شب وعدہ ہے تو ہے اور میں ہوں
Jalal Lakhnavi (1832–1909)شب وعدہ ہے تو ہے اور میں ہوں
ہجوم آرزو ہے اور میں ہوں
دل بیگانہ خو ہے اور میں ہوں
بغل میں اک عدو ہے اور میں ہوں
مٹاتا ہی رہا جس کو مقدر
وہ میری آرزو ہے اور میں ہوں
پریشاں خاطری کہتی ہے اپنی
کسی کی جستجو ہے اور میں ہوں
شب تنہائی فرقت میں دل سے
کچھ اس کی گفتگو ہے اور میں ہوں
گلستاں جہاں ہے قابل سیر
طلسم رنگ و بو ہے اور میں ہوں
نگاہ لطف دلبر کا ہے اظہار
پھٹے دل کا رفو ہے اور میں ہوں
کہیں چھوڑا اگر قاتل کا دامن
تو پھر میرا لہو ہے اور میں ہوں
جلالؔ اس کو بنایا اس نے دشمن
قیامت میں عدو ہے اور میں ہوں
shab-e-waada hai to hai aur main hun
hujum-e-arzu hai aur main hun
dil-e-begana khu hai aur main hun
baghal mein ik adu hai aur main hun
mitata hi raha jis ko muqaddar
wo meri arzu hai aur main hun
pareshan khatiri kahti hai apni
kisi ki justuju hai aur main hun
shab-e-tanhai-e-furqat mein dil se
kuchh us ki guftugu hai aur main hun
gulistan jahan hai qabil-e-sair
tilism-e-rang-o-bu hai aur main hun
nigah-e-lutf dilbar ka hai izhar
phate dil ka rafu hai aur main hun
kahin chhora agar qatil ka daman
to phir mera lahu hai aur main hun
jalal us ko banaya us ne dushman
qayamat mein adu hai aur main hun