Poet
Jalal Lakhnavi
جلال لکھنوی1832–1909
Poems
- اک رات دل جلوں کو یہ عیش وصال دےپھر چاہے آسمان جہنم میں ڈال دےik rāt dil jaloñ ko ye aish-e-visāl dephir chāhe āsmān-e-jahannam meñ ḍāl de
- پہنچے نہ وہاں تک یہ دعا مانگ رہا ہوںقاصد کو ادھر بھیج کے دھیان آئے ہے کیا کیاpahuñche na vahāñ tak ye duā māñg rahā hūñqāsid ko idhar bhej ke dhyān ā.e hai kyā kyā
- جس نے کچھ احساں کیا اک بوجھ سر پر رکھ دیاسر سے تنکا کیا اتارا سر پہ چھپر رکھ دیاjis ne kuchh ehsāñ kyā ik bojh sar par rakh diyāsar se tinkā kyā utārā sar pe chhappar rakh diyā
- جلالؔ عہد جوانی ہے دو گے دل سو بارابھی کی توبہ نہیں اعتبار کے قابلjalāl-e-ahd-e-javānī hai doge dil sau bārabhī kī tauba nahīñ etibār ke qābil
- عشق کی چوٹ کا کچھ دل پہ اثر ہو تو سہیدرد کم ہو یا زیادہ ہو مگر ہو تو سہیishq kī choṭ kā kuchh dil pe asar ho to sahīdard kam ho yā ziyāda ho magar ho to sahī
- میں جو آیا غیر سے ہنس کر کہا اس نے جلالؔختم ہے جس پر شرافت وہ کمینہ آ گیاmaiñ jo āyā ġhair se hañs kar kahā us ne jalālḳhatm hai jis par sharāfat vo kamīna ā gayā
- میں نے پوچھا کہ ہے کیا شغل تو ہنس کر بولےآج کل ہم تیرے مرنے کی دعا کرتے ہیںmaiñ ne pūchhā ke hai kyā shaġhl to hañs kar boleāj kal ham tere marne kī duā karte haiñ
- نہ خوف آہ بتوں کو نہ ڈر ہے نالوں کابڑا کلیجہ ہے ان دل دکھانے والوں کاna ḳhauf āh butoñ ko na ḍar hai nāloñ kābaṛā kaleja hai un dil dikhāne vāloñ kā
- نہ ہو برہم جو بوسہ بے اجازت لے لیا میں نےچلو جانے دو بیتابی میں ایسا ہو ہی جاتا ہےna ho bar.ham jo bosa be ijāzat le liyā maiñ nechalo jāne do betābī meñ aisā ho hī jātā hai
- وعدہ کیوں بار بار کرتے ہوخود کو بے اعتبار کرتے ہوva.ada kyūñ bār bār karte hoḳhud ko be etibār karte ho