Poet
Jalal Lakhnavi
جلال لکھنوی1832–1909
Poems
- اے مصور جو مری تصویر کھینچحسرت آگیں غمزدہ دلگیر کھینچai musavvir jo mirī tasvīr khīñchhasrat āgīñ ġhamzada dilgīr khīñch
- بے باک نہ دیکھا کوئی قاتل کے برابرشرم آنکھ میں پائی نہ گئی تل کے برابرbe bāk na dekhā koī qātil ke barābarsharm ānkh meñ pā.ī na ga.ī til ke barābar
- پا شکستوں کو جب جب ملیں گے آپسر راہ طلب ملیں گے آپpā shikastoñ ko jab jab mileñge āpsar-e-rāh-e-talab mileñge āp
- تصور ہم نے جب تیرا کیا پیش نظر پایاتجھے دیکھا جدھر دیکھا تجھے پایا جدھر پایاtasavvur ham ne jab terā kiyā pesh-e-nazar pāyātujhe dekhā jidhar dekhā tujhe pāyā jidhar pāyā
- جانے والا اضطراب دل نہیںیہ تڑپ تسکین کے قابل نہیںjāne vālā iztirāb-e-dil nahīñye taṛap taskīn ke qābil nahīñ
- جفا کی اس سے شکایت ذرا نہیں آتیوہ یاد ہی ہمیں شکر خدا نہیں آتیjafā kī us se shikāyat zarā nahīñ ātīvo yād hī hameñ shukr-e-ḳhudā nahīñ ātī
- دے صنم حکم تو در پر ترے حاضر ہو کرپڑ رہے کوئی مسلمان بھی کافر ہو کرde sanam hukm to dar par tire hāzir ho karpaṛ rahe koī musalmān bhī kāfir ho kar
- شب وعدہ ہے تو ہے اور میں ہوںہجوم آرزو ہے اور میں ہوںshab-e-va.ada hai to hai aur maiñ hūñhujūm-e-ārzū hai aur maiñ hūñ
- صبح ہو شام جدائی کی یہ ممکن ہی نہیںہجر کی رات وہ ہے جس کے لیے دن ہی نہیںsub.h ho shām-e-judā.ī kī ye mumkin hī nahīñhijr kī rāt vo hai jis ke liye din hī nahīñ
- صد شکر بجھ گئی تری تلوار کی ہوسقاتل یہی تھی تیرے گنہ گار کی ہوسsad shukr bujh ga.ī tirī talvār kī havasqātil yahī thī tere gunah gār kī havas
- کیوں وصل میں بھی آنکھ ملائی نہیں جاتیوہ فرق دلوں کا وہ جدائی نہیں جاتیkyūñ vasl meñ bhī ānkh milā.ī nahīñ jātīvo farq diloñ kā vo judā.ī nahīñ jātī
- گریباں کو جنوں میں تا بہ دامن چاک ہونا تھاجواب جادۂ صحرائے وحشت ناک ہونا تھاgarebāñ ko junūñ meñ tā ba dāman chāk honā thājavāb-e-jāda-e-sahrā-e-vahshat nāk honā thā
- مدت کے بعد منہ سے لگی ہے جو چھوٹ کرتو یہ بھی مے پہ گرتی ہے کیا ٹوٹ ٹوٹ کرmuddat ke ba.ad muñh se lagī hai jo chhūṭ karto ye bhī mai pe girtī hai kyā ṭūṭ ṭūṭ kar
- مر کے بھی قامت محبوب کی الفت نہ گئیہو چکا حشر بھی لیکن یہ قیامت نہ گئیmar ke bhī qāmat mahbūb kī ulfat na ga.īho chukā hashr bhī lekin ye qayāmat na ga.ī
- مری شاکی ہے خود میری فغاں تککہ تالو سے نہیں لگتی زباں تکmirī shākī hai ḳhud merī fuġhāñ takke tālū se nahīñ lagtī zabāñ tak
- نہ ٹھیری جب کوئی تسکین دل کی شکل یاروں میںتو آ نکلے تڑپ کر ہم تمہارے بے قراروں میںna ṭhairī jab koī taskīn-e-dil kī shakl yāroñ meñtū ā nikle taṛap kar ham tumhāre be qarāroñ meñ
- وہ دل نصیب ہوا جس کو داغ بھی نہ ملاملا وہ غم کدہ جس میں چراغ بھی نہ ملاvo dil nasīb huā jis ko dāġh bhī na milāmilā vo ġham kada jis meñ charāġh bhī na milā
- یاد آ کے تری ہجر میں سمجھائے گی کس کودل ہی نہیں سینہ میں تو بہلائے گی کس کوyād ā ke tirī hijr meñ samjhā.egī kis kodil hī nahīñ sīna meñ to bahlā.egī kis ko
- اک رات دل جلوں کو یہ عیش وصال دےپھر چاہے آسمان جہنم میں ڈال دےik rāt dil jaloñ ko ye aish-e-visāl dephir chāhe āsmān-e-jahannam meñ ḍāl de
- پہنچے نہ وہاں تک یہ دعا مانگ رہا ہوںقاصد کو ادھر بھیج کے دھیان آئے ہے کیا کیاpahuñche na vahāñ tak ye duā māñg rahā hūñqāsid ko idhar bhej ke dhyān ā.e hai kyā kyā
- جس نے کچھ احساں کیا اک بوجھ سر پر رکھ دیاسر سے تنکا کیا اتارا سر پہ چھپر رکھ دیاjis ne kuchh ehsāñ kyā ik bojh sar par rakh diyāsar se tinkā kyā utārā sar pe chhappar rakh diyā
- جلالؔ عہد جوانی ہے دو گے دل سو بارابھی کی توبہ نہیں اعتبار کے قابلjalāl-e-ahd-e-javānī hai doge dil sau bārabhī kī tauba nahīñ etibār ke qābil
- عشق کی چوٹ کا کچھ دل پہ اثر ہو تو سہیدرد کم ہو یا زیادہ ہو مگر ہو تو سہیishq kī choṭ kā kuchh dil pe asar ho to sahīdard kam ho yā ziyāda ho magar ho to sahī
- میں جو آیا غیر سے ہنس کر کہا اس نے جلالؔختم ہے جس پر شرافت وہ کمینہ آ گیاmaiñ jo āyā ġhair se hañs kar kahā us ne jalālḳhatm hai jis par sharāfat vo kamīna ā gayā
- میں نے پوچھا کہ ہے کیا شغل تو ہنس کر بولےآج کل ہم تیرے مرنے کی دعا کرتے ہیںmaiñ ne pūchhā ke hai kyā shaġhl to hañs kar boleāj kal ham tere marne kī duā karte haiñ
- نہ خوف آہ بتوں کو نہ ڈر ہے نالوں کابڑا کلیجہ ہے ان دل دکھانے والوں کاna ḳhauf āh butoñ ko na ḍar hai nāloñ kābaṛā kaleja hai un dil dikhāne vāloñ kā
- نہ ہو برہم جو بوسہ بے اجازت لے لیا میں نےچلو جانے دو بیتابی میں ایسا ہو ہی جاتا ہےna ho bar.ham jo bosa be ijāzat le liyā maiñ nechalo jāne do betābī meñ aisā ho hī jātā hai
- وعدہ کیوں بار بار کرتے ہوخود کو بے اعتبار کرتے ہوva.ada kyūñ bār bār karte hoḳhud ko be etibār karte ho