Poet
Liaqat Jafri
Poems
- اسی کے دم پہ تو یہ دوستی بچی ہوئی تھیہمارے بیچ میں جو ہم سری بچی ہوئی تھیusī ke dam pe to ye dostī bachī huī thīhamāre bīch meñ jo ham sirī bachī huī thī
- پڑے پڑے نئی زر خیزیاں نکل آئیںکٹے درخت میں پھر ٹہنیاں نکل آئیںpaṛe paṛe na.ī zar ḳheziyāñ nikal ā.eñkaṭe daraḳht meñ phir ṭahniyāñ nikal ā.eñ
- تمہیں اب اس سے زیادہ سزا نہیں دوں گادعائیں دوں گا مگر بد دعا نہیں دوں گاtumheñ ab is se ziyāda sazā nahīñ dūñgāduā.eñ dūñgā magar bad duā nahīñ dūñgā
- حالانکہ پہلے دن سے کہا جا رہا ہوں میںلیکن کہاں کسی کو سنا جا رہا ہوں میںhālāñke pahle din se kahā jā rahā hūñ maiñlekin kahāñ kisī ko sunā jā rahā hūñ maiñ
- خامشی کو صدا میں رکھا گیاایک جادو ہوا میں رکھا گیاḳhāmushī ko sadā meñ rakhā gayāek jādū havā meñ rakhā gayā
- رونق دامن صد چاک کہاں سے لائیںشہر میں دشت کی پوشاک کہاں سے لائیںraunaq-e-dāman-e-sad chāk kahāñ se lā.eñshahr meñ dasht kī poshāk kahāñ se lā.eñ
- سر پہ سجنے کو جو تیار ہے میرے اندرگرد آلود سی دستار ہے میرے اندرsar pe sajne ko jo tayyār hai mere andargard ālūd sī dastār hai mere andar
- عجیب لوگ تھے وہ تتلیاں بناتے تھےسمندروں کے لیے سیپیاں بناتے تھےajīb log the vo titliyāñ banāte thesamundaroñ ke liye sīpiyāñ banāte the
- کتنا دشوار ہے جذبوں کی تجارت کرناایک ہی شخص سے دو بار محبت کرناkitnā dushvār hai jazboñ kī tijārat karnāek hī shaḳhs se do bār mohabbat karnā
- کسی گرداب کی پھینکی پڑی ہےلب ساحل جو اک کشتی پڑی ہےkisī girdāb kī pheñkī paṛī hailab-e-sāhil jo ik kashtī paṛī hai
- کوئی سمجھاؤ دریا کی روانی کاٹتی ہےکہ میرے سانس کو تشنہ دہانی کاٹتی ہےkoī samjhā.o dariyā kī ravānī kāṭṭī haike mere sāns ko tishna dahānī kāṭṭī hai
- مرے وجود ابھی ناتواں نہیں ہوناپھر اس کے بعد یہ موسم جواں نہیں ہوناmire vajūd abhī nātavāñ nahīñ honāphir is ke ba.ad ye mausam javāñ nahīñ honā
- مسلسل اشک باری کر رہا تھامیں اپنی آبیاری کر رہا تھاmusalsal ashk bārī kar rahā thāmaiñ apnī ābiyārī kar rahā thā
- مسلم ہوں پر خود پہ قابو رہتا ہےمیرے اندر بھی اک ہندو رہتا ہےmuslim hūñ par ḳhud pe qābū rahtā haimere andar bhī ik hindū rahtā hai