Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Liaqat Jafri

Poems

Meter
  1. usī ke dam pe to ye dostī bachī huī thīhamāre bīch meñ jo ham sirī bachī huī thī
  2. paṛe paṛe na.ī zar ḳheziyāñ nikal ā.eñkaṭe daraḳht meñ phir ṭahniyāñ nikal ā.eñ
  3. tumheñ ab is se ziyāda sazā nahīñ dūñgāduā.eñ dūñgā magar bad duā nahīñ dūñgā
  4. hālāñke pahle din se kahā jā rahā hūñ maiñlekin kahāñ kisī ko sunā jā rahā hūñ maiñ
  5. ḳhāmushī ko sadā meñ rakhā gayāek jādū havā meñ rakhā gayā
  6. raunaq-e-dāman-e-sad chāk kahāñ se lā.eñshahr meñ dasht kī poshāk kahāñ se lā.eñ
  7. sar pe sajne ko jo tayyār hai mere andargard ālūd sī dastār hai mere andar
  8. ajīb log the vo titliyāñ banāte thesamundaroñ ke liye sīpiyāñ banāte the
  9. kitnā dushvār hai jazboñ kī tijārat karnāek hī shaḳhs se do bār mohabbat karnā
  10. kisī girdāb kī pheñkī paṛī hailab-e-sāhil jo ik kashtī paṛī hai
  11. koī samjhā.o dariyā kī ravānī kāṭṭī haike mere sāns ko tishna dahānī kāṭṭī hai
  12. mire vajūd abhī nātavāñ nahīñ honāphir is ke ba.ad ye mausam javāñ nahīñ honā
  13. musalsal ashk bārī kar rahā thāmaiñ apnī ābiyārī kar rahā thā
  14. muslim hūñ par ḳhud pe qābū rahtā haimere andar bhī ik hindū rahtā hai
  15. ek āseb ta.āqub meñ lagā rahtā haimaiñ jo ruktā hūñ to phir us kī sadā chaltī hai
  16. jahāñ jo thā vahīñ rahnā thā us komagar ye log hijrat kar rahe haiñ
  17. ishq tū ne baṛā nuqsān kiyā hai merāmaiñ to us shaḳhs se nafrat bhī nahīñ kar saktā
  18. lafz ko ilhām ma.anī ko sharar samjhā thā maiñdarhaqīqat aib thā jis ko hunar samjhā thā maiñ
  19. merī jānib na baṛhnā ab mohabbatmaiñ ab pahle se mushkil rāstā hūñ
  20. maiñ bahut jald lauṭ ā.ūñgātum mirā intizār mat karnā
  21. maiñ dauṛ dauṛ ke ḳhud ko pakaṛ ke lātā hūñtumhāre ishq ne bachā banā diyā hai mujhe