl jitne haiñ tumhāre hār meñsab gindhe haiñ ānsūoñ ke tār meñ
- پئے گناہ ہے تیری پناہ کی تخصیصکہ ہے تجھی پہ ہر اک داد خواہ کی تخصیصpiye gunāh hai terī panāh kī taḳhsīske hai tujhī pe har ik dād ḳhvāh kī taḳhsīs
- جوش پر اپنی مستیاں آئیںیاد کس کی یہ شوخیاں آئیںjosh par apnī mastiyāñ ā.eñyād kis kī ye shoḳhiyāñ ā.eñ
- چل بسے جو کہ تھے جانے والےاب نہیں پھر کے وہ آنے والےchal base jo ke the jāne vāleab nahīñ phir ke vo āne vāle
- چلے آؤ اگر دم بھر کو تم تو یہ جاتا رہے فی الفور مرضکہ نہیں ہے بجز بیماریٔ غم مری جان مجھے کوئی اور مرضchale ā.o agar dam bhar ko tum to ye jātā rahe fī alfaur marazke nahīñ hai bajuz bīmārī-e-ġham mirī jān mujhe koī aur maraz
- خدا خدا کر کے آئے بھی وہ تو منہ لپیٹے پڑے ہوئے ہیںنہ کہتے ہیں کچھ نہ سنتے ہیں کچھ کسی سے جیسے لڑے ہوئے ہیںḳhudā ḳhudā kar ke ā.e bhī vo to muñh lapeṭe paṛe hue haiñna kahte haiñ kuchh na sunte haiñ kuchh kisī se jaise laṛe hue haiñ
- دکھاتا ہے مرا دل بے الف رےہوا ہوں رنج سے میں زے الف رےdikhātā hai mirā dil be alif rehuā hūñ ranj se maiñ ze alif re
- دل لے کے برائی کرتے ہیں لو اور سنو لو اور سنوپھر ذکر جدائی کرتے ہیں لو اور سنو لو اور سنوdil le ke burā.ī karte haiñ lo aur suno lo aur sunophir zikr-e-judā.ī karte haiñ lo aur suno lo aur suno
- دل لے کے ہمارا پھرتا ہے یہ کون وطیرہ تیرا ہےکرتا ہے چھچھوری باتیں کیوں ہر بات میں تیرا میرا ہےdil le ke hamārā phirtā hai ye kaun vatera terā haikartā hai chhichhorī bāteñ kyūñ har bāt meñ terā merā hai
- دم رخصت جو ان سے کہہ کے میں اٹھا خدا حافظلگے جھنجھلا کے وہ کہنے بہت اچھا خدا حافظdam-e-ruḳhsat jo un se kah ke maiñ uṭhā ḳhudā hāfizlage jhanjhlā ke vo kahne bahut achchhā ḳhudā hāfiz
- رنگ بدلا ہے کئی دن سے مزاج یار کاجوڑ شاید چل گیا پھر آج کل اغیار کاrang badlā hai ka.ī din se mizāj-e-yār kājoṛ shāyad chal gayā phir āj kal aġhyār kā
- سارے عالم میں نور ہے تیراہر جگہ پر ظہور ہے تیراsāre ālam meñ nūr hai terāhar jagah par zuhūr hai terā
- سوال کیا کروں تجھ سے گناہ گار ہوں میںنگاہ چار ہو کیوں کر کہ شرمسار ہوں میںsavāl kyā karūñ tujh se gunāh gār hūñ maiñnigāh chār ho kyūñ kar ke sharmsār hūñ maiñ
- شبیہ خنجر قاتل بنا کررکھی سینے میں ہم نے دل بنا کرshabīh-e-ḳhanjar-e-qātil banā karrakhī sīne meñ ham ne dil banā kar
- صاف ہم تم سے آج کتنے ہیںسب تمہیں بد مزاج کہتے ہیںsāf ham tum se āj kitne haiñsab tumheñ bad mizāj kahte haiñ
- عرش و کرسی کی خبر لائے ہیں لانے والےایک موسیٰ ہی نہ تھے طور کے جانے والےarsh-o-kursī kī ḳhabar lā.e haiñ lāne vāleek mūsā hī na the tūr ke jāne vāle
- کبھی انجمؔ اسے ہشیار تو کرکوئی نالہ پس دیوار تو کرkabhī anjum use hushyār to karkoī nāla pas-e-dīvār to kar
- کبھی لکھتا ہوں میں ان کو اگر خطچلا جاتا ہے قاصد بھول کر خطkabhī likhtā hūñ maiñ un ko agar ḳhatchalā jātā hai qāsid bhūl kar ḳhat
- کیوں خود بخود پھری نگہ یار کیا سببکیوں سرنگوں ہے ابروئے خمدار کیا سببkyūñ ḳhud baḳhud phirī nigah-e-yār kyā sababkyūñ sarnigūñ hai abrū-e-ḳhamdār kyā sabab
- گر انہیں ہے اپنی صورت پر گھمنڈہم کو ہے اپنی محبت پر گھمنڈgar unheñ hai apnī sūrat par ghamanḍham ko hai apnī mohabbat par ghamanḍ
- گر جفا کی نہ ہو وفا مانعکوئی ظالم نہیں ترا مانعgar jafā kī na ho vafā mānekoī zālim nahīñ tirā māne
- لطف ہو گر تو ہو اور مے خانہ ہومیں ہوں اور میرا دل دیوانہ ہوlutf ho gar to ho aur mai ḳhāna homaiñ hūñ aur merā dil-e-dīvāna ho
- لگی ہے مسی پان کھائے ہوئے ہیںسنانے پہ بیڑا اٹھائے ہوئے ہیںlagī hai missī pān khā.e hue haiñsunāne pe beṛā uṭhā.e hue haiñ
- مری جاں جدائی نہ ہوگی تو ہوگیکسی دن لڑائی نہ ہوگی تو ہوگیmirī jāñ judā.ī na hogī to hogīkisī din laṛā.ī na hogī to hogī
- میرے جانب سے اسے جا جا کے سمجھاتے ہیں لوگوہ نہیں سننے کا ضد بیکار دلواتے ہیں لوگmere jānib se use jā jā ke samjhāte haiñ logvo nahīñ sunne kā zid bekār dalvāte haiñ log
- نگہ کیا اور مژہ کیا اے صنم اس کو بھی اس کو بھیسمجھتے ہیں قضا کا تیر ہم اس کو بھی اس کو بھیnigah kyā aur mizha kyā ai sanam us ko bhī us ko bhīsamajhte haiñ qazā kā tīr ham us ko bhī us ko bhī
- نہ تھا دل ہمارا کبھی غم سے واقفمگر اب ہوا آپ کے دم سے واقفna thā dil hamārā kabhī ġham se vāqifmagar ab huā āp ke dam se vāqif
- نہ ہوئی صاف طبیعت ہی تو ہےرہ گئی دل میں کدورت ہی تو ہےna huī sāf tabī.at hī to hairah ga.ī dil meñ kudūrat hī to hai
- وہ چال اٹکھیلیوں سے چل کر دل و جگر روندے ڈالتے ہیںابھی جوانی کا ہے جو عالم نہ دیکھتے ہیں نہ بھالتے ہیںvo chāl aṭkheliyoñ se chal kar dil-o-jigar ronide ḍālte haiñabhī javānī kā hai jo ālam na dekhte haiñ na bhālte haiñ
- ہٹا دو چہرے سے گر دوپٹہ تم اپنے اے لالہ فام آدھاتو ہو یہ ثابت کہ نکلا ابر سیہ سے ماہ تمام آدھاhaṭā do chehre se gar dupaṭṭa tum apne ai lāla fām ādhāto ho ye sābit ke niklā abr-e-siyah se māh-e-tamām ādhā
- ہم سے نہ ہوگی ترک وفا یہ اور کسی کو سنائیں آپہم نہ سنیں گے حضرت ناصح لاکھ ہمیں سمجھائیں آپham se na hogī tark-e-vafā ye aur kisī ko sunā.eñ āpham na suneñge hazrat nāseh lākh hameñ samjhā.eñ āp
- ہمیں زاہد جو کافر جانتا ہےتو پھر پتھر کو تو کیوں مانتا ہےhameñ zāhid jo kāfir jāntā haito phir patthar ko to kyūñ māntā hai
- یاں کفر سے غرض ہے نہ اسلام سے غرضبس ہے اگر غرض تو ترے نام سے غرضyāñ kufr se ġharaz hai na islām se ġharazbas hai agar ġharaz to tire nām se ġharaz
- یوں تو ان آنکھوں سے ہم نے او بت کہنے کو دنیا دیکھیلیکن ساری خدائی بھر تیری صورت یکتا دیکھیyūñ to in ānkhoñ se ham ne o but kahne ko duniyā dekhīlekin sārī ḳhudā.ī bhar terī sūrat yaktā dekhī
- یہ بھی نہ پوچھا تم نے انجمؔ جیتا ہے یا مرتا ہےواہ جی وا عاشق سے کوئی ایسی غفلت کرتا ہےye bhī na pūchhā tum ne anjum jītā hai yā martā haivāh jī vā āshiq se koī aisī ġhaflat kartā hai
- صنم ہے یا خدا کیا جانے کیا ہےہمارا دل ربا کیا جانے کیا ہےsanam hai yā ḳhudā kyā jāne kyā haihamārā dil rubā kyā jāne kyā hai
- غم ہجر کے گئے دن گزر ہوا آخر اپنا وصال ہیپہ یہ کیا غضب ہے پئے خدا تجھے آج تک ہے ملال ہیġham-e-hijr ke ga.e din guzar huā āḳhir apnā visāl hīpe ye kyā ġhazab hai piye ḳhudā tujhe āj tak hai malāl hī
- مثال چرخ رہا آسماںؔ سر گرداںپر آج تک نہ کھلا یہ کہ جستجو کیا ہےmisāl-e-charḳh rahā āsmāñ sar-e-gardāñpar āj tak na khulā ye ke justujū kyā hai